2024 Me Blogging Kaise Start Kare – 8 Best Tips for Beginner [Hindi]

Agar aapka mood bana hua hai blogging me aur aap blogging start karne wale hai to ek baat yaad rahe ab ye 2024 hai aur blogging advance level ki ho chuki hai. Blogging start karne me aapko bahut kuch pahle se aur achhe se planning karni hogi.

2024 Me Blogging Start Kaise Kare

Bahut si cheeje taiyaar rakhni chahiye taki blog me achcha khasa traffic aa sake aur aap bahut kam time me success blogger ban sake. Is post me main aapko 2024 me blogging kaise shuru kare ke bare me btane wala hu.

To friends jo blogging hai uska trend badhta hi jar raha hai koi success hota hai aur koi nahi hota but sahi guide milne par ham success ho sakte hai ye 2024 hai jisme blog ka competition level aur bhi badh gaya hai.

Ab blog me success hone ke chance aur bhi hard ho chuke hai aise me kam samay me popular hona aam baat nahi hame planning karke kam karna chahiye blog me hame money bhi invest karna chahiye.

2024 Me Blogging Shuru Kaise Kare – Beginner Guide in Hindi

2024 Me Blogging Shuru Karne Ka Tarika Hindi Me. Agar aap abhi blog banane wale hai to apko kuchh bate yaad rakhni chahiye uske pahle ye baat jaan le google par hindi blog thousands se bhi jyada hai to baat aati hai ki blog banane ka fayda tabhi hoga jab usme achcha traffic ho aur alag hi quality ka aapka blog hona chahiye to mai neeche bata raha hu ki 2024 me blogging kaise start kare.

1. Create a Facebook Page and Promote

Agar aap blogging start karne wale hai 2024 me to sabse pahla kaam ki blog banane se pahle ek facebook page jaroor bana le usi naam ka jis name ka blog aap banane wale hai.

Promtion karne ke liye jis subject me blog banane wale hai to facebook page me bhi usi subject se related article likhe kam se kam 50 se 60 words ki taki logo ko apki writing pasand aaye aur log aapke facebook page ko like karna start kar denge.

2. Create a Twitter Account

Twitter me bhi apne blog ko promote karne ke liye ek account bana le aur chaho to usme bhi apne blog subjects se related articles ya chhote mote apne blog ke subjects se related bate share kar sakte ho taki follower badhe agar aapka blog tech related hai to daily 4- 5 line tech related likho aur twitter par share karo.

3. Make Video in YouTube

Facebook aur twitter article likhne ke baad aap youtube channel bana kar us par kuch video bhi bana sakte ho jo apke blog ke hisaab se ya apke article unhe pasand aaye aise kuchh types ke video bana sakte ho aur agar 3- 4 video unhe pasand aa gayi to aakhir me aap last me unhe bata sakte ho ki aap blog banane wale ho aur kaun aapka support karega.

4. Create a Blog

Ab baat aati hai blog banane ki to aap blog ka name choose vohi karenge jo apne facebook page, twitter, youtube me rakha tha aur uske baad use khoob share karo taki logo ko pata chal jaay ki apne blog banaya hai aap blog banane ke liye koi bhi blogging platform choose kar sakte ho wordpress ya blogger jisme aapki jaroorat poori ho aur comfortable ho use choose kare.

Is sabki jankari yaha hai,

5. Make Better Blog Design

Blog banane ke baad sabse jyada jaroori rahta hai ki blog ka sahi se design aur look kaisa hai to aap blog ke liye badhiya sa premium theme choose kar le yaad rahe agar aapko blogging serious tareeke se karna hai to chahe blogger ho ya wordpress better look ke liye premium theme bahut achchi mani jaati hai.

6. Buy a Domain and Hosting

Agar aap professional tareeke se blogging karna chahte hai to aap apne blog ke liye domain buy kar sakte ho isse blogging me alag hi quality aa jati hai aur blog professional dikhne lagta hai. agar aap wordpress user hai to blog ke liye better hosting aur domain lena bahut jaroori hai.

