WordPress par blog banana bhi blogspot par blog banane jaisa hi hai. Bas fark sirf itna hai ki blogspot free hai but wordpress paid hai or is par blog banane ke liye aapko kisi hosting site se hosting leni padegi. Aaj is post me mai aapko wordpress par blog banane ke bare me kuch important bate bta raha hu. jisse aap aasani se wordpress blog bana sakte ho.
WordPress BlogSpot Se Kyu Behtar Hai?
WordPress or blogSpot dono blogger platform hai. WordPress par unlimited feature hote hai. WordPress blog par humara pura control rahta hai. Jabki blogSpot blog par humara pura control nahi hota or isme feature bhi limit hote hai. Yani blogspot ko loha mane to wordpress ko sona manna galat nahi hoga. WordPress blog banane se pahle ek bar ye post or pad le BlogSpot Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai
WordPress Blog Ke Liye Hosting Kaha Se Kharide?
Hosting humare phone ke memory card ki tarah hai. Jis tarah memory card me humare songs, videos, movies, photos data save rahti hai bilkul wese hi hosting par humare blog ki sabhi data save rahti hai. Maine digital ocean ki free hosting ke bare me pahle se btaya hai, aap chahe to is post ki help se free hosting le sakte hai.
Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se or agar aap paid hosting lena chahe to mai aapko suggest karunga ki aap hostgator ya bluehost se hosting kharide. In my case main hostgator ki hosting use karta hu.
- WordPress Blog Me Google Translate Tool Kaise Add Kare
- WordPress Blog Me CloudFlare Free HTTPS SSL Setup Kaise Kare
WordPress Par Free Blog Kaise Banate Hai?
WordPress par blog banane ke liye aapko hosting leni padegi. Wese to aap WordPress.com par free blog bhi bana sakte ho but usme aap theme change nahi kar sakte or kei or important customizing kar sakte.
Agar aap WordPress par new hai to mai aapse kahunga ki aap ek bar kisi free hosting dene wali site se hosting le kar wordpress ko pahle samajh le uske bad kisi achi hosting site se hosting le kar blog banaye.
Yaha mai aapko wordpress.com par free blog banane ke bare me bta raha hu. agar aap paise kamane ke liye blog banana chahate hai to hosting le kar hi blog banaye.
Step 1:
Sabse pahle WordPress.com website par jaye or create nlog par click kare.
Create blog par click karte hi aapki koi theme choose karne ke liye kaha jayega aap apni pasand se koi bhi theme select kare.
Step 2:
Ab aapko blog ka koi bhi domain chunna hai free domain ke liye domain me WordPress lagaye jaise example.WordPress.com
Image me bataye anusar free domain ke samne select par click kare..
Step 3:
Ab select Free plan par click kare.
Step 4:
- Apna email address fill kare jisse aap WordPress blog banana chahate hai.
- Username select kare.
- Strong password banaye.
- Create account par click kare.
Bas ab aapka WordPress par blog ban gaya hai. Ab aapse email verify ke liye kaha jayega email inbox me jakar WordPress massagwe me link par click kar ke verify kar sakte hai.
Ab customize your website par click kare or aap WordPress blog ke dashboard par pahunch jaoge agar aapko WordPress ke bare me koi sawal puchna hai comment me bataye.
Sath hi agar aap WordPress ke bare me adhik janna chahate ho to hamari website par WordPress se related post padhiye aapko details se jankari milegi.
- WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
- WordPress Par Blog Banane Ke Bad Kya Kare – 50 Jaruri Tips
I hope aapko ye article achha laga hoga agar laga hai to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare taki wo bhi WordPress par free blog bana sake.
Sir mere pass pc Nahi hair,mai mobile me wordpress Kaiser install kru.kya ye possible hai
Mobile ke liye bhi same process hai.
accha article hai sir, mera blog abhi blogger par hai aur me jald hi wordpress par shift karne wala hu . aapke kai saare article wordpress ke baare me hai jisse mujhe help mil rahi hai. thanks
hello bro mai ek website banana chahta hu jisme sirf all language ke lyrics hoge..mere kujh swaal hai..
1. lyrics post se google adsense kaise approve karega kyuki uska content bahut kam hota hai.
2. kya wordpress par hi lyrics site banani chahiye ya kisi aur par?
3. kaun sa domain name accha rahega.
4. lyrics site ke liye kaunsi premium theme acchi rahegi.
Aap kisi aur ka content share karke earning ki ummid na hi kare to better hai.
sir me aap ki site ka regular reader hu aap ke blog ke help se wordpress aagya hu blogger se par me koe paint se ya ms office se koe image bna ke wordpress par lata hu to dikhta nhi please sir help me yeh dikkat kese dur karu
Aap sirf thumbnail support theme use karo main aapko pahlwe bhi kah chuka hu.
Me apka blog 1 saal se padh rha hu or bhut kuch sikha he or ab me apna blog start krna chahta hu LEKIN me wordpress ko payment nahi kr paa rha hu me 2 international debit card banva kr try kr chuka hu pr fir bhi payment nahi ho paa rhi he.
Aap please mujhe btaae ki payment kis card se hogi or kese hogi.
Jabki wordpress support wale bool rhe he ki mere card me problam he.
Please help me.
Aap credit card use kare ya fir kisi indian company se hosting le or wordpress.org par blog banaye.
Hello sir me stories aur poetries likhti hun aur me aapna ek blog bana na chahati hun WordPress me to me jana Na chahati hun ki kese blog bana na jyada acha rahega free ya premium ya fir agar me pehle free blog banaun aur baad me premium lena chahun to esa hosakta hai
Aap hosting le kar self hosted blog banao uski jankari yaha hai WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
Good job jume deen bhai
Hello sir mera blog WordPress com par hai ya WordPress org par muje ye pata nahi chal paa rha hai
Jis tarh se aapne likha tha mene usee tarh se sabkuchh kiya
Is psot me btaye tarike se aap wordpress.com par blog banaye ho wordpress.org ki jankair yaha hai WordPress Par Site Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
sir ,
me jab apni email id dalta hoo to vah support nahi karti hai yah massage show hota hai-----
Choose a different email address. This one is not available. If this is you log in now.
aur jab login karta hoo to password wrong bataate hai.. please help me.
Aap dusri gmail ID se try karke dekho ya password reset karo.
Aap wordpress.com use kar rahe ho wodpress.org par blog banao fir kar sakoge.