Driving Karte Samay Hamesha Dhyan Rakhe Ye 10 Bate

Hamari life me driving ek aham roll nibhati hai ye majedar bhi hai lekin agar aap driving karte time koi laparawahi karte hai to ye aapke liye dardnak sabit ho sakti hai. Agar aap puri safety se cycle, bike, car ya track chalate hai to ye aapki life ko kafi aasan bana sakti hai. Yaha main aapko kuch aesi bate bata raha hu jo aapko driving karte time hamesha dhyan rakhni chahiye.

Driving Karte Samay Hamesha Dhyan Rakhe Ye 10 Bate

Ham har din news paper me ya news channel par road accident ke bare me padhte hai. Aaj har minute me road accident hone lage hai, ye sirf gadi chalate samay laparawahi baratne se ho raha hai. Agar hum gadi chalate samay kuch bato ko follow kare to hum in hadso se bach sakte hai.

  • I Gifted a Car to My Brother – Thanks to Adsense and Blogging

Is article me main aapko Gadi chlate samay dhyan rakhne wali 10 bate bata raha hu, agar aap in bato ko dhyan me rakhkar driving karte hai to aap sadak hadso se bach sakto ho.

Driving Karte Time Kin Kin Bato Ka Dhyan Rakhna Chahiye

Agar aap yaha batayi gayi bato ko vehicle chalate samay follow karte hai to aap safe driving kar sakte hai or aapki life bhi secure banegi. In bato ko kisi bhi vehicle ke driver ko carefully follow karna chahiye chahe wo ek cycle driver hi kyo na ho.

गाड़ी चलाते समय किन- किन बातों का ध्यान रखना चाहिए?

1. Ek Achhe Driver Bane

Yadi aap safe driving karna chahte hai to sabse pahale ek achhe driver bane, uske baad hi bade roads par drive kare. Agar aap abhi puri tarah se bike, car ya koi bhi vehicle chalana nahi sikhe hai to aesi jagaho par drive na kare jaha jyada traffic ho. Jab tak aap puri tarah se gadi chalana nahi sikh jate tab tak khuli jagho par driving sikhe.

2. Helmet Pahankar Gadi Chalaye

Bike chalate samay helmet pahankar rakhe, kabhi bhi bina helmet ke bike na chalaye. Aapne dekha hoga helmet ki badoulat kar bar accident me bike driver ki jaan bach jati hai isliye hamesha helmet pahankar hi gadi chalaye. Ek achhi quality ka helmet kharide paiso ka lalach na kare.

3. Sharab Pikar Driving Na kare

Sharab pikar driving karna ek bahut badi samasya ban chuki hai, har din na jane nashe me gadi chalane se kitne logo ki jaan jati hai. Kabhi bhi sharab ka sevan karke gadi na chalaye kyoki sharab pikar gadi chalane se aapki jaan to jokhim hogi hi sath hi baki logo ko bhi khatra hai.

4. Nind Me Gadi Na Chalaye

Aapko ye point interesting lagega, kuch log aese bhi hote hai jo gadi chalate smaay so jate hai or unki nind tab puri hoti hai jab we apne aap ko hospital ke bed par pate hai. Ye nind puri na hone ki wajah se hota hai. Isliye kabhi bhi nind me driving na kare.

5. Driving Ke Douran Mobile Ka Istemal Na Kare

Kuch log gadi chalate samay mobile ka istemal karte hai aur accident ka shikar ban jate hai. Agar aap bhi gadi chalate time smartphone ka istemal karte hai to aage se ye galti kabhi na kare. Agar aapke liye mobile chalana bahut jaruri hai to gadi ko ek taraf rokkar mobile ka istemal kare.

6. Apni Gadi Ko Theek Se Check Kar Le

Aap car ya bike kuch bhi chala rahe ho, driving karne se pahale apni gadi ko ek baar theek se dekh le, kahi koi problem to nahi hai, brake check kare, horan, lights and indicator check kar le. Jab aapko lage ki aapki gadi me koi problem nahi hai to gadi chalaye, kyoki aapne dekha hoga kai bar chalti-chalti car ya bikes ka tayer khul jate hai aur accident ka karan ban jate hai.

7. Seat belt Pahan Kar Gadi Chalaye

Jis tarah bikes chalate samay helmet pahanna jaruri hai usi tarah car ya 4 tayer wala vehicle chalate time seat belt lagana bahut jaruri hai. Ye aapko kharab road, accident me jyada chot lagne se bachata hai isliye 4vilar or isse bade vehicle chalate samay seat belt ka istemal karna na bhule.

