Website Blog Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye Top 20 Tips

Kya aap jante hai ki internet par kuch bhi safe nahi hai. Internet par daily 1000ro websites hacker dwara hack ki jati hai. Yaha tak ki lakho croro ka len-den karne wali banko ki site bhi hack ho jati hai. So aapki website ya blog ka hack hona to aam bat hai. But aap apni site ko kuch had tak secure kar sakte hai. Jisse hacker aapki site ko aasani se hack nahi kar sakenge. Is post me me isi ke bare me bta raha hu.

Website Security Tips: Hack

Agar aap koi blog ya website author ho to aapne hacking ke bare me jarur suna hoga. Or shayad iske bare me other site par padha bhi hoga. Actually, Ye sab sach hai or real me internet par kuch bhi secure nahi hai. Yaha kab kis ki site hack ho jaye kah nahi sakte. Magar apni site ko hacking se bachane ke liye aap kuch tips use kar sakte hai. Jisse aapki site kafi had tak safe ho sakti hai.

Website Ko Hackers Se Bachane Ki 100% Working Security Tips

Website ho ya blog sabke liye security jaruri hoti hai. Agar aap aaj tak ise ignore karte aa rahe hai to ab aapko iske bare me soch lena chahiye. Kyuki roj hazaro lakho sites hack hoti hai or ho sakta hai kal ko aapki site bhi unme shamil ho jaye. So pahle se apni site ko secure kar le to behtar hai. Aap iske liye ye security tips follow kar sakte hai.

1. Anti-virus: एंटी वायरस इस्तेमाल करें

Aap jis bhi computer, laptop me blogging karte ho usme anti virus hona jaruri hai. Anti virus use karne se aapke data par virus attack hone ka khatra kam hota hai or hackers aapke personal data ko chori nahi kar sakte hai.

Wese aaj anti virus ke hote huye bhi hacking problem hoti hai. But anti-virus se is problem ko kafi had tak kam kiya ja sakta hai.

2. Cyber Cafe: साइबर कैफ़े से सावधान

Maine blogging ki starting to apne hi desktop me ki hai. But kei bar cyber cafe me internet use kiya hai. Lagbhag 70% cyber cafe wale apne customer ki activities par nazar rakhte hai. Iske liye wo key longger jaise software ka istemal karte hai.

Jisme aap keyboard ki jo bhi key button dabaoge wo sab record hota hai. Isse aasani se un logo ko aapke id or password malum ho jate hai.

So net cafe me internet use karne or apne blog ko log in karne se pahle ache se pata kar le ki kahi wo aapke sath chiting to nahi kar raha hai. Mai aapko suggest karunga ki apne kisi pahchan wale ka hi net cafe use kare.

3. Check Virus: वायरस चेक करे

Bahut bar jab humare PC me anti virus nahi hota hai to site me photo, content, video and other data upload karne se virus aa jate hai.

Agar kabhi aapko lage ki aapki site me virus ho sakte hai jo jald site ko scan kare or vius ko delete kare. Iske liye aap online virus checker tool jaise www.virustotal.com ka istemal kar sakte ho.

4. Strong Password & Username: मजबूत पासवर्ड बनाये

Humesha apni site ya fir kisi bhi account ke liye strong password or username choose kare, Mostly simple username password ko hacker easily hack kar lete hai. But strong password ko jaldi hack karna mushkil hota hai.

So is tips ko ignore na kare or apne facebook, twitter, google har ek social and other account ke liye strong password create kare. Strong Password Kaise Banaye In 8 Tips Se Janiye post me maine iske bare me details se bataya hai ki strong password and username kaise banaye or kis tarah yaad rakhe.

5. Sign out Your Account: खाता सिग्न आउट करे 

Agar aap kisi friend ya kisi or ka computer use kar rahe ho to usme work karne ke bad log out jarur kare. Log in sirf usi PC me chodna chahiye jise sirf or sirf aap use karte ho or wo aapko personal computer ho.

I mean jise aapke sath koi or bhi use karta ho usme humesha kaam khatm hone ke bad log out karna chahiye.

6. Don’t Share Password: पासवर्ड किसी को न बताये

Bahut bar kuch new blogger apne blog ki template ya kisi or setting karwane ke liye other bloggers ko apne blog ke username or password yani log in ID details bta dete hai. Ayse me kuch log aapke sath chiting karte hai or aapke jaruri data hack kar lete hai.

Socho agar aap kisi ko apne blog ki id bta dete ho or wo turant aapke blog ki log in details change kar le ya aapke blog ka data delete kar de to kya hoga. So kisi ko bhi apni site ke password username btane se bache or sirf wishwas ke logo ke sath ye data share kare ya fir kisi ko bhi na btaye to bahut hi badiya hoga.

7. Public Network: सार्वजनिक नेटवर्क

Aapne bahut si jagah par dekha hoga free 3G 4G wi fi service milti hai or bahut se log ise use karte hai. Ayse public network par kabhi bhi apni site par log in ho kar work nahi karna chahiye. Isme ek network me bahut sare user online hote hai or aapka data hack ho sakta hai.

