Nofollow Aur Dofollow Links Kya Hai Dono Me Kya Fark Hai

Jab mai Search Engine Optimization ke bare me article likhta hu to meri humesha koshish rahti hai ki mai apne reader ke liye kuch better jankari share kar saku. In this post, Mai aapko bta raha hu ki No follow and Do follow links kya hote hai or SEO ke liye konsa link use karna sahi hai.

Jo blogger blog SEO me new hai unke liye Nofollow or Dofollow links ki information hona bahut jaruri hai. Agar aap ko bhi dofollow or nofollow link ki confusing hai to ye post aapke liye useful sabit ho sakti hai.

No Follow or Do Follow Link Kya Hote Hai

No Follow and Do Follow link ke bare me janne se pahle mai aapko suggest karunga ki aap pahle backlinks ko ache se samajh le. Kyuki backlinks ki jankari ke bina ye post aapke sir ke upar se nikal jayegi.

Backlinks Kya Hai or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai post me maine backlinks ke bare me details se btaya hai. Aap pahle is post ko read kare uske bad is post ko padhe.

No Follow and Do Follow links Ke Bare Me Janna Kyu Jaruri Hai?

Blogging me fir chahe wo kisi bhi topic par ho other site ke links use karne ki jarurat hoti hai. Or agar humse galti se bhi kisi bad site ya fake site jaise p*rn, s*xy product, bad information, hacking tips and criminal info site ka link apne blog ki post ya commnet me add ho gaya to search engine humari site ko spam kar sakta hai.

Jiska natija ye hoga ki humari site search wengine me show honi band ho jayegi. Show is problem se bachne ke liye hume nofollow or dofollow ki jarurat hoti hai. Jiski help se hum bad links ko search engine se chupa sakte hai.

Search engine kisi bhi tarah ki hinsak samgree blog par share karna aloow nahi karta hai. Or agar aapka blog blogger par hai to goole aapke Blog Ko Delete bhi kar sakta hai. So is post me btaye tarike se ye matlab nahi hai ki aap bad links ko search engine se hide kar galat jankari share kar sakte ho.

NoFollow Vs DoFollow Link Dono Me Kya Difference Hai

Upar btayi bato se aapko ye to clear ho gaya hoga ki hume No Follow or Do Follow Links ki jarurat kyo padti hai. Or mai ye bhi man leta hu ki aapko backlinks ke bare me achi jankari hai. So ab mai aapko btane ja raha hu. Do-Follow and No-Follow link ke bare me. Agar aap real me iske bare me jankari chahate ho to meri bat ko dhyan se sune or samajhe.

1. No Follow Links Kya Hote Hai

No Follow Links wo link hote hai jinhe search engine robot post ko index karte time ignore kar deta hai. My means search engine nofollow links ko index nahi karta hai. Iska matlab hai ki website owner ya blogger nofollow link use karega to use search engine pass nahi kar sakta ause sirf human yani peoples hi read kar sakte hai.

Simple shabdo me kahu to hum nofollow link use kar ke search engine se link ko chupa asakte hai. Or apni site ko search ranking me spam hone se bacha sakte hai. No follow links un site ke liye kiya jata hai. Jo fake site ho sakti hai.

Example No Follow Link:

<a href=”https://www.supportmeindia.com/” rel=”nofollow”>Supportmeindia</a>

No Follow link use karne ke liye aapko link me sirf rel=”nofollow” code use karna hai. Uske bad search engine is link ko nahi padh sakta.

2. Do Follow Links Kya Hote Hai

Do Follow Links Sabhi search engines ko links index karne ko allow karta hai. Yani do followe links ko all search engines pass kar sakte hai. Search engines or human dono is link ko padh sakte ho.

Or aap do follow link me Keywords Use Kar ke apni site ki search ranking ko increase bhi kar sakte hai. Mera kahne ka matlab ye hai ki jab hum post me backlinks use karte hai to links ki jagah Focus Keywords bhi use kar sakte hai. Jise anchor text kahte hai.

Example No Follow Link:

<a href=”https://www.supportmeindia.com/”>Supportmeindia</a>

All defualt links Do Follow links hote hai. So aapko link me Do-Follow link use karne ke liye koi extra code use karne ki jarurat nahi hai.

Ab aapko ye bat pata chal gayi hogi ki No Follow and Do Follow links me kya antar hai or ye kaise kaam karte hai. So ab mai aapko ye or bta du ki “Websie Ya Blog Me No Follow and Do Follow link Kaise Use Karte Hai“.

