Google Adsense Search Ads Kaise Banaye Blog Me Kaise Show Kare

Google AdSense apni site ko monetize karne ke liye sabse best tarika hai. Blog se earning karne ke liye bhi AdSense top advertisment services me se ek hai, All blogger apne blog par text and display ads, link ad unit and AdSense search ads ki help se paise kamate hai. But AdSense search box ads ke bare me bahut se new bloggers ko information nahi hoti hai. In this tutorial, mai aapko AdSense search ads create karne or use blog me add karke money earn karne ke bare me details se bta raha hu.

Support me india search results

Adsense custom search engine ke alawa Adsense matched content feature bhi offer karta hai. Jisme aapke hi blog ki recommended posts show hoti hai. Isse aapke blog par reader ko apni pasand ki post padhne me aasani hoti hai. Google custom search engine se paise kaise kamaye.

Google Adsense Search Ads Kaise Banaye or Site Me Kaise Add Kare

Jab aap AdSense search ads ko apne blog me add karoge to search box me reader ke search karne par aapke blog ki post show hoti hai. Isme aap ek se jyada blog bhi add kar sakte ho. Isse readers ko content find karne me help milti hai. I mean isse aapko 2 benfits hai ek aapko free search box mil jata hai dusra aapki earning bhi hoti hai.

  • Adsense custom search engine use karne se aapke reader ko content search karne me aasani hogi.
  • Blog search box me search karne par kei bar galat keyword search karne par “No results found” error aata hai. Custom search engine se ye issue kafi had tak solve ho jata hai. kyuki google related keywords results show karta hai.
  • Sabse important bat isse aapki earning bhi hogi. jab bhi koi search box me koi keyword type karega to search results se pahle AdSense ads show honge. Reader ke in ads par click karne se aapki kamayi hogi. Example is screenshot me dekh sakte ho.

AdSense ads in search results

Now, aapko samajh aa gaya hoga ki AdSense custom search engine use karne se kya fayde hai. Ab second sawal hai “Google Adsense Par Custom Search Engine Kaise Create Kare?

Step 1:

  1. Iske liye aap first apne AdSense account ko open kare or My ads par click kare.
  2. Ab left sidebar me Search >> Custom search engines par click kare.
  3. New custom search engine par click kare.

Custom search engines

Step 2:

  1. Fill, your name, search engine ka koi name set kare.
  2. What to search ke samne “Only sites I select” choose kare. Isse search result me sirf aapke hi blogs ki post show hogi.
  3. Yaha aap jis website or blog ke liye AdSense search box use karna chahate ho uska link add kare. Aap yaha par per line ek se jyada blog ke URL add kar sakte ho. (Sites ke url se pahle https:// use kare jaise “https://www.supportmeindia.com“)
  4. Yaha par aapko apne blog se related keywords add karne hai. Example, jaise mai apne blog par blogging, SEO and  Make money par articles likhta hu.
  5. Use SafeSearch ke samne tick kare.
  6. Country or territory select kare.
  7. Site language select kare. I mean aapko search results kis bhasha me dikhana hai.
  8. Encoding me Unicode (UTF-8) select kare. (We suggest you choose the search encoding that matches the encoding of your browser. Not sure how do to this?)
  9. Transliteration ko ayse hi chod de kuch bhi choose na kare.

Custom search engines settings

Step 3:

Thirst step me popular queries ko ayse hi chod de or search box ke liye custom channels, search box style and ad style choose kare. Ye sab baki ads ki tarah hai. Actually, aap already ad create kar chuke ho so isme aapko koi problem nahi hogi. Aap easily ye step follow kar sakte ho.

Popular queries

Step 4:

Aapko AdSense search results kaha par show karna hai. Yaha aapke pas 3 option hai.

  1. on a Gooogle page in the same windows: Means aapke hi blog par google ke ek page me search result show hoga.
  2. on a Google page in a nre window: Means search result alag se google page me open hoga.
  3. on my website using an iframe: Means aap apni website or blog ke kisi page par search results show kar sakte ho. (Example, aap mere blog par search results dekh sakte ho.)

In my experiences, Mere hisab se apni hi site par kisi page me search result show karna better hoga. I mean 3 option choose kare.

  1. on my website using an iframe par select kare.
  2. Yaha par aapko us page ka URL add karna hai jis par aap search results dikhana chahate hai. (Aap apne blog par ek new page bana kar uska link is “https://www.supportmeindia.com/search” tarah set kare or use yaha paste kare.
  3. Width or results areas me 800px ya apne hisab se width select kare.
  4. Finally, Save and get code par click kare.