Public network me general security hoti hai wo bhi name matra ki. Ise hackers ka friends bhi kaha jata hai. Bahut se log free internet pane ke chakar me public network service use karte hai or hacking ke shikar ban jate hai.

8. Use a VPN: VPN इस्तेमाल करे

Hacking se bachne ka sabse acha tarika hai VPN security use karna. VPN ka matlab hota hai Virtual Private Network. Ye aapki site ko liye mask ki tarah secure karta hai or sath hi aapke IP address ko bhi safe rakhta hai. Jo aapko maximum security and privacy allow karta hai.

Agar aap public network use karte ho or VPN use karte ho to hackers aapki data ko read nahi kar sakta. I mean VPN security hone par aap public network ko bhi use kar sakte ho.

9. Secure Your Smartphone: मोबाइल सुरक्षित रखे

Mai ya aap ko bhi ho mobile kisi se bhi kho sakta hai. Hum market me jate hai to phone gir sakta hai chori ho sakta hai. Ayse me mobile me log in karke rakhna sabse badi galti hoti hai. Wo log jo mobile me hi blogging karte hai aksar mobile me 24 hours log in karke rakhte hai.

Socho agar aapka phone kho jaye or kisi ayse person ko mil jaye jo blogging ke bare me janta ho to aapka sara data delete kar sakta hai ya fir galti se aapka phone kisi ayse aadmi ke hath lag jaye to aapka bura chahata ho to kya hoga. So is risk se bache or mobile me sign in karne se bache. Ya fir apne phone ko safe rakhe.

10. Update Antivirus: एंटी वायरस अपडेट करें

Agar aapke PC me anti virus dala hua hai or pichle bahut dino se aapne use update nahi kiya hai to ye aapke liye bahut bada khatra ban sakta hai. Bina update kiya anti virus apne aap me ek virus hota hai. So update na karne se behtar hai use computer me se uninstall kar de.

Anti virus tabhi aapko security dega jab aap use time time par update karte rahenge. Sath hi free anti virus ko use karne se bhi bache or koi achi company ka anti virus kharide.

Now, Ab hume apni website ko secure karne ke bare me kuch tips to mil chuki hai So ab yaha par aapko WordPress blog or blogspot blog ki security ke bare me or bta deta hu kyuki supportmeindia ke jyatar readers WordPress ya blogger platform hi use karte hai.

Blogspot Blog Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye?

Humare liye sabse ahem sawal hai blogger blog ko hackers se kaise bachahye? Kyuki jyadar hindi blogger blogspot par hi free blog banate hai.

Blogger google ka hi platform hai isliye is par hacking problem kam hoti hai. Google ne apne blogger platform ki security me anouncement kiya tha ki agar google ki galati se koi blogger blog hack hota hai ya fir google ke product me koi user koi bhi kami nikal de to google use $100 to $20,000 ka inam dega.

Yani ki blogger par bana blog google ki taraf se kafi had tak shurakshit hai. But fir bhi aapka blog hack ho sakta hai. Iske liye aap ye tips follow kare.

1. Enable HTTPS Security: HTTPS सुरक्षा चालू करे

Agar aap blogger blog me bina domain ke blogging karte ho yani blogspot.com domain use kar rahe ho to aap google ki di HTTPS security enable karke apne blog ki security badha sakte ho. Isse koi bhi hacker aapke blog ke data ko change nahi kar sakta or koi bhi aapke blog ke sath chedkhani nahi kar sakta.

Iske bare me maine Blogger Blog Ki Security Ke Liye HTTPS Enable Kaise Kare post me details se btaya hai.

2. Enable 2 step Verification: 2 कदम सत्यापन सक्षम करे

Aapne jis gmail id se blogger blog banaya hai. Us gmail ID par aap 2 step verification security enable kar sakte hai. Isse jab bhi koi aapke gmail account se log in karne ki koshish karega to aapke mobile number par OTP code ka message aayega. Uske bina log in nahi hoga.

Isse aapka gmail account safe hoga or koi aapke gmail account ke sath chedchad karega to aapko pata lag jayega. Is tarah isse aapke gmail account ki security duable ho jati hai.

3. Neither made any admin: किसी को admin ना बनाये

Mujhe ek blogger ne btaya tha ki uske partner ne usko blog me se remove kar diya hai. Isliye mai aapse kahna chahunga ki aap apne blog ka admin kisi ko na banaye. Blogger me admin banane ka matalb hai use blog ka malik banana.

Yani ki uska aapke blog par full control hoga or wo jab chahe aapko blog se remove kar sakta hai. Ayse me aap uska kuch nahi kar sakte. Agar aapko kisi or se blog par post share karwani hai to aap use only author bana sakte ho. Admin usi ko banaye jis par aapko 110% wishwas ho. Yani jise aap ache se jante ho.

