Blog Post Publish Karne Ke Bad Use Promote Kaise Kare

Agar aap ek blogger hai or aap continue blogging kar rahe hai. magar aapke blog par traffic naam matr ki hai to ye post aapke liye bahut important hai. traffic har blogger ke liye ahem hai. sirf achi post likhna hi traffic badhane ka upaye nahi hai, aapko post likhne ke bad use promote karna chahiye. is post me blog post ko promote karne ke jo tarike btaye gaye hai.. aap in tariko ko follow kar ke apne blog ki traffic 50% tak  badha sakte ho.

promote blog post after publish

aap apne blog par post likhne ke bad use kaha kaha share karte ho. google+ , facebook or twiiter. kya aapko pata hai abhi or bhi bahut si jagah hai. jaha aap apni site ki post share kar sakte ho. yaha hum post ko kaha share kare ke bare me janenge.

Blog Post Publish Karne Ke Bad Use kaha Kaha share Kare

1. Social Networking Sites;

[A] Google Plus;

Blogger blog ke liye google plus logo tak apni baat pahuchane ka sabse acha tarika hai.  lagbhag 80% log facebook ke baad google plus hi use karte hai. isliye blogger ke liye ye facebook ke bad second no. ka market hai. blogger ne google plus par automatic post share karne ki suvidha di huyi hai.

1. Google Community;

Google plus par bhi aap facebook page ki tarah apni site ke liye alag se community bana sakte hai. community banane ke bad isme apne blog ki new post share kare. ye ek tarah se aapki site ki ek liberary ban jayegi jisme aapke dwara share ki gayi sabhi post hogi. visiter ko isse appki site ko janne me bahut aasani hogi.

2 Facebook;

Facebook pichle 10 salo se populer social networking site hai. aap iski madad se bhi apne blog post ko promote kar sakte ho. achi baat ye hai ki aap facebook par pages, group bana kar bhi apne blog ki post share kar sakte ho. apne dost, dosto ke dosto tak bhi apni baat pahucha sakte ho. facebook par jab koi aapki post par like ya comment karega to uske sabhi dosto ko iski jankari mil jayegi.

A. Facebook Page;

Apne blog ke naam se ek facebook page banaye or us par apni site ki har ek new post share kare. aapke facebook page ko kitne bhi log like kar sakte hai. ape sare dosto ko is page ko like karne ke liye invite kare. or apne dosto ko bhi unke dosto ko invite karne ke liye kahe.

B. Facebook Group;

Yes, apni site ke liye alag se ek group banaiye. usme apne dosto ko add kijiye or dusro ko bhi add karne ko boliye. apnisite ki post group me share kijiye. jab aap is group me post share karoge to is group me add har ek member ko iski notification milegi.

Aapke group me agar 5000 log samil hai to kuch log to aapki post par aayenge hi. so isse aapko blog ki traffic badhane me kafi madad milegi.

C. Add URL our Profile;

Apni profile me apni website ka link jarur add kare. taki jab koi visiter aapki profile check kare to use aapki site ka link mil jaye.

3. Twitter;

Twitter bhi aaj facebook ki tarah top social network banta ja raha hai. aap ispar bhi apni site ki post share kiya kare. post ka title or link tweet kare. kyuki hum twitter par 140 words se jada word share nahi kar sakte.

4. Pinterest;

Pinterest par aap apne blog ke photo share kar ke apne blog ki traffic badha sakte ho. agar aap blog me khud  ke banaye ache ache photo use karte ho to mai aapko suggetion karunga ki aap piterest jarur use kare. maine Pinterest ka pin it buttan blog ki sabhi pohot par dikhane ki jankari di huyi hai.

4. Linkedin;

Jo log linkedin use karte hai. or aapki post linkedin par padna chahate hai. unke liye aap blog post linkedin par share kare. or apne audiance ko aakarshak karne ki koshish kare.

get traffic to post promoting

2. Email Newsletter;

Ye ek bahut hi acha tarika hai blog post ko promote karne ka. apne blog ke liye ek email service banaye. or apne visitors ko subscribe karne ke liye kahe. isse jab bhi aap blog me new post daloge to har ek subscriber ko new post ki suchna milegi. so email newsletter ki madad se purane visitors aapki site par wapis aate hai. agar aap ne email newsletter blog me use nahi kiya hai to ab jarur kare.

