Kisi Bhi Website Ka Email Address Kaise Pata Kare

Jab bhi hume kisi website owner se contact karna ho to hum uski site par contact forum, contact number ya email address pata karte hai taki use direct contact kar sake. But kisi site par contact form na hone par uska email address pata karne me kafi pareshani hoti hai or hume kafi time bhi west karna padta hai. So aaj main aapko website ka email addresses pata karne ke aasan tarika bta raha hu. Is tarike se aap 1 minute me kisi bhi site ya kisi bhi domain ka email address pata kar sakte ho.

find website email address

Kisi bhi website oe domain ka emai laddress apta karna aasan naih hai isme time ke sath kafi searching bih karni padti hai. Mostly, famous and most popular website own custom email address like admin@example.com, owner@example.com etc. email address publicly use karti hai. Magar jin sites par email addresses publicly share na kiya gaya ho unse contact karna thoda mushkil hota hai.

Isiliye kuch experts ne aesi tools banayi hai jini help se hum kisi bhi website blog ya domain ka email address pata kar sakte hai. Aesi hi ek site hai hunter jis par aap koi bhi site ya koi bhi domain ka email addresses pata kar sakte ho.

Website Ya Domain Ka Email Address Kaise Pata Kare

Hunter tool se aap kisi bhi site ka specific email address khoj sakte ho. Email hunter ek onlinetool hai jiska chrome extension bhi available hai. Aap chahe to iski website ka istemal kar sakte hai ya fir apne chrome browser me iski extension install kar is tool ko use kar sakte hai.

Find Email Address of Website or Domain:

Abhi aap iski site par visit kar website domain ka email address find kar sakte hai. Sabse pahle aap hunter site par visit kare or hunter site par sign up ya log in kare.

  1. Search box me aapko jis site ka email addresses pata karna hai uska domain link URL add kare.
  2. Search button par click kare.
  3. Yaha aapko us site ka email addresses dikhayi dega.
  4. Sources par click karke aap ye dekh sakte hai ki is email address ko kaha se liya gaya hai or is site ke kis page me ye email ID add hai.

Find website domain email addresses

Yaad rahe aap hunter tool par log in karne ke bad hi kisi site ka email addresses dekh sakte ho. Agar aap pahle se hunter use nahi kar rahe ho or new user hai to aapko hunter site par  account create karna hoga. Is tarah se aap kisi bhi site ya domain ka email address pata kar sakte ho.

Iske alawa aap kisi bhi site domain details pata kane ke liye whois.com site ka bhi istemal kar sakte hai. Ye aapko domain ka email address ke sath uski complete information provide karti hai. Whois site free and paid service offer karti hai.

Iska main kaam website domains ki details provide karna hi hai. Is site par aapko kisi bhi site ki age, registered email address, mobile number, address, Registration date, Update date, Name servers, Registrant contact, Domain information etc. ki puri jankari mil jayegi.

Post pasand aaye to social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 34 )

  1. मैंने एक बात नोटिस किया की बताये गए वेबसाइट नए ब्लॉग का ईमेल एड्रेस पता नही कर पा रही सिर्फ फेमस वेबसाइट का ईमेल एड्रेस ही बता रही है ।

    Reply
    • New website ke content me email address hoga tohi btayegi.

      Reply
  2. Hello sir Me Apne Blog Ka Email Address Aur password Bhul gaya hoon

    Jis Email I’d se blog banaya tha Wo email I’d Aur password bhul gaya hoon

    Ab me Apna blog control /access Kaise karu

    Aur to Aur Mera sim Aadhar card se verify na hone Ke wajah se sim band ho gaya Hai …

    please sir Koi Bhi trick ya method ho Toh please mujhe bataiye

    Reply
    • Sim card naya le lo ya password reset karne ke other method follow karo.

      Reply
  3. Mujhe bhi kuchh website ke bare me information lena tha bohot hi badhiya post bhai

    Reply
  4. Sir, google ne hinglish support karna band kar diya hai and aap to fir bhi hinglish main article likh rahe ho.

    Reply
    • Its my hobby.

      Reply
  5. Sir, main blogging me naya hu, kya aap mujhe bata sakte hain ki keyword ko article me kaise use karte hain.

    Reply
    • Iske liye aap humari SEO wali post padho.

      Reply
  6. bro mujhe lag raha hai mere blog ka post koi copy kar raha hai shayed is karun mere. blog ka traffic kam ho gya hai..aap ek baar check kare plzzz kya mere blog ka post ssach me koi copy to nhi na kiya hai plzz jarur batana…

    Reply
    • Aap siteliner site par copy content check ka sakte ho.

      Reply
  7. sorry sir muje pata hai ki post se related comment hi karna chahiye lekin mene isse sambandhith post ko search kiya par nahi milee.
    Q: sir blog me fast number page nevigation kaise lagaye jaise ham first page read kar rahe hai or automatically page no 2 green ho Jaye or click karne par Bina loading ke agla page open ho Jaye.

    Reply
    • Ye aapko script_CSS coding se karna hoga.

      Reply
  8. Bhai Maine apne blog pe cloudfare lagya tha lekin kisi problem ki baja se puri site hatani padi ab main cloud falre laga raha hu toh wo show nhi kar raha hai balki content blocked dikha rha hai ab kiya kare jay https setting mai admain pannel mai jaakar kar nhi paa raha hu toh usko mai kaise thik karu ki uss mein https enble ho jay

    Reply
    • Mujhe error message dikhao.

      Reply

Leave a Comment