Facebook Par Kisi Bhi Bhasha (Language) Me Post Kaise Kare

Facebook par kisi bhi bhasha me bat kaise kare? Apne friends se unki language me chating kaise kare? Kisi bhi bhasha me posts, status and comments kaise kare? Facebook par kisi bhi language ki post ko kaise padhe? Agar aap in sabhi sawalo ke jawab janna chahate ho to is post me aapko in sabhi ka solution mil jayega. I mean mai bat kar raha hu facebook ke new feature multilingual composer ki jo users ko aysi tool provide karta hai. Jisse aap kisi bhi bhasha ki post ko padh sakte ho, apni bhasha me post likh kar use other language me convert kar sakte ho.

Dunia ki sabse badi social metworking site ne anounce kiya hai ki uske developers ne aysa Multilingual composer banaya hai jise aap world ke kisi bhi person se uski bhasha me bat kar sakte ho. Facebook ne hal hi me ek aysa feature launch kiya hai.

Jisse facebook ke sabhi user apni posts, status and comments ko difference languages me badal kar duniya bhar me apne friends se online chat kar sakte ho. Isse aap message me kisi bhi friend se uski aawaz me bat kar sakte ho.

Facebook Par Friends Se Kisi Bhi Bhasha Me Chat Kare

Iski help se user jo bhi post share karenge ya apne friend ko message send karenge to user ko alag alag languages me dikhegi. I mean other users aapki post ko apni bhasha me dekh sakte hai padh sakte hai. Facebook ne apne ek blog ki post me likha hai ki “Ab log facebook par apni jankari or thoughts ko different languages me share kar sakenge.” I mean ab aap apne friends se usi ki bhasha me bat kar sakoge.

Facebook blog me aage likha hai ki “Humari community ke 50% user english ke alawa koi or bhasha bolte hai or jyadar log ek dusre ki bhasha nahi samajh pate hai. Isiliye hum bahut itme se is problem ka solution search kar rahe the jisse hum ek dusre se chat karte time FB user ko problem na ho or difference bhasha ka metter unke bich  barrier na ban sake.”

Facebook Par Kisi Bhi Language Me Post, Status & Comments Kaise Kare

Facebook ke anusar filhal ye composer only dekstop version ke liye hi available hai. But other log multiple languages post ko kisi bhi device me read kar sakte hai. I mean aap abhi ise sirf laptop, computer me use kar sakte but android mobile, ios, ipaid, iphone and other sabhi version me padh sakte ho.

Abhi facebook ne is feature ki shuruat ki hai. So yeh abhi proper work karega ya nahi iske bare me facebook ne kuch nahi btaya hai. Fir bhi pages par ye ache se work kar raha hai.

Multilingual composer aapko apni post kisi ek bhasha me likhna allow karta hai. Bad me aap other language select karke use dusri bhasha me change kar sakte hai jisme aap apni post ko publish karna chahate hai. Example, Aap apni post ko hindi me likh sakte hai or bad me use english ya kisi or language me translate sakte hai.

Ab agar aapka koi friends spenish bhasha janta hai to wo aapki post status ko uski bhasha me padh sakte hai. Ye composer abhi facebook par use hone wali 45 languages me kaam karta hai. Facebook ke is tranlater software ke main chief Fazeel Ayan hai.

Facebook Me Multilingual Composer Tool Feature Ko Enable Kaise Kare

Step 1:

Actually, Abhi ye feature sirf desktop version me hi available hai to mai yaha aapko desktop version ke hi step bta raha hu.

  1. Sabse pahle aap facebook ka desktop version oepn kare or settings me jaye.

Facebook Multiple Languages feature

Step 2:

  1. Ab aap right sidebar me language par click kare.
  2. Yaha aap language settings me apne hisab se setting kar sakte ho.

Language settings

Jiase aap kounsi bhasha jante ho or aap post ko kis bhasha me translate karna chahate ho. Languages sewtting me iske alag alag option diye huye hai. Aapko jo bhi language set karni hai yaha kar sakte ho.

Conclusion,

Finally mai aapse kahna chahunga ki ye facebook ka wonderful feature hai jo real me user ke liye bahut kaam aayega or bahut si problems ko solve kar dega. Agar aapke other country mefriends hai to ab aap usse uski bhasha me bat kar saktew ho. Ye feature facebook ko or jyada popular oe famous bana dega.

Facebook par multilingual composer feature ki madad se multiple languages me posts, comments and status share karna facebook user ke liye bahut khushi ki bat hai. I am also happy, Mujhe ye feature bahut pasand aaya hai. Aap bhi comment me iske bare me apne vichar share kar sakte ho.

I hope you may like this news article about multilingual composer and get new and fresh notification, If yes, then share this post on social media sites. Mostly on facebook with your friends.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 36 )

  1. Hello bro… aapko aur Sabhi supportmeindia ke readers ko Eid Mubarak

    Reply
    • Thank you saban aapko bhi meri traf se eid mubarak

      Reply
  2. Footer ko edit kiya to mera blog ab dusre link PE khulne lga hai jiska template h usi k link PE khul rha h plz give solution

    Reply
    • Aap jo template use kar rahe ho usme redirection code add hai.

      Reply
      • Sir , redirection code wale problm ko thik kaise kare

        Reply
        • Sahil template me designer code ko aysi jagah chipa dete hai jise aasani se pata karna mushkil hota hai. Mujhe sirf itna pata hai ki ye code head ke bad me add hota hai. Ek new blogger jisko coding nahi aati ho ke liye ye mushkil hota hai. Apa kisi designer se is problem ko solve karwa lo.

          Reply
  3. bhai pls meri hekp kro mera blog pr ads kyo nhi show ho rahe
    manea sab try krleya aap ki sab tips try krli
    pr fir bhee nhi show ho raha aabhi marea total pageviwes 1000 hai 3 post hai
    pls batao kya kro pls mera blog dheko or batao

    Reply
    • Arsh AdSense approved kararne ke liye aapke blog par daily 500 pageviews or kam se kam 10+ quality post honi chahiye. Jo ki aapke blog par nahi hai.

      Reply
  4. Jumedeen Khan ji अगर हमें गूगल AdSense का approval blogspot.com mil जाये इसके बाद मुझे अगर लगे की मुझे domain नेम लगाना चाहिए तो चलेगा क्या? कोई प्रॉब्लम तो नहीं होगी ना.

    Reply
    • Why not, aap jab chaho blog me domain use kar sakte ho.

      Reply
  5. Hy bro kya aap links ko no follow karne ka koi achaa sa plugin bata sakte hai ??

    Reply
    • Aap google me search karo iske liye aapko bahut se plugin mil jayenge.

      Reply
  6. namste bhai ji, mai shoutmelaud site me gaya tha waha mujhe ye post mila shoutmeloud.com/accelerated-mobile-pages-seo-benefits.html mai chahta hu aap ise ek baar dekhe aur iske bare post likhe, mko smjh nahi aaya mobile pages ko optimize kaise kare ishliye mai aapse puchna chata hu ki ish post me kaise mobile pages ko accelarate kare.

    Reply
    • Ok rohaan mai iske bare me article likhunga.

      Reply
  7. Yeh toh kamaal ka idea bataya hai apne bhai. facebook ke liye bahut achi post hai

    Reply

Leave a Comment