3. Youtube;

Youtube google ki aysi service hai jo google me sabse pahle result show karti hai. agar aap apne blog ki traffic badhana chahate ho to aapko apni site ki har post ka video bana kar YouTube par upload karna chahiye. isse aapke do kaam ho jayenge. ek aapki site ka promotion hoga. dusre aap YouTube par apni site ki posts ka video bana kar paise bhi kama sakte ho. YouTube se paise kamane ki jankari mai pahle se share kar chuka hu.

Ab aap soch rahe honge ki YouTube par upload karne ke liye video kaise banaye to. video banane ke bahut se software hai. jinki madad se aap apni site ki post ka video bana kar YouTube par dal sakte ho. video banane ke jadater software paid hote hai. magar aap Apowersoft ko free me use kar sakte ho. or free me apni site ki posts ka video bana sakte ho.

4. Quora;

Quora ek question answer network site hai. aap is par apni site ki post share kar ke apni site ka promotion kar sakte ho. aapko quora par logo ke sawalo ko jawab dete samay apni site ka link add kare or logo ko apni site par aane ke liye kah. jab koi quora par koi sawal karega to use aapki post dikhayi degi. agar aap apne blog ki traffic badhana chahte ho to to aap ise jarur use kare.

5. Geust Post;

Ji ha, Aap kisi success blogger, website owner ko apni site ki post share karne ke liye kah sakte hai. agar use aapka tarika pasand aata hai to wo aapki post share karega. isse aapko aasani se kafi visitors mil sakte hai. so aap kisi populer blog me apni geust post bana kar jarur share kare.

Aap is post me btaye tarike follow kar ke apne blog ki traffic kafi had tak badha sakte ho. agar aapko Blogger ya Internet se related koi jankari chahiye to aap comment me apni problem post kar sakte hai.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 99 )

  1. page promote ki jankari kaise bharty hai (CVC.YY ) etc.

    Reply
  2. Bhai ,mai ek blogger par ek website banai hai ,jiska abhi 3 month huaa hai . jis pe abhi take 2400 pge via aa chuke hai . ham AdSense se paisa kamana chahte hai. Kaise kare. Please aap mera blog ko open kar ke dekhe,www.radiantgaurav.blogspot.com hai aur kya galtiya hai baat se aur ham use achha karne ka kosis karenge

    Reply
  3. MAINE ABHI BLOG BANANA START KIYA HAI PLEASE FACEBOOK PAR APNE BLOG KO SHARE KARNE KA TARIKA BATAYE

    Reply
    • ap direct facebook post me apne blog ka link share karo.

      Reply
  4. Maine haal hi mein ek hindi recipe blog start kiya hai use Kaise Promote kar skte hai . Please meri madad karein

    Reply
    • Aap apni post ko social media par share karo.

      Reply
  5. Aap guest post accept krte ho?

    Reply
    • Ha. but uske liye aapko supportmeindia ke visitors ko target kat post likhni hogi.

      Reply
  6. Bhut achi jankari hai, mujhe guest post kari hai to aap mujhe aapke guide line bataunga to mai jaldse jald post kar paunga.

    Reply
  7. Mane blog me 3 post ki h bt uske bad post ni ho pa rhi h loading dikha rha h bhai or pages se post kr sakte h kya

    Reply
    • aap browser ki history caching delete kar ke try karo. nahi page se post nahi kar sakte.

      Reply
  8. Acha post h. Mujhe alaxa me apne blog ya site ad karne ka kya fayda h.

    Reply
  9. Assalamu alaikum bhai mein ne blog bana k hai 1 week hua kya mein ab use blog par transfer kar skta hun aur transfer karne k bad WordPress ko charge to nahi dene padenge na please

    Reply
      • Acha thanko bro ek aur sawal tha bhai mein ne apne blog par template download kar k zip file ko xml mein badal k us template ko upload kiya aur successful bhi bat raha hai 2 template changes kar k dekha lekin jab apni post ko view kiya to koyi chang nahi aya jese blogger ka template hota hai use ho tha kya karun set karne k lye

        Reply
  10. sir me apne blog ki post ko 3 ya 4 facebook group me share karta hu to mera facebook temporary block ho jata hai…. muje apne sare facebook Group me apni post ko share karna ho to kaise kar sakta hu..

    Reply
    • Aap ke liye behtar hoga ki aap facebook par jyada link share mat karo. warna aapki facebook id hi block ho jayegi.

      Reply
      • To sir pls muje bataye ki me apne post ko group me share karne ke liye kya kar sakta hu

        Reply
        • Sirf apne group me post share karo. or jyada traffic ke liye apne group ke member badhao.

          Reply

Leave a Comment