Blog Post Publish Karne Ke Bad Use Promote Kaise Kare

Agar aap ek blogger hai or aap continue blogging kar rahe hai. magar aapke blog par traffic naam matr ki hai to ye post aapke liye bahut important hai. traffic har blogger ke liye ahem hai. sirf achi post likhna hi traffic badhane ka upaye nahi hai, aapko post likhne ke bad use promote karna chahiye. is post me blog post ko promote karne ke jo tarike btaye gaye hai.. aap in tariko ko follow kar ke apne blog ki traffic 50% tak  badha sakte ho.

promote blog post after publish

aap apne blog par post likhne ke bad use kaha kaha share karte ho. google+ , facebook or twiiter. kya aapko pata hai abhi or bhi bahut si jagah hai. jaha aap apni site ki post share kar sakte ho. yaha hum post ko kaha share kare ke bare me janenge.

Blog Post Publish Karne Ke Bad Use kaha Kaha share Kare

1. Social Networking Sites;

[A] Google Plus;

Blogger blog ke liye google plus logo tak apni baat pahuchane ka sabse acha tarika hai.  lagbhag 80% log facebook ke baad google plus hi use karte hai. isliye blogger ke liye ye facebook ke bad second no. ka market hai. blogger ne google plus par automatic post share karne ki suvidha di huyi hai.

1. Google Community;

Google plus par bhi aap facebook page ki tarah apni site ke liye alag se community bana sakte hai. community banane ke bad isme apne blog ki new post share kare. ye ek tarah se aapki site ki ek liberary ban jayegi jisme aapke dwara share ki gayi sabhi post hogi. visiter ko isse appki site ko janne me bahut aasani hogi.

2 Facebook;

Facebook pichle 10 salo se populer social networking site hai. aap iski madad se bhi apne blog post ko promote kar sakte ho. achi baat ye hai ki aap facebook par pages, group bana kar bhi apne blog ki post share kar sakte ho. apne dost, dosto ke dosto tak bhi apni baat pahucha sakte ho. facebook par jab koi aapki post par like ya comment karega to uske sabhi dosto ko iski jankari mil jayegi.

A. Facebook Page;

Apne blog ke naam se ek facebook page banaye or us par apni site ki har ek new post share kare. aapke facebook page ko kitne bhi log like kar sakte hai. ape sare dosto ko is page ko like karne ke liye invite kare. or apne dosto ko bhi unke dosto ko invite karne ke liye kahe.

B. Facebook Group;

Yes, apni site ke liye alag se ek group banaiye. usme apne dosto ko add kijiye or dusro ko bhi add karne ko boliye. apnisite ki post group me share kijiye. jab aap is group me post share karoge to is group me add har ek member ko iski notification milegi.

Aapke group me agar 5000 log samil hai to kuch log to aapki post par aayenge hi. so isse aapko blog ki traffic badhane me kafi madad milegi.

C. Add URL our Profile;

Apni profile me apni website ka link jarur add kare. taki jab koi visiter aapki profile check kare to use aapki site ka link mil jaye.

3. Twitter;

Twitter bhi aaj facebook ki tarah top social network banta ja raha hai. aap ispar bhi apni site ki post share kiya kare. post ka title or link tweet kare. kyuki hum twitter par 140 words se jada word share nahi kar sakte.

4. Pinterest;

Pinterest par aap apne blog ke photo share kar ke apne blog ki traffic badha sakte ho. agar aap blog me khud  ke banaye ache ache photo use karte ho to mai aapko suggetion karunga ki aap piterest jarur use kare. maine Pinterest ka pin it buttan blog ki sabhi pohot par dikhane ki jankari di huyi hai.

4. Linkedin;

Jo log linkedin use karte hai. or aapki post linkedin par padna chahate hai. unke liye aap blog post linkedin par share kare. or apne audiance ko aakarshak karne ki koshish kare.

get traffic to post promoting

2. Email Newsletter;

Ye ek bahut hi acha tarika hai blog post ko promote karne ka. apne blog ke liye ek email service banaye. or apne visitors ko subscribe karne ke liye kahe. isse jab bhi aap blog me new post daloge to har ek subscriber ko new post ki suchna milegi. so email newsletter ki madad se purane visitors aapki site par wapis aate hai. agar aap ne email newsletter blog me use nahi kiya hai to ab jarur kare.