Search results areas

Ab aapka AdSense search ads bankar ready ho gaya hai. Ab aap apne blog ke dashboard par jaye or ek new page create kare. Uska link wohi rakhna hai jo aap upar “URL where search results will be displayed” ke samne add kiya hai.

Step 5:

Aap jaise hi Save and get code par click karoge to ek pop up windows open hogi. Usme search box code or search results 2 code honge.

Adsense search ads codes

WordPress or blogspot blogger dono ke liye same process hai aapko apne blog par ek page create karke usme search results code paste karna hai. or first code blog widget me add karna hai

Blog Me Adsense Search Ads Kaise Show Kare?

  1. Search box code: Ab aapko ye dono search engine ads code apne blog par add karne hai. Iske liye aap first search box code ko apne blog ki sidebar widget, menu bar ya aap jaha chaho waha widget me add kare.
  2. Search results code: second code ko aapne jo abhi new page banaya tha us par ja kar html section me paste karke save kar de.

All is well! You are done, Ab sab setting ho chuki hai or aap search ads se paise kamana shuru kar sakte hai. Agar aap search box ka size change karna chahate ho to aap first code me “Size=” ke samne ads size value set kar sakte ho.

Finally, aap css code ki help se apne AdSense search box ko design kar sakte ho. By the way, ek bar apne search box ko try kar le or agar aapko koi problem ho to niche comment me uske bare me puch sakte ho.

I hope aapko ye article pasand aayega or aap aasani se google AdSense search box ads yani custom search box create karke usse money earn karna start kar sakoge. So ho sake to is post ko other blogger ke sath jarur share kare taki wo bhi iske bare me jan sake.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 95 )

  1. Vakil brodhar
    Aapki 0.97 total earnings bata raha hai vo YouTube video ki hogi, aapki site ki nahi

    Reply
  2. जुमेदीन सर
    मैने AdSense apply किया था ! और disapprove भी हो गया ! और जो mail आया है वह यह है !
    मुझे समझ नही आ रहा है क्या करण है disapprove करने का ! Please help me अब क्या करना है

    Reply
    • आप अभी ब्लॉग पर थोडा और कंटेंट लिखो और ट्रैफिक बढाओ ब्लॉग की सारी कमिया पूरी करो लोगो, फूटर लिंक, साइडबार widget सबअच्छे से सेट करो जैसे दुसरे ब्लॉग पर होते है उसके बाद AdSense के लिए अप्लाई करना।

      Reply
  3. Bahut hi archi post, meri kafi problem solw hui, sir ak baat kehna chahunga, is question ke baare me maine aapko pahele bhi pareshan kiya hai, but ye last baar, sorry sir sirf iska answer,
    ki meri site templet me allredy 2 search box pahele se add hai, or ab me widget me new serch box add nahi karna chahta hu kyu ki is se tho di site speed kam hogi or 3 search box ho jayega, old search box ki desine bhi best hai, isliye me templet body me old serch box me AdSense ke ads add karu to koi problem nahi hogi na,

    Reply
  4. hello jumedeen bhai kaise hai AAP . mai kaam Pe jata hu isliye time…. mobile75help.blogspot.com is site me blank ads show rahe hai kya maine aj AdSense account check kiya to 0.97
    total earnings bata raha hai. mager AdSense ka approved email to nahi aya. please please check karke bataiye.

    Reply
    • ahi aapke blog par ads show nahi ho rahe.

      Reply
  5. sir,plz ap ye 2 sawal ki jawab di je 1>WordPress blog ki post or comment par sitcker kaise add karte he jese fb par he smile face,sad etc style ka sticker.
    2>ap share button kelie konsa plugin use karte ho.

    Reply
    • Same wese hi aap WordPress comeemts me bhi sticker use kar sakte ho jaise facebook par karte ho. mai jetpack plugin use karta hu.

      Reply
  6. Bro अगर कोई YouTube के बिना ब्लॉग से ही एडसेंस approve करना चाहे तो वो कैसे कर सकते है जैसे मैने कल अपना ब्लॉग चैक किया तो उसमें एडसेंस वाले ऑप्शन पर मैने क्लिक किया तो एक एडसेंस का विजेट मेरे ब्लॉग पर add हो गया हैं अब मै ये जानना चाहता हूँ की मैंने एडसेंस का hosted account YouTube से बनाया था तो अभी उसमें 10$ नही हुए हैं तो क्या ब्लॉग पर ads लगाये जा सकते हैं या नही या 10$ के बाद ही ads लगा सकते हैं और अगर किसी का hosted account नही हो to वो डायरेक्ट ही कैसे बिना hosted account ke blog के जरिये ही एडसेंस approve kr सकता हैं?