7. Now Write a Post

Aakhir me baat aati hai content writing ki to aapko agar post likhni hai to usi ke hisaab ki post likhe jiske bare me apne pahle planning ki thi jiske bare me aapne users ko bataya tha.

Jab post likho to kam se kam 700 words ki likho isse visitors aur bhi attractive honge to jo bhi apne post kari ho ab aap post ko facebook page, youtube, twitter me sab me share kar de uske baad dekhiye kitna traffic aata hai.

8. Submit Blog in Search Engines

Sabse last step me aata hai ki aap apne blog ko search engine me submit kar de jaise google, bing, yandex me aur ha dosto jo bhi post likhi ho uske bare me apne readers ko bhi baatay ki hamara blog search engine me aa gaya hai isse apke blog ki popularity badhegi aur kam time apka blog aage bhi badhega.

At last, Supportmeindia ek bahut hi achcha blog hai aur mai is blog ka regular visitor hu to mai is blog ke madhyam se aap logo ko kuchh blogging tips diya hu taki jo blog banane wale hai unki kuch help ho sake.

Agar aapko ye psot achhi lage to ise social media par share jarur kare.

Avatar for Sumit Mishra

by: Sumit Mishra

Mujhe Blog par post likhna aur videos banakar YouTube par upload karna ddono hi bahut pasand hai.

Comments ( 59 )

  1. Sir mujhe yh blog pasand aaya or yh post bhi good lagi

    Reply
  2. assalamu alaiqum bro aap bht hi jabardasht likhte hai mai apki saari post read karta hu apse ek help chahiye. aapki child theme latest post me 3 post show hote hai ..yeh coding hai se hua hai ya apne kuch aur tarike se kiyaa hai .. ager coding hai to ap code bata sakte hai kaha karna hai ya de sakte hai. aur niche menubar hai apki badi meharbani hogi

    Reply
    • W/a bro ye genesis features posts se add kiya hai.

      Reply
  3. nice post brother bhai koyi achha video editor batao jisse youtube video ki pro edit kar sake

    Reply
    • camtasia

      Reply
  4. bhai meree website bing me direct open ho jatee h khali name dalkar aur google me open ni hotee h mereee site me 17 blog h 13 index h bhai btaao me kya kroo jis se site mereee direct means bina www ke open ho jay blog me mene ip bhi dal liye h blog me bhai age muje kya krnA PLAESE HELP ME

    Reply
  5. bhai laptop me screenshot kaise lete h

    Reply
    • Use lightshot.

      Reply
  6. sir hame abhi is blog ke baare me pata chala hai ham 4 friends hain jo apke daily visitors bhi hain, to ham sab ek hi post me saare quiz kar lete hain.
    1. sir wordpress par free blog banane par kya hosting ki jarurat hai(xyz.wordpress.com)?
    2. sir domain bar bar change karne par pure post ke permalinks change karne padenge?
    3. sir agar 2 blog alag alag gmail id se hain to uske liye adsense ke liye alag alag apply karna hoga?

    Reply
    • 1. Nahi but wordpress.org better hai kyuki wordpress.com par apako har feature ke liye pay karna hoga.
      2. Nahi but internal links change karne honge.
      3. Nahi aap ek hi blog se adsense approve kar dono par ad laga sakte ho.

      Reply
  7. Kaphi Achhi post hai Sir,,,,,,Sir Mere Blog par Daily 250-300 Visits hote hai Ek Baar mere Blog ko Review kijiye Aur Kuch Suggest kijiye ki Visitors kaise badhaye

    Reply
    • Write quality content.

      Reply
  8. very nice post sir bhaut knowledgeable post hei

    Reply
  9. भाई आपने बताया कि ब्लॉग के लिए विडियो बनाओ। भाई कम्प्यूटर स्क्रीन को रिकॉर्ड करने के लिए बेस्ट सॉफ्टवेयर कौनसे है?

    Reply
    • OBS studio ya Icecream screen recorder use karo.

      Reply
  10. Sir Mai apke blog me guest post likhna chahate hu please sir give me one chance, sir Mai new blogger hu

    Reply
    • Read guest post policy.

      Reply

Leave a Comment