Photos / Images Ko Word and Text Documents Me Convert Kaise Kare

Bahut bar hume photos / images par likhe text jaise shayary, poetry, quotes, motival story and other words ko text version me likhne ki jarurat hoti hai. But hum me se bahut kam log jante hai ki aap kisi bhi image ko words, excel and text documents me convert kar sakte ho.

Free online image to text documents converter tool

Internet par aapko image to text convert karne wali bahut sari tools mil jayegi. But yaha mai aapko jiske bare me bta raha hu wo bahut hi simple tool hai or iske feature bhi bahut easy hai.

Image Ko Text Me Kyu Convert Kare Isse Kya Fayda Hai?

Images ko text documents me convert karne se bahut fayde hai. Bahut bar jab aap kisi image par likhe 100, 200, 500 or 1000 words ko text dcuments me chahate ho to aapko ek ek word type karna padta hai.

Jisme bahut time lag jata hai but aap free online OCR service and convert scanned PDF to word tool se is kaam ko kuch hi second me kar sakte ho.

  1. Aapko bahut sare pages ki typing nahi karni hogi. Avoid typing.
  2. Text documents image se kahi jyada search kiye jate hai so aapki site ki search rank increase hogi.
  3. Sabse badi bat ye bilkul free service hai.
  4. Image ko text me badal kar aap uski spelling mistakes solve kar sakte ho.
  5. Aap text ko apni styel me likh sakte ho.

Photos / Images Ko Word, Excel and Text Documents Me Convert Kaise Kare

Sabse pahle aap onlineocr.net site par jaye.

  1. Ab select file par click karke apne computer me se wo image file choose kare jise aap text words me convert karna chahate ho.
  2. Bhasha (language) select kare.
  3. File format select kare. Aapko text chahiye to text plain (text) select kare.
  4. Ab captcha code add kare.
  5. Finally convert button par click kare.
  6. Yaha par se aap image par likhe text ko copy kar sakte ho.

convert file image to text

Now, Ye image ko text me convert karne ki bahut hi simple trick hai. Aap ise try karne ke bad ye bat jan jaoge to ab aapko kisi bhi image text ko type karne ki jarurat nahi hogi.

Isse aap minuto ka kaam kuch hi seconds me kar sakoge. I hope aapko ye tips pasand aayegi or ye aapke baut kaam aayegi.

So ise social media par apne dosto ke sath bhi jarur share kare jisse unhe bhi iske bare me pata cha lsake.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 39 )

  1. भाई मेरी एक lyrics website है , और उसमें मेने थीम भी डिली है, पर एक प्रौब्लम आ रही है, मेरी थीम की उपर की पोस्ट जरासी धुंधली दिखती , में क्या करु , मुझे कोडींग भी नहीं आती ।

    Reply
  2. mujhe ye jaanna hai ki maine blog banaya hai jis par accha traffic bad raha hai.main ab apne blog me add lagana chahta hu. plz iska mujhe pura tarikabataye sir

    Reply
    • iske liye mai already kei post kar chuka hu wo check karo.

      Reply
      • Sir main ye janna chahti ho ki ..main images create krti hoon usme apni shayri likh k khus se images create krti hoon…use google me kaise dalu…kaise famous karoon kya koi website banau ya blog ya kuch aur plz reply and help…

        Reply
        • आप चाहे तो अपनी खुद की वेबसाइट बना सकते हैं या फिर आप सोशल मीडिया फेसबुक, ट्विटर और इंस्टाग्राम का इस्तेमाल करके अपनी इमेज शेयर कर सकते हैं

          Reply
  3. sir jayese ki hmare votar id me manoj kumar likha hai mi usko manoj singh karna cahata hu aur use scan karke word chenge karke vaise hi print kana cahau tokaye karu ples

    Reply
    • Iske bare me aap kisi e mitra ki shop par bat karo.

      Reply
  4. sir wapka pr …site kaha banayi jati hai ….aur kya site free bansakti hai ….

    Reply
    • Wapka par aap free site bana sakte ho aap google me search karo iske bare me aapko post mil jayegi.

      Reply
  5. sir mai ek aisi website banana chahta hu jisse log kuch v download kre to uske paise mujhe mile ….jaise song videos image apps wagaira

    Reply
    • ske liye aap wapka par site banao.

      Reply
  6. sir kya ..mobile se blogging ki ja sakti hai

    Reply
    • ha ki ja sakti hai but choti screen par aapko writing me problem hogi.

      Reply
  7. sir… yha tk ki mai suna hu ki jis website ke url me http ho wo website me kuch problem ho skta hai ya fir hack hota hai use use nhi krna chahiye krke… par aapke website to http hai na ki http… kyu ?

    Reply
    • http security aapke liye tab jaruri hoti hai jab aapki site par customer online payment karte ho i means jab aapki site par fund lend den hota ho to aapko http ki security jarur hoti hai .Mai ek blogger hu or world ke top blogger bhi http security use nahi karte ye mostly bank jais site par use ki jati hai. Isse aapki site secure rahti or hacker aapki site ko aasani se hack nahi kar pate hai. hume bina http ki security wali site par pay nahi karna chahiye but iska matlab ye nahi hota ki aap us site ko use hi nahi kar sakte. Ek important thing internet par kuch bhi secure nahi hota yani koi bhi site hack ho sakti hai.

      Reply
  8. Ye bahut kaam ki jankari di hai apne thanks

    Reply

Leave a Comment