    Reply
    • Aap first domain buy karke use blog me add karo uske bad domain ko AdSense site management me add karke apne blog par ads lagao.

      Reply
  7. jume deen sir
    1)
    aapne kaha tha ki main mere blog me. com ki jagah .in lagakar add karta hu to alexa widget add ho jayga. lekin mene essa karke dekha fir bhi alexa widget add nahi hua. kyoki mera blog alexa se verify nahi nahi or verify ke liye paise pay karne honge. jab alexa free tha tab aapne apni site ko alexa ke liye verify karaya tha issliye aap free me alexa widget use kar rahe honge. mera question ye hai blogger jinhone pahle se alexa se apni site ko verify kara kara liya hai kya vo dusre logo ki site par alexa widget add kar sakte hai….

    2) meri sabhi post google search me aa rahi hai fir bhi google se bhut kam visitors aate hai 20-50 essa kyo hai.

    3) main highlish me post likh raha hu to main AdSense ke liye apply karunga to konsi language choose karu.

    4) mere blog ko 6 month ho chuke or total post 42 hai kya AdSense ke liye apply karunga to apporoved ho jayga daily views 100-400 hai.

    5) agar AdSense disapproved hua or mene AdSense me sign up kar diya to main YouTube wala tarika use kar sakta hu.

    6 & last question aap mere blog par jaker dekh sakte maine ek dum real or ogerignal or jitna ho saka utni seo wali post ki hai. kya main aapki site par gurst post kar sakta hu…..

    Reply
    • 1. Manish mai aapko 2-3 bar samajha chuka hu par aapko koi bat samajh nahi hi nahi aati. Ab isme mai kuch nahi kar sakta. Sorry
      2. Aap blogger ke bare me post kar rahe ho jiske bare me lagbhag har koi janta hai. Ab koi dubara wohi post padhna pasand nahi karega.
      3. hindi choose karo.
      4. Agar aapke blog par daily 500+ traffic hai to bilkul approved ho jayega.
      5. Nahi aapko fir se AdSense ke liye apply karna hoga.
      6. Mainsh ji aysa sirf aapko lagta hai ki aap SEO friendly post likh rahe ho. Pahle aap SEO ko ache se samajh lo. Aap guest policy padho usme sabkuch bta chuka hu.

      Reply
  8. sir, mera aapse question hai-
    1. mere search console me blog indexed nahi dikha raha hai, iskeliye mai dubara search console me submit kiya phir bhi indexed nahi dikha raha hai.
    2. mai coding sikhna chahta hun, iskeliye hame kahan jana padega.
    3. mai money mail par bhi work karta hun, lekin usme kabhi-kabhi security error dikhata rahta hai.

    Reply
    • 1. aap check karo ki aapke blog search console me submit hai ya nahi or agar hai to aap gwt ko iske bare me feedback send karo.
      2. Aap online khud bhi blogger par coding sikh sakte ho iske liye aap ek alag se blog bana kar use design kiya karo ya aap kisi site developer se iske bare me bat kar sakte ho.
      3. Ye PTC site hoti hai inme aysi problem hoti hai. Aap in par apna time west mat karo.

      Reply
  9. Blogger Me Kaise Lagana Hai Yeh Toh Samaj Aa Gaya Lekin WordPress Me Lagane Ka Tarika Samaj Nhi Aaya

    Reply
    • Dono ka same tarika hai first code widget me add karo or second code blog ke kisi page me. Post ke step ache se read karo samajh aa jayega.

      Reply
  10. Bhai aapne ye jo number wale Teer ke nishan lagaye hai ue kon se software ki madad se lagte hai

    Reply
    • photoscape

      Reply
      • Boss search preferences me META TAG DESCRIPTION ko apne hisab se feed kar diya hai, kya jab post likhte hai to fir right hand per lebels ke niche search description me likhna zaruri hai ,ya only lebels use kare ?

        2. Blogspot per jab custom domain lagate hai to kya pahle (blogspot) ki sari posts/comments ko bhi domain per transfer kiya ka sakta hai ?
        3.blogspot ke liye kaun sa templates sahi hai, please TEMPLATES ka NAME zarur bataye, because ap use kar chuke hain,
        Thanks in Advance

        Reply
        • 1. Ha har post me search description add karna jaruri hai.
          2. ha kar sakte ho.
          3. aap google me search karo 100ro milenge jo best lage wo use karo.

          Reply

Leave a Comment