No Follow and Do Follow links

Google ka kahna hai ki hume apni site ya blog me outgoing links use karte time nofollow links use karna chahiye. jisse aapki site ki search ranking low na ho. But iska matlab ye bilkul nahi hai ki aap har jagah nofollow links use karo.

Aysa karne par search engine un links ko index nahi kar payega or aapki site ki search ranking discrease ho jayegi. So ye sawal bahut important hai ki hume nofollow links kaha kaha use karne chahiye. Don’t worry mai iske bare me bhi details se bta raha hu. Aap bas post ko dhyan se padhe.

Do Follow Links Kaha Kaha Use Karne Chahiye:

Hum jo bhi links blog post me use karte hai. Wo sabhi links dofollow links hote hai. Iske liye hume link me koi bhi code alag se add karne ki jarurat nahi hai. Ye kuch point hai jo aapko or bhi aasani se samajh aa jayenge.

  1. Apni site ki other post ke links: Aap apni hi site ki dusri post ka link dofollow link ki tarah use kar sakte ho. Mai hi nahi sabhi blogger or website owner aysa karte hai.
  2. Related content links: Agar koi aapki site se related jankari share karne wali site hai or usse aapke ache relation hai. Aapko us par pura yakin hai ki us par bad information share nahi ki jati hai to aap uska links bhi dofollow kar sakte ho.
  3. High quality websites:  Internet par jo website fomous hai or jinke bare me sabhi o pata hai ki in par 100% sahi jankari hoti hai, Jaise google, yahoo and other.
  4. Original source link: Jis site par aapko pura bharosha hai ki is par original content share kiya jata hai. Uska links bhi aap defualt use kar sakte ho.

No Follow Links Kaha Kaha Use Karne Chahiye:

Jab bhi hume aysi other site ka link apni post me add karne ki jarurat padti hai, Jiske bare me hume puri jankari na ho. Uske link ke liye hum No Follow type ke links use kar sakte hai.

  1. Unrelated sites in content: Jis site ka content aapki site se related na ho or jis par aapko pura bharosha na ho. Uska link aap nofollow typeme use kare.
  2. Bad Sites: First to aapko apni site me p*rn, s*xy product, bad information or hacking ki jankari dene wali site ka link add nahi karna chahie. But agar jyada hi jarurat ho to inke link ke liye 101% nofollow type ka link use kare.
  3. Affiliate Links: Affiliate site pata nahi kis kis tarah ke product sale karti hai. Unme fake information bhi ho sakti hai. So aap affiliate programing site link ke liye bhi nofollow links use kar sakte hai.
  4. In comments section: Comment section me humesha dusri site ka link btate time nofollow links use kare.

Mai aapko yahi suggest karunga ki aap affiliate marketing or other kisi spam site ke liye noindex attribute yani no follow links hi use kare. Or jaha tak ho sake spam website ka link apni site par add karne se bache.

Agar aapko is post ke bare me koi question puchna ho to niche commnet me post kar sakte ho or post achhi lage to ise share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 73 )

  1. This is best blogging site in Hindi

    Reply
  2. Bhai Domain Ki authority ko kese improve kar sakty hai or hum kisi comment mai apni website link krty hai ahref tag sai to vo automatically do follow hogi ya no follow?

    Reply
      1. Sabse important quality content likho.
      2. On-page SEO kare, jaise ki title tags, image alt tags etc.
      3. High-quality content likho jise dusre blogger khud hi apni site me link kare.
      4. Internal links and external links ka istemal karo.
      5. Broken links ko time par fix karo.
      6. Quality backlinks banao.
      7. Apni website ko mobile-friendly banao.
      8. Website ko speed up banao.
      9. Jyada ads aur affiliate links use mar karo.
      10. Specific topic par apni pahchan banao.
      Reply
      • Bhai Quality Backlinks Ky liye Kuch Suggest Kro

        Reply
  3. Mera ek tutorial he, waha par link par click karke koi bhi online editor par practice kar sakta he, par google me wo editor ki link bhi index ho rahi he, aur waha par koi content nahi he, isse mere mere jo post search hona chahiye us par problem ho sakti he, aur kya me editor ki link me no follow use kar saktaa hu.

    ek baar aap meri website visit kijiye please.

    Reply
    • nofollow tag use karo, koi problem nahi hogi.

      Reply
  4. Bahut achhe se apane hame samajhaya hai

    Reply
  5. Dear sir
    mene abhi apna ek website open kiya hai digital marketing sikkhne keliye.
    to apse kuch tips sikhna chahtahoon, kya apka contact number mujjhe mail karenge .

    Reply
    • आप मुझे ईमेल के द्वारा संपर्क कर सकते हैं

      Reply

Leave a Comment