Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare

Google AdSense hindi blog ke liye sabse best advertising program hai. Bahut se blogger apne blog se earning karne ke liye adsesne hi use karte hai. Is article me mai aapko AdSense par payment & country address yani payee profile payment address details change karne ki information de raha hu. Agar aapne AdSense account address add akrte time koi glati ki hai to aap yaha btaye step follow karke apni payee profile me se misspellings ko fix kar sakte ho.

How To Change Payment Address in Google Adsense Account

New blogger, khas kar ke hindi blogger ke liye AdSense humesha sir dard bana rahta hai or wo galati se AdSense account banate time address dalte time galti kar dete hai. Jabki google ki terms & conditions ke anusarr humara AdSense address or bank account address ek hi hona chahiye.

Agar aapka bank account name AdSense ke name se nahi mil raha or aap se spelling mistake ho gayi hai to aapko AdSense ka payment milne me problem ho sakti hai. Adsense par hum account banate samay jo address bharte hai wo humari payee profile hoti hai or payee profile me humara jo name hota hai AdSense hume usi name ke bank account me payment send karta hai.

Hum payee profile address ko change nahi kar sakte but isme huyi mispelling mistkas ko theek kar sakte hai.

Pahle hum AdSense par payment address ki mistake change ya edit nahi kar sakte the but ab AdSense ne payee profile ko edit karna allow kar diya hai. Ab hum AdSense par apna payment & country address change kar sakte hai. But ye aap tabhi kar sakte ho jab aapke AdSense account me payee profile ko edit karne ka option enable hai.

Is service all country me available nahi hai. Aap sirf Algeria, Bahrain, Bangladesh, Brazil, China, Egypt, India, Indonesia, Jordan, Kuwait, Lebanon, Libya, Malaysia, Morocco, Nepal, Oman, Pakistan, Palestine, Philippines, Qatar, Saudi Arabia, Singapore, Sri Lanka, Thailand, Tunisia, United Arab Emirates, Vietnam and Yemen countries me hi payee profile edit kar sakte ho.

Ye article 17 march 2024 ko likha gaya hai or aane wale time me google AdSense terms change ho sakti hai.

Google Adsense Account Me Payee Profile Payment Address Edit Kaise Kare in Hindi

Aap niche diye step ko follow kar ke google AdSense me apna payment address edit kar sakte hai.

Step 1:

Sabse pahle aap adsense.com site par jaye or apni gmail id se sign in kare.

  1. Adsense par right side me setting ke gear icon par click kare.
  2. Ab pop up menu me Payments par click kare.
  3. Ab left side sidebar me Payee Profile par click kare.
  4. Payee profile ke niche Edit option par click kare.

Change payment address

Step 2:

Ab aapke samne payment profile edit karne ka page open hoga. Yaha aap apne name or address me huyi spelling mistake ko theek kar sakte ho. Yaad rahe aap yaha jo information bharoge aapke bank account ki information bhi yahi honi chahiye. I mean AdSense or bank account me aapka name same hona chahiye.

  1. Apna country select kare.
  2. Agar aapne business plan ke liye AdSense account banaya hai to apna business name add akre or agar aapne Individual yani sirf apne liye AdSense account banaya hai to aapke AdSense account me ye option nahi hoga.
  3. Apna wo name sahi se check kar le jo aapke bank account me hai koi mistake ho to use theek kar le.
  4. Apna sahi address bhare.
  5. Apne city ka name select kare.
  6. Apna pin code enter kare.
  7. Aap jis state me rahte hai, wo select kare.
  8. Finaly save par click kare.

Set up payment address

Bas ab aapka AdSense payment address change ho gaya hai. India me bahut si loaction par payment address change karne ka option enable nahi hai. Agar aapke AdSense account me payee profile edit karne ka option available na ho to aap google AdSense help center me is bare me discuss kar sakte hai.

Ummid karta hu aapko AdSense se related ye article pasand aayega. Abhi AdSense ke bare me sikhne ko bahut kuch hai. Maine iske bare me or bhi post likhi hai aap wo bhi jarur padhe. Sath hi aap bhi humari help kijiye or is post ko apne friends or other AdSense users ke sath share kijiye.

