Blog Me Blogspot.com Ko Hata Kar Apni Pasand Ka Domain Kaise Add Kare

Hello supporters, Aaj main aapko bataunga ki blog me apni pasand ka domain name kaise use kare. Shayad aap bhi chahte honge ki aapke blog ka URL aapki pasand ka ho. Jaise meri site ka URL  supportmeindia.com hai. Agar aapke blog me bhi aapki pasand la URL hoga to aapko bahut achha lagega. Isliye is post me main yaha bataunga ki apne blog me blogspot.com ko hata kar apni pasanf ka domain kaise use karte hai.

blog me apni pasand ka domain kaise add kare

Google ne hume apne blog me apna khud ka domain name  add karne ki permission deta hai. Ab hum apni pasand ka domain blog me add kar sakte hai.

Blog me domain name add karne se aapka blog website ki tarah lagega or aapke blog par users bhi increase honge. Sabse achhi bat, agar aapke blog ke URL me se blogspot.com hat jaye to logo ko aapke blog ko khojne me aasani hogi.

Domain Name Kaha Se Kharide

Aap domain sell karne wali site se domain buy kar sakte hai. Jaise Godaddy.com ya domainindia.org. Ye dono site aapko 80 se 90 rupees me domain register kar dengi.

Agar janna chahte hai ki doamin name kaise buy karte hai ye post padhe. Domain Name Kaise Buy Kare. Is post me domain buy karne ki puri jankari hai.

To ab main man leta hu ki aapne domain buy kar liye hai or ab aap apne blog me add karna chahte hai to aaiye jante hai aapke domain ko blog me kaise add kare.

Apni Pasand Ke Domain Ko Blog Me Kaise Add Kare

  1. Sabse pahale blogger.com site par jakar login kare or blog ki settings me jaye.
  2. Ab jo new window opem hogi usme aapke blog ka URL kuch is type ka hoga jaisa maine niche screenshot me bataya hai.
  3. Yaha par aapko +step a 3rd party URL for your blog par click karna hai.
blogspot.com
Is option par click karne ke bad new window open hogi.
  1. Yaha aapko apna domain name type karna hai. (Yad rahe blogger bina www ke domain support nahi karta hai. Isliye apne domain ke aage www jarur add kare.)
  2. Ye code aapko apne domain me verify karna hai jiske bare me main aage bata raha hu.
  3. Bas ab save par click kare. (Save karne ke bad error dikhayega is psr dhyan na de.
add domain in blogger blog

Blog Ke Server Code Domain Website Par Kaise Add Kare

Ab aap us site par jaye jis site se aapme domain register kiya hai. Us site par login kare. Login karne ke bad my domain par click kare.

Note:- Main aapko yaha par domain india website ke bare me bata raha hu. Jo sabse kam paise Rs 99 Rupees Me Domain Register karti hai. Agar aap aesa nahi kar pao or koi problem aaye to comment me bataye.

  1.  Sabse pahale godaddy site par jaye login kare or apne domain par click kare.
  2. Ab domain ke samne active par click kare.
domain india
Ab jo new window open hogi usme aapko blogger ke DNS code add karne hai.
  1. Sabse pahale DNS Management  par click kare.
  2. Manage CNAME select kar le.
  3. Yaha aapko www dalna hai.
  4. Blogger par se first code ko copy karke yaha paste kar de.

Isi tarah aap dusre code ko bhi add kar sakte hai. To dono code add kare or save changes button par click kare.

In points ko samjhne ke liye is screenshot ki help le.

dns management

Settings successful hone ke bad wapis apne blog par jao or save button par click kare.

Agar abhi bhi error aa raha hai to kuch time wait karna padega so wait kare kyuki domain ko verify hone me kuch samay lag sakta hai.

Is tarah aap apne blog ka domain chane kar sakte hai. Ab aap aasani se apne domain ko apne browser me type karke apne blog par aa sakte hai.

Filhal aap browser me www.example.com enter karke apne blog ko open kar sakte hai. Agar aap bina www ke sidhe apne blog ko open karna chahte hai niche wali post ko padho.

