Blogger Blog Me Subdomain Kaise Use Kare – Aasan Tarika

BlogSpot Blog Me Subdomain Add Kaise Kare? Blogger Me Subdomain Use Kaise Kare? Blogger blog me sub domain add karne ki jankari. Google free blog me sub-domain ka istemal kaise karte hai? In sabhi sawalo ke jawab aapko is post me mil jayenge. Yaha main aapko blogger me subdomain use karne ke bare me step by step bta raha hu. Is process ko follow karke koi bhi aasani se blogger me sub domain use kar sakta hai. Blogger Me Subdomain Use Kaise Kare Ki Puri Jankari.

Use Subdomain on Blogger Blog

Google ki free service blogspot jise blogger bhi kaha jata hai apne customers ko free domain offer karti hai or user chahe to apna own custom domain bhi blogger blog me add kar sakte hai. Iske bare me main already Blogger Me Custom Domain Kaise Add Kare post me information share kar chuka hu.

Is post me main blogger me subdomain add karne ke bare me jankari de raha hu. Actually, mujhse kai bar audience is bare me puch chuke hai or aakhir me mujhe laga ki mujhe is bare me likhna chahiye taki un sabhi bloggers ki help ho sake jo blogspot par blogging karte hai or subdomain isktemal karna chahate hai.

Main yaha aapko blogger me subdomain add kaise kare? blogspot me subdomain use kaise kare? jaisi problem ka solution bta kar is pareshani ko khatm kar raha hu. Is method ke bad aap blogger me bhi submain use kar sakte ho. Wordpress me hum easily chahe jitne subdomain use kar sakte hai. Iske liye bas hume hosting cpanel me subdomain create karna padta hai but blogger me iski process thodi alag hai.

Blogspot Blog Me Subdomain Kaise Add Kare Ki Jankari

Jis tarah hum blogger me custom domain add karte same wese hi hum blogger me subdomain istemal karte hai. Iske liye aap ye steps follow kare.

Step 1:

Sabse pahle aap blogger.com site par visit kare or Settings >> Basic option par jaye. Ab Publishing setting me ye step follow kare.

  1. Ab + Setup a 3rd party URL for your blog option par click kare.

Add subdomain on blogger blog

Step 2:

Ab yaha par “We have not been able to verify your authority to this domain.” Error show hoga or aapke samne 2 cName records onge. ye dono aapko notepad par copy kar lene hai ya fir aap browser ke ek tab me ise open rahne de kyuki bad me aapko ye setting save karni padegi.

  1. Dono CNAMEs record ko copy kar le.

Add subdomain in blogger blog

Step 3:

Ab aapko ye 2 cname record domain DNS setting me add karne hai. Iske liye aapne jis  site se domain liya hai us par jaye or apni log in ID se login kare. Main yaha aapko godaddy ke steps bta raha hu.

  1. Domain site like godaddy par jaye or log in karke domain list open kare.
  2. Ab aapko jis domain par subdomain use karna hai us domain par click kare.
  3. Ab Manage DNS setting par jaye.
  4. Yaha aapko Records ka option dikhayi dega jisme kuch A, cNAME, NS record dikhayi denge. Bas isi me aapko blogger e mile CNAMEs record add karne hai.
  5. Records option me Add ya Add Record par click kare.

Ab ye steps follow karke domain setting me DNS record add kare.

  1. Type field me CNAME select kare.
  2. Host field me subdomain add kare. Aap demo.example.com ya sirf demo type kar sakte hai.
  3. Points to field me ghs.google.com add kare.
  4. TTL custom rakhe.
  5. Finally, Save par click kare.

Add DNS record on domain setting

Step 4:

Setting save karne ke kuch time bad domain setting confirm ho jayegi. Uske bad aap fir se blogger.com par jaye or Settings >> Basic >>Publishing par visit kare.

Agar aapne pahle se browser tab me ye page open kar rkaha hai to yaha par save par click kare.

  1. Yaad rahe is Redirect wale option ko tick nahi ksrna hai ise aese hi rahne de.
  2. Save button par click kare.

Add subdomain on blogspot blog

Congratulations!  aapke blog me subdomain add ho chuka hai. Ab kuch hi time bad aap subdomain se blog open kar sakte hai. Kai bar NDS record update na hone ki wajah se isme 24 to 48 hours lag jate hai so agar aapka blog subdomain se open nahi ho raha hai to aap 1-2 day wait karo.

Is tarah aap blogger blog me subdomain add kar sakte ho. Is aasan tarike se aap blogspot blog me subdomain use kar sakte ho. Agar aapko is process me koi bhi problem hoti hai to aap comment me hume pani problem bta sakte hai.

Agar aapko ye jankari achhi lage to ise social media par apne friends or dusre bloggers ke sath share karur kare. Unke bloggers ke sath jarur jo blogspot use karte hai.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 35 )

  1. please help,

    1. The domain yourmagzi.com is no longer parked by GoDaddy./ ye kaise shi hoga, isese mai bahut presaan hu, please details se btaye
    2. about aurthor page me meri photo nhi dikhti hai, jabki mai photo link ko dusre tab me paste karke dekhta hu to dikhta hai
    3.facebook page ka url kaise pta kre

    Reply
    • 1. Contact your domain support.
      2. About author box me photo add karo.
      3. page open karke browser url check karo.

      Reply
  2. bahut se logo ko iske baare me jaankari nahi hoti, badhiya jankari di apne

    Reply
  3. Pop under Ad Use Karnese Kya Nuksaan Hai Kya Aap.Mujhe Batayenge

    Reply
    • Adsense ye allow nahi karta.

      Reply
  4. Badhiya information.. Kuch unique information aapne batayi. Maine ek bar sub domain isi trah set kiya tha but kuchh din traffic – rank ki problem aayi. Kya ye traffic par effect karta hai?

    Reply
  5. Sir hum sitemap ka page apni website mai kasie laga saktey hai jasie apne footer mein use kiya hai

    Reply
  6. Blog par post published Karne ke kitne time baad o post google search engine me aapne lagti hai.

    Reply
    • Agar SEO optimized or unique content ho to kuch hi minute ya hours me search me aa jata hai.

      Reply
  7. Maine is trick ko pahle hi try kar liya hai starting me jab mai
    Data.Selfpublichelp.com

    Likhta hu to o direct save ho jata hai.
    Usko verify ke liye koi code nhi aata hai.

    Reply
    • Iski wajah se aapne pahle se blogger me domain add kar rakha hai. Pahle uske DNS record ko delete karo fir add karo.

      Reply
  8. Iske liye phle domain Lena padega kya
    .
    First me domain kha se Lena chahiye.

    Reply
    • Yes godaddy se.

      Reply
  9. BHai aapne subdomain ke bare mai bahut hi achi janakri de.

    Reply
  10. Bahut achhi post hai… Magar mera ek sawal hai ” Kya blogger 2 Domain use kar sakte hai jaise – #1. example.com #2. demo.example.com”?

    Reply
    • Iske bare me bhi jaldi hi jankari share karunga.

      Reply

Leave a Comment