If you like this tutorial then share this article on social networking sites with your friends and some other google AdSense members.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 58 )

  1. Thank You For Your Best Help….

    Reply
  2. Sir. Mujhe ye bataye ki maine apne dost se ek hosted AdSense buy kiya hai
    Kya mai use apne blog par use kar sakta hu
    Or kya usse mujhe earning hogi ?
    Agar ye ho sakta hai to mujhe iska tarika bataye

    Reply
    • hosted account to 2 minute me ban sakta hai kharidne ki kya jarurat thi. Are bhai YouTube par 4-5 video bana kar upload karo or hosted AdSense account bana lo. Problem to aage hai use complete approved karane ki .Uske bad hi aap apni site par ad laga sakte ho or paise kama sakte ho.

      Reply
  3. Jumedeen ji mera pan card me name homlal aur bank account me homlal dhimar hai to kya Mai AdSense me name kya dalu

    Reply
    • Ha bana sakte ho.

      Reply
  4. Hello bro,
    kya hum menu or Logo ke bich main AdSense ads. laga skte h.
    matlab menu ke uper ads. lga skte h kya.

    Reply
  5. Music site kaun si platform par banti hai. Aap music website kaise banaye par post write kijiye please bro apko maine aaj se 1 month pahle bhi kaha tha.

    Reply
    • Sandeep uski internet par jyada demand nahi hai. Meri post likhne ki mehanat bekar hi jayegi. aap wapka par try karo.

      Reply
  6. Mere blog me menu edit nhi ho rha h jab bhi me edit karta hu to Jo category pahle se hoti h jaise business ki be delete nhi hoti h aor n hi # delete hota hai ye sab kaise hoga jisase me #ki jagah apne blog ka URL dal saku

    Reply
  7. sir mera post google search me show ho rha he but googale pluse se show ho rha he mera blog se nahi aisa kyu, ur isse koi problem,, ya isme kuchh setting karna padega

    Reply
    • Jab aapki post par traffic aayega. Tabhi post search me aayegi.

      Reply
  8. Bhai assalamu alaikum…bhai abhi just raat ko 1baje google AdSense ki taraf se 2mail aaya hai bhai samjh nahi paraha hun kiya ye kiya mail hai plz help kren bhai…sabse pahele ek mail aaya hai ki 1.Keep your account in good standing by adhering to AdSense policies
    3 key policy to keep in mind..
    Here are 3key policy reminders.
    Avoid placement..don’t use copyright content…keep your content family safe….
    Aur dursa mail hai bhai ki improve preformance and earnings with insight from your AdSense report…uske neeche view trends and compare stats to learn more about your user …uske baad kich point diye huye hain plz help kren bhai ye kiya hai dono mail me…mere site me kuch google policy ka ulanghan to nahi hua hai…10 din pahele hi approve hua hai bhai adsense…aur jabse mene 3post hi daala hai…kahi usme to kuch mistake nahi hua hai…plz help kren bhai mujhe google AdSense ka msg samjh me nahi aaraha hai …ye kuch delete krne bol raha hai ya kuch guide ke liye msg aaya hai plz jaldo reply de bhai…

    Reply
    • w/a aap mujhe puri report dikhao. Jisse mai aapki sahi help kar saku.

      Reply
      • Bhai mene aapko facebook pe bheja hai pura image aap ek baR check kren fb ka page aapja support me india pe…mene dono mail ka screen short bheja hai

        Reply
        • Ok mai check karke aapko reply kar dunga.

          Reply
  9. mere blog pr 3 post h fir bhi AdSense enable ho gya h to account bana le ya nhi

    Reply
    • Bahut achi bat hai. Ab aap ads bana kar blog me lagao or uske bad blog par traffic badhane par dhyan do.

      Reply
  10. Bhai isko change karke toh ham kishi bhi ke bank account me payment le sakte hai . agar ham payee profile change karte hai toh payment mode bhi payee profile ke naam se hi hoga . kya esa ho jata hai .

    Reply
    • Yes, you are right but ye har location par available nahi hota hai. Ye google ki terms hai. Abhi enable hai aane wale time me isme changes bhi ho sakte hai.

      Reply

Leave a Comment