8. Driving Ke Douran Earphone Ka Use Na Kare

Gadi chalate samay earphone ya headphone lagakar tej voice me music ka aanand aapke liye dardnayak sabit ho sakta hai. Driving ke douran gana sunne se har roj accident hote hai, isse hume anny vehicles ki aawaj sunai nahi deti hai jiski wajah se hum durghatna ka shikar ho jate hai. Isliye kabhi bhi gadi chalate samay earphone ya headphone ka istemal na kare.

9. Speed Ka Dhyan Rakhe

Gadi chalate samay speed ka dhyan hamesha rakhe. Utni hi speed se gadi chalaye jitni speed aap control kar sakte hai, apne control se bahar driving na kare. Tej chalane se na koi aapko sabasi dega or na hi kisi jagah par 2 minute jaldi pahunch kar aap pahad palat paoge, isliye hamesha apni limits ke under speed me driving kare.

10. Pure Focus Ke Sath Driving Kare

Driving ke douran kabhi bhi idhar-udhar na dekhe, apna pura dhyan gadi chalane par rakhe. Kuch log gadi chalate samay ass-pass ka najara dekhne ke chakkar me apni jaan jokhim me dal dete hai. Isliye driving ke douran apna dhyan idhar-udhar na jane de or pure focus ke sath driving kare.

In 10 bato ko follow karke aap safe driving kar sakte hai.

Conclusion,

Agar har koi driver in bato ko follow karke driving kare to accidents ki sankhya bahut kam ho sakti hai. Yadi hum gadi chalate samay in bato ko carefully follow karte to ek aesa bhi aayega jab news paper me ek bhi accident ki khabar sunne ko nahi milegi.

Mujhe ummid hai aap yaha batayi gayi gadi chalate samay dhyan me rakhne wali bato ko follow karenge. Agar koi or aesa rule hai jise follow karne se durghatnao se bacha sake to uske bare me comment me likhe.

Agar aapko is post ki  jankari “Gadi Chalate Samay Dhyan Rakhne Wali 10 Bate” helpful lage to ise social media par share kare.

Avatar for Jamshed Khan

by: Jamshed Khan

मैं इस ब्लॉग का एडिटर हु और मुझे लिखने का बहुत शौक है। इस ब्लॉग पर मैं एजुकेशन और फेस्टिवल से रिलेटेड आर्टिकल लिखता हूँ।

Comments ( 15 )

  1. nice information bhot badiya jankari share ki hai apne bhot hi informative post hai

    Reply
  2. सर मेरा एक सवाल है कि अगर हम कोई न्यूज़ पोर्टल ब्लॉग बनाते हैं तो उस के लिए हम इमेज कहाँ से डाउनलोड करेंगे. अगर हम किसी दुसरे का इमेज लेंगे तो क्या वो कॉपीराइट नहीं होगा. दुसरी सवाल ये है कि दुसरे न्यूज़ पोर्टल वेबसाइट पर बहुत सारे इमेज एक जैसे होते हैं क्या उनलोगों को कॉपीराइट नहीं आता.

    Reply
    • Jaha se image lo uska source link add kar do problem nahi hogi.

      Reply
  3. All ten points are most important. Thanks for sharing this post about Good driving.

    Happy Independence Day

    Reply
  4. Fantastic tips bro.. Keep sharing… Aise posts Hindi me bahut kam dekhne ko milte hai.. Aap ne badiya article likha hai.

    Reply
  5. bahut he acchi jankari di hain aapne.
    Ye supportmeindia ki sab se acch baat hain ki yaha hame blogging ke sath sath Dusre important baato ka bhe gyaan milta hain. Shurkiya aapka

    Reply
  6. Aapne bahut hi acchha knowledge share kiya because is samay iska logo ki bahut zarurat hai.
    Life is more expansive

    Reply
  7. एक बहुत अच्छा लेख। धन्यवाद।

    Reply
  8. bahut badiya likha jamshed bhai aapne. and driving se retaled bahut achi achi bate share ki aapne, jo hi bahut jarurui hai.

    Thanks for sharing bhai..

    Reply
  9. Agar in baaton ka sabhi khayal rakhe to bahut kam accident honge

    Reply
  10. Jamshed ji bahut accha article share kiya aapne sabhi ko in baato ka dhyan rakhna chahiye

    Reply

Leave a Comment