Facebook Messenger Ki Top 8 Secret Tips and Tricks

Facebook messenger se aap sirf messages hi nahi bhej sakte, balki aap isse or bhi bahut kuch kar sakte hai. jaise Video calling, Voice calling. iske liye aapko phone me koi extra plan ya apps dalwane ki jarurat nahi hai. aapko messenger apps me ja kar bas video or phone icon par click karna hai. ye options aapko friends ke name ke right side me dikhenge. to chaliye ab jante hai facebook messenger ki top 8 secret tips ke bare me.

Facebook Messenger Top 8 Secret Tips and Tricks

Agar aapke pas android phone hai or aap facebook user hai to shayad aap facebook messenger bhi istemal karte honge. aaj is post me mai aapko messenger ke bare me kuch aysi bate btane wala hu. jo shayad aap nahi jante honge. facebook team ne FB messenger me kuch ayse features bhi diye hote hai jinhe hum kabhi use hi nahi karte, kyuki hume unke bare me kuch pata hi nahi hota hai. facebook messenger ko download karne ke liye yaha click kare.

Facebook Messenger Ki Top 8 Secret Tips and Tricks

Actually 90% user facebook messenger ko only sms bhejne or pane ke liye use karte hai. but agar aap iske features ko check karoge to isme or bhi bahut kuch mil jayega. jinke bare me jyada log nahi jante. facebook ne kuch ysi free services bhi di huyi hai. jo aap is apps ki madad se kar sakte ho. but iske bare me aapko pahle se pata hona chahiye.

1) Free Voice Or Video Call

Vocie and video call icon in facebook messenger

Messenger se sms send karne ke alawa aap voice and video call bhi kar sakte ho. bas iske liye aap jise call karna chahate ho uske mobile me messenger install hona chahiye or internet connection open hona chahiye. isme aapko friends ke mobile number ki jarurat bhi nahi padti. aap direct call kar sakte ho.

2) Direct Call To Company

Facebook ne kuch retail companies ke sath partnership ki huyi hai. jisse user in companies se messenger se direct bat kar sake. jaise ki aapko in companiyo se koi product (saman) kharidna ho to aap apne facebook account ke throw in companiyo ko order de sakte hai. aapko shoping update aapko messenger apps me hi mil jayegi. abhi ye service sirf everlane or zulily ke sath hi available hai. facebook future me aysi or bhi companies ke sath partnership karne ka plan bana raha hai.

3) Money Transfer

Facebook messenger ke jariye aap apne bank account se direct money tranfer kar sakte hai. iski proccessing bahut aasan hai. sabse pahle messenger ko open kijiye or jis friend ko paise send karne hai. usse chating on kijiye ab thum icon ke right side me bane 3 dots par click kare. ab jo options show ho unme se payment ke options par click kare or jitne paise bhejne hai utne enter kare. iske bad aap apne credit card, visa, master card, debit card se payment kar sakte ho. ye service india me available nahi hai.

4) Sports Memes & GIF Share Kare

GIF or sports memes ka option messenger me pahle se diya hua hai. inse aap apne dosto ko messenger ke throw gif animation, sports memes ke sath or bhi bahut kuch send kar sakte ho. iske liye bhi asapko 3 dots par click karna hoga. 3 dots par click karne se or bhi bahut sare features show hote hai. aapko jo acha lage try kar sakte ho.

5) Location Share

messenger se aap chating ke sath apni location bhi share kar sakte hai. jisse aapke friends ko pata chal sake ki aap is time kaha par ho. iske liye aap ko 3 dots par hi click karna hoga or options me se location par click karke apni loaction tag karni hai. aap chahe to apni real ya other location share kar sakte hai. iske liye aapko jaha ki location dikhani hai, wahi par tag karna hoga.

6) Desktop Me Bhi Use Kare Messenger Apps

Bahut kam log jante hai ki facebook messenger ko desktop par bhi use kar sakte hai. or messenger ka web apps bhi hai. but mai aapko bta du ke ab aap apne computer me bhi FB messenger install kar sakte ho. or aasani se use kar sakte ho. iski proccessing same android mobile jaisi hai. jis tarah aap phone me ye apps install karte ho same wese hi aap desktop me bhi install kar sakte ho.

7) Conversation Ko Mute Kar Sakte Hai

Agar aap messenger par aane wali notifications se pareshan hai. to facebook ne iska solution diya hua hai. aap conversation ko mute kar sakte ho. iske liye aapko us person ya group ka name tap karna hoga jisse aapko problem ho rahi hai. iske bad notification par click kare. notification par click karte hi aapko mute ka option mil jayega.isme  aap ise kab tak ke liye mute karna chahate hai ka option bhi diya hua hai. aap 15 minutes, 1 hours, 8 hours, 24 hours ya apne hisab se conversation mute kar sakte hai.

8) Bina Facebook Account Ke Chala Sakte Hai Messenger

Ji ha aap without facebook account ke bhi messenger use kar sakte hai. messenger par apne dosto se bat karne ke liye aapko facebook account ki jarurat nahi hai. 2024 ki starting me facebook ne yeh featur shuru kiya hai. jisme users mobile number se bhi sign in kar sakte hai. aap messenger account mobile apps or website dono se bana sakte ho. iski proccessing jyada lambi hai. so aane wale time me iske bare me bat karenge.

I hope aapko ye post pasand aayegi. ho sakte hai is post me btayi tricks aapko pahle se pata ho. but 1-2 tricks ke bare me aapko nahi pata hoga. to chaliye ab comment btaye ki aapko in 8 tricks me se kounsi tricks ke bare me nahi pata tha or aapko uske bare me is post se malum hua hai. sirf 30 second me aap apne thoughts comment kar sakte hai.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 86 )

  1. Maine apni friend ka account restrict Kiya tha abh unrestrict ka option ni ata or msg bhi karti hun toh msg ni hota no internet connection batate hai esa kyu unko msg kyu ni jata

    Reply
  2. Sir mujhe koi sms karta h chating me to me ye nhi dekh pata ki vo type kar rha h yaa nhi esa kyu
    Phele dikhata tha ab nhi

    Reply
  3. Messenger ke home page par Jaha par show hota hai
    Messages Active Groups Calls
    Left hand par friends ka name or Photos ata hai or
    pahale write hand par tick ka mark ata tha par ab us jagar message send ka time ata hai
    but me chahta hu ki us jagah pahle ki tarah hame page par hi pata chalna chahiye ki msg read hua hai ya nhi

    Reply

Leave a Comment