Facebook Account ID Block Hone Par Recover Kaise Kare

Facebook other all social networking sites me  sabse jyada popular social media sites hai. Ye itna famous platform hai ki har kisi ka facebook par account mil jayega. Kyuki in social networking sites ki help se hum ek dusre ki feeling, Work, News etc ki jankari share or apne friends se online chat kar sakte hai. lekin bahut se new users in social sites ke rules ke bare me nahi jante jinki wajah se unki facebook account, facebook ID ko social team block kar deti hai. Agar aapke sath bhi aesa hua hai to ye psot aapke liye hi hai. Is post me btaye steps ko follow kar aap apne deactivate facebook account ko fir se activate or blocked account ko unblock kar sakte ho.

Facebook Account Unblock Kaise Kare

Facebook account ID block kyo hoti hai? Actually, Facebook hume photos, status, posts, pages, videos apne friends ke sath share karne ki service deti hai iski ek limit hoti hai. Agar hum us limit se jyada sharing karenge to ye facebook terms ka violation hoga or hamare account ko facebook team kabhi bhi block kar sakti hai. Agar aap Facebook account block hone ke reasons ke bare me details se janna chahate ho to aap hamari ye post read kijiye. Facebook Account Block Kyu Hota Hai Most 11 Karan (Reasons.

Bahut se user facebook par unwanted extra links share karte hai ya jarurat se jyada post, status publish karte hai. Aese bahtu se karano se facebook account disable ho sakta hai. ID band hone ke karan users ke dimag me bas yahi bat aati hai ki bas ek bar hamara account recover ho jaye uske bad hum facebook policy kabhi nahi todenge.

Facebook apne users ko apna account recover karne ke liye ek mouka deta hai jisse hum apni block huyi ID ko recover kar sakte hai. Agar aapke sath bhi aesa hua hai aap bhi apne facebook account ko fir se reactivate kar sakte ho.Is post me hum yahi sikhenge ki block huye account ko recover kaise kiya jaye.

Aagar aapka account block nahi hua hai or aap apne account ko block hone se bachana chahate ho to humari Facebook Account Ko Block Hone Se Kaise Bachaye post read kijiye or agar aapka account block ho gaya hai or aap use recover karna chahate ho to niche bataye steps follow kijiye.

Facebook Account ID Block Hone Par Unblock Kaise Kare

Blocked facebook account ko recover karana bahut simple hai lekin aap har bar recover nahi sakte so ek bar acocunt recover karne ke bad facebook policy follow are. Facebook ID unlock karne kel iye aapko facebook se request karni hogi. Iske liye aapko facebook team ko ek request send karni hogi ki hum aage se facebook rules carefully follow karenge to wo aapka account recover kar denge.

Step 1:

Sabse pahle facebook account recover request page par jaye. Yaha aapko apne account ko recover karne ke liye request karni hai.

  1. Yaha apna mobile number ya email address fill kijiye.
  2. Apna facebook profile wala full name type kijiye.
  3. Choose Files: Yaha par click kare or apne account ki pahachan ke liye apni koi ID like aadhaar card, identity card, pan card etc. ka screenshot le kar upload kare.
  4. Additional info: Yaha aapko account recover karne ke bare me kuch words type karne hai. Aap yaha likh sakte ho ki mujhse galti se facebook policy ka violation ho gaya hai and main next time aesa nahi karunga etc.
  5. Finally Send button par click kare.

Facebook request page

Request send karne ke 24 hours bad facebook team aapke account ko recover kar degi or aapke email address par recover code bhejegi wo code verify karke aap apne facebook account ko open kar sakte ho.

Agar aapne ek bar facebook account recover request bhej di hai or aapko recover mail nahi mila hai or aap dubara recover message send karne ki soch rahe hai to to rukiye kai bar is process me ek week ta ka time lag sakta hai. Thoda wait kare or 1 week ke bad fir se request send kare.

Lekin hamesha dhyan rahe ki aage se aesi mistakes nahi honi chahiye nahi to aapko apni dusri ID banani hogi. Is tarah aap bhi apna facebook account reactivate kara sakte ho or agar aapko is process me koi problem ya is post ko samajhne me koi dikkat aaye to comment me bta sakte ho.

So friends aage se hamesha dhyan rahe agar aap apne account ko block hone se bachana chahate hai to facebook limit se jyada sharing na kare nahi to facebook team aapke account ID ko jald deactivate ya block kar sakti hai.

Sath hi agar aapko facebook account block hone par reactivate karne ki jankari helpful and useful lage to is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 51 )

  1. Mera id please unblock karo

    Reply
  2. My facebook id is bloke carrom Plaza is is bloke my id

    Reply
  3. Please my account unlock

    Reply
  4. please unblock my facebook account

    Reply
  5. My Facebook account is blocked please unblocked

    Reply
    • My Facebook account is locked

      Reply
    • facebook account is blocked please unblock my account

      Reply

Leave a Comment