I hope aapko is post me jarur helpful jankari mili hogi agar ha to is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 319 )

  1. Bhai…ek problem ho rhi hai..maine aaj domain liya hai or mai aapke btaaye saare step acche se follow kar rha hu lekin baar baar “An unexpected error occurred. If this issue continues, contact support” ye show ho raha hai…ab mujhe kya karna chaahiye…Pls help me..

    Reply
    • NS management issue hai aap ek bar browser cache clear karke try karo fir bih na ho to domain company se bat karo wo ise solve kar denge.

      Reply
  2. Hi sir,
    Maine kal domain lagaya tha apne blog par aapne jaisa bataya hai third party aur dns code add karke lekin 24 hrs ke baad bhi nahi hua direct godaddy.com par khul rahi hai website phir maine google par search kiya to godaddy.com par yeh page mila yeh process bhi maine try ki

    https://in.godaddy.com/help/connect-my-domain-to-blogger-5112

    yeh link par jaakar aap padhe yeh process maine karli to koi problem hogi
    dono taraf se try kiya phir bhi nahi hua

    Reply
    • Nahi ye nahi karna hai aapko domain setting me ja kar DNS record me blogger se mile DNS record add karne hai. Ye post follow karo.
      Blogger Me Domain Kaise Add Kare

      Reply
      • Bhai maine ye step follow kiye they hogaya tha but aaj godaddy parked aaraha hai kya karna hoga kabhi open hota hai kuch der baad phir wahi error

        Reply
        • Aapki site proper open ho rahi hai. Koi issue nahi hai.

          Reply
  3. Thanks Bhai
    Q . Maine aapko fb par msg kiya tha. Or aapke content form par bhi par aapne abhi tak koi.answer nahi diya hai Bhai
    Q . site par traffic kabhi to 100 ho jata hai or kabhi 2 hi Aida kyu hota hai
    Q . godaddy SE kya paytm SE domain kharida ja sakta hai
    Q . Google adult website par allow nahi hai but Maine dekha hai ki Jo adult artical wali websites hoti hai unpar adsean ke ads show ho rahe hai to kya adsean adult artical wali site par allow hai
    Q . kya WordPress ko James WP admin lagakar hi oprate karna hots hai jaise blogger
    Q . kya free ki hosting kabhi bhi khatam ho Sakti hai mera MATLAB hai ki company kabhi bhi account band kar Sakti hai ,agar ha to kya mera pura data hi chala jayega ya delete ho jayega.

    Reply
    • Google ab real time upate result show karta hai so aapki search rank kam jyada hoti rahti hai.
      NJab google ko inka pata chalega to adsense band ho jayega.
      yes wp-admin se manage kar sakte ho.
      Ye us company par depend karta hai. Uska review karo. Google me search karo ko ki kya pahle bhi wo kisi ke accounts ko delete kar chuki hai.

      Reply
  4. Sir thanks for shareing nice info.

    Jdk sir Mera ek question hai ki

    1- kya me apne blog me free domain .tk use karke AdSense ke liye apply kar sakta hu .

    2- aur AdSense approved hone ke baad .tk domain ke sath AdSense ke ads laga sakta hu.

    3- aur agar .tk domain name use karke ads laga sakte hai to kaise ye bhi bata dijiye.

    Ye 3rd question maine isliye poocha hai kyuki maine ek blog par padha tha ki free domain use karne se blog me AdSense ke ads show nhi hote.

    Please tell me & suggest me…..

    Reply
    • Adsense .tk domain support nahi karta so nahi kar sakte. Nahi.

      Reply
  5. Sir me mera blog ka name change Karna chahta hun.
    To kuch problems to nhi hoga.
    Plz reply me sir…

    Reply
    • Yes hogi aapka traffic, search rank 0 ho jayegi. Yani aapko fir se 0 se starting karni hogi.