3. Youtube;

Youtube google ki aysi service hai jo google me sabse pahle result show karti hai. agar aap apne blog ki traffic badhana chahate ho to aapko apni site ki har post ka video bana kar YouTube par upload karna chahiye. isse aapke do kaam ho jayenge. ek aapki site ka promotion hoga. dusre aap YouTube par apni site ki posts ka video bana kar paise bhi kama sakte ho. YouTube se paise kamane ki jankari mai pahle se share kar chuka hu.

Ab aap soch rahe honge ki YouTube par upload karne ke liye video kaise banaye to. video banane ke bahut se software hai. jinki madad se aap apni site ki post ka video bana kar YouTube par dal sakte ho. video banane ke jadater software paid hote hai. magar aap Apowersoft ko free me use kar sakte ho. or free me apni site ki posts ka video bana sakte ho.

4. Quora;

Quora ek question answer network site hai. aap is par apni site ki post share kar ke apni site ka promotion kar sakte ho. aapko quora par logo ke sawalo ko jawab dete samay apni site ka link add kare or logo ko apni site par aane ke liye kah. jab koi quora par koi sawal karega to use aapki post dikhayi degi. agar aap apne blog ki traffic badhana chahte ho to to aap ise jarur use kare.

5. Geust Post;

Ji ha, Aap kisi success blogger, website owner ko apni site ki post share karne ke liye kah sakte hai. agar use aapka tarika pasand aata hai to wo aapki post share karega. isse aapko aasani se kafi visitors mil sakte hai. so aap kisi populer blog me apni geust post bana kar jarur share kare.

Aap is post me btaye tarike follow kar ke apne blog ki traffic kafi had tak badha sakte ho. agar aapko Blogger ya Internet se related koi jankari chahiye to aap comment me apni problem post kar sakte hai.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 99 )

  1. Sir, mara blog dashboard m earning, layout, status, post etc options show nhi ho raha ha

    Reply
  2. सर मैने ब्लॉग बनाया है जो हिन्दी कहानियों का है तो आप एक बार देख कर बता सकते हो कि कोई कमी तो नहीं है मेरे ब्लॉग में

    Reply
  3. Hello , Jumedeen Bhai , M Aapse Blogging Ke Baare Me kuchh Baat krna chahta hu to main aapse kese kar skta hu. Facebook ya email ya phir WhatsApp. Please bhai answer jarur dena. Mera blog hai usi ke baare me help cahahiye

    Reply
    • via mail

      Reply
  4. सर, आपका बहुत बहुत धन्यवाद मैंने आज मेरी पहली ब्लॉग पोस्ट की है, सर मैं ये जानना चाहता हु ब्लॉग पब्लिश करने के कितने दिन बाद गूगल पर दिखेगी ?

    Reply
    • 1-2 day me dikhne lag jayegi.

      Reply
  5. Useful post

    Reply
  6. Hello Sir Mughe Ye Bata dijiye ki Apne Blog ke liye photo kha se lekar ke edit Kare
    Aur Apne post me Dale?

    Reply
    • Aap kisi bhi photo editor se edit sakte ho like photoshop, photoscape.

      Reply
  7. bhai maine domain name kharid liya hai usko blog se v add kar liya hai bt Google pe apna domain name daal rha to meri website nhi aa rhi

    Reply
    • Aap search console me apne domain ko add kar verify karo.

      Reply
  8. Sabse best information aapke blog par hi milti hai Thanks sir

    Reply
  9. sir Maine kuch dino pahle hi blogger par blog banaya.Sir mera blog to search me aa RHA hai magr post nhi aa RHA hai sir kya kru.help me sir.

    Reply
    • Post ko top me lane ke liye SEO optimizing karo.

      Reply
  10. Hello sir mai ek blogger hu.
    Maine abhi-abhi start kiya hai .
    Kya aap mere post ko aapke blog mai guest post ke tour par rakhenge?

    Reply
    • First aap guest post read kar le.

      Reply

Leave a Comment