      Reply
  6. Thanks bhai.
    1 . Sach me yar aapne meri bahoot help ki hai. Varna me website ke bare me kuch nahi janta tha
    2 . Mujhe bhi WordPress hu better lagta hai bhai but ham 3 log us ek hi website par kaam karenge to video uplpad karne or artical write karne par bahoot load pad jayega to koi problum to nahi hogi bas ishi ke liye mene aapse pucha tha ki wp best hai ya.
    2 . Pls bhai mere fb ke msg ke answer ka intjar hai.
    Thanks bhai nice work

    Reply
    • No problem sunil chahe apa kitne log bhi kaam karo. mujhe facebook par aapka message nahi mil raha hai aap mujhe contact forum par send kar de.

      Reply
  7. Thanks bhai
    1 . Iss domain ke copy ho jane se mujhe traffic nahi mil raha hai,quki isme pehale aa hi ki site open hoti hai or vaise me bhi isse remove karna chahta hu.
    ::important::-kya aap engling me likhne ke liye konsa softwere use karte ho quki aap bhi mozedia.com par english me likhte ho kaise
    2 . Mera 2 question ye hai ki jo negative aap samja sakte ho negative website hoti hai ,unko google rank nahi deta hai but maine dekha hai ki vo bhi top par raheti hai,or unka income source kya hai.
    3 . Very important ::–agar me dovelope se site banwata hu pure coading se na ki WordPress ya blogger se to mujhe us site par artical ya video share karte samay coading ki jarurat ho ya nahi but mujhe to coading hi nahi aatai hai ,to me ye kaise kar sakta hu.
    4 . Maine dekha hai ki utube par ek hi video ko bahoot bar searc me shiw hota hai vo copyright nahi hota qu mere dost to movie bhi upload kar dete hai fir bhi copyright nahi hota,
    5 . Ha maine aapko fb page par ek msg kiya hai pls uska answer fb par dijiye.
    6 . Blogging me ek bar har bande se mistake hoti hai ,so mere se bhi hui
    Thanks

    Reply
    • 1. Aap is par site run mat kaor google ise remove kar dega.
      2. Nahi main tool use nahi karta.
      3. Yes koi bhi problem hone par apako coding ki jarurat padegi so wordpress better hai.
      4. Wo youtube ke sath cheating karte hai. Result ek din unka account delete ho jata hai.
      5. ok
      6. No worry bro aap ek achhe insan ho.

      Reply
  8. Thanks bhai
    1 . Mera domain name aapke blog ke same to same ho gya me isse delet kaise karu, domain name choose karte samay maine dhyan nahi diya ky me isse ab hata sakta hu ,
    2 . Aap Pni site mozedia par english me writ karte ho but mujhe jaha tak malum hai aapko english nahi aati,
    Aap google ya fir kis chiz ka istemaal karte ho ,
    3 . Maine blog par koi code nahi lagaya tha fir bhi earning me id or page me show kyo ho rahe hai adsean ad open karte show hone lag jTe hai.
    Replay me

    Reply
    • 1. No worry bor isse mujhe koi problem nahi hai. Wese aapko bhi isse koi fayda nahi hai aapko koi achha domain lena chahiye.

      Reply
  9. Thanks Bhai
    1 . me English language me website bana raha hu to kya mujhe Hindi blogger SE zyada traffic milega .
    2 . mera adsean approved nahi huwa to Maine account deleted kar diya or adnow SE connect ho gys hu ,lekin me blogger SE earning ke option SE adsean ID show hoti hai use remove kaise kru,menr blog me koi code bhi nahi lagaya hai.

    Reply
    • 1. Bilkul english ko jyada padhne wale hai.
      2. Code hai to hi id show hoti hai. Aap code ko sahi se remove karo or browser cache delete karke check karo.

      Reply
  10. Thanks bhai
    1 . Maine adnow par apply kiya mujhe 2 code mile hai ushe blog me kaise lagaye.mins me header or post ke niche lagana chahta hu
    2 . Kya adnow text link ads bhi deta hai kya ya fir sirf images ad hi deta hai .
    3 . Mera adsean account abhi approved nahi huwa hai to kya adnow use kar sakte hai.
    Pls replay me

    Reply
    • 1. EK blog header me or dusra jaha aapko ad dikhane hai waha lagane hai.
      2. adnow sirf native ads deta hai.

      Reply

Leave a Comment