4. Don’t Use Crack Template: बेकार टेम्पलेट इस्तेमाल न करे

Internet par bahut si site hai jo jo paid template ko free me download karne ka offer deti hai. Actually sochne ki bat hai agar wo aapko paid template kharid kar free provide karti hai to unko kya bachta hoga. Unki earning kaise hoti hai. Simple hai ye site hackers se mili hoti hai or unke virus ko template me add karti hai.

Jisse jab koi unki template ko use karta hai to wo unke data ko chori kar lete hai ya fir use khatm kar dete hai. So mai aapko suggest karunga ki aap paid template ko free me download karne se bache.

5. Backup Your Blog: ब्लॉग का Backup बनाये

Humesha 5-7 day, weekly ya fir monthly apne blogger blog ka backup data download karte rahe. Agar aapki site ko koi hack kar le or sara data delete kar de to aap fir se backup ko blog me upload kar apne blog data ko recover kar sakte ho.

Blogger blog ka backup lene ke liye Blogspot Blog Ka Backup Data Download Kaise Kare post padhe isme maine back up lene or iske benefit ke bare me vistar se btaya hai.

WordPress Blog Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye?

Maine upar jo tips btayi hai unse aap WordPress blog ko bhi hackers se secure kar sakte hai. But WordPress ke liye kuch or bhi tips hai jo aapke kaam aa sakti hai. Aayiye inke bare me bhi aapko details se bta deta hu.

1. Free theme: फ्री थीम

WordPress par free or paid bahut sari theme hoti hai. Jinme se kuch free themes me virus jaisi problem hoti hai. Ya fir inme aysi coding hoti hai jo hackers ki help karti hai. Ye problem jyadar free theme me hi hoti hai. So agar aap koi free theme use karte hai to use ek bar check kar le ki aapka koi data publicly to nahi hai.

Iske liye aap WordPress theme checker plugin jaise Acunetix WP Security Scan, WordFence, Sucuri Security & Brute Force Login Protection plugin use kar sakte hai. Jo aapki site ko scan karke uski kamiya bta sakte hai. Ye plugin aapke blog ki theme ke sath sath database, live traffic, other plugins ko bhi scan karte hai.

2. Plugins: प्लगइन

WordPress theme ki tarah bahut sare free plugin bhi hote hai. Jinhe use karne se aapki site me virus aa sakte hai. Iske do reason ho sakte hai. Ek plugin me hi virus ho ya fir plugin ko upload install karne me par virus aa sakte hai.

So sirf jaruri or secure plugins hi use kare or carefully plugin install kare. Bar bar plugin install uninstall karne se bache. Ayse plugin ko use na kare jo pichle kafi time se update na kiya gaya ho.

3. Use the Latest Version: नवीनतम संस्करण का उपयोग

Always, WordPress ka latest version use kare or humesha theme ko bhi latest version use kare, Old version use karne se blog hack hone ki problem badh jati hai. WordPress ek hosting service hai or isme bahut sare version hote hai. Inme hacking jaisi problems ki wajah se update hoti rahti hai.

So new version aane par apne WordPress blog ko update karte rahe. Sath hi aap apn i hosting service ko bhi upgrade kar sakte hai.

4. Change your Login/Password: पासवर्ड बदले

Humesha month to month apne WordPress blog, hosting plan and other jaruri account ke password or log in ID change karte rahe. Isse aapke piche lage hackers aapke blog ko hack nahi kar payenge.

Ek hi password ko bahut time tak use na kare. Agar aap monthly aysa nahi kar sakte to aap ye time badha sakte hai or agar aapko lage ki aapki site ke sath chedkhani ho rahi hai ya ho sakti hai to forn apne password change kar lene chahiye.

5. Backup Your Blog: ब्लॉग का Backup बनाये

Sabse important metter hota hai apne blog ka backup bana kar rakhna. Agar aapke pas apne blog ka data secure hai to hacekrs ke aapki site hack karne ke bad aap fir se apne blog ka data restore kar sakte ho or aapki salo ki mehanat par pani nahi firega.

Or agar aapke pas blog ka backup nahi hai or blog hack ho jata hai to aapki sari mehanat bekar ho jayegi. So apne blog ka samay samay par backup download karte rahe. Aap WordPress dashboard >> tools >> export par ja kar backup file download kar sakte ho.

Note: WordPress blog ko hackers se protect karne ki or bhi bahut sari tips hai jinke bare me mai aapko future me new post me btaunga.

Finally, Agar aap blogging ke future ko le kar chintit ho to aapko ye step follow karna shuru kar dena chahiye. Jisse aap aane wale time me aane wali mushibat se bach sako or apne blog ko secure kar sako.

Ummid karta hu is post me aapko blog ki security badhane ki achi tips mili hogi or ye aapke bahut kaam bhi aayegi.

I hope aapke liye ye post helpful sabit hogi. So plz is post ko social media par other bloggers ke sath bhi share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 97 )

  1. bhai agar koi ne blog bana raha h to usse blog hinglish me banaye ya fir hindi me

    Reply
    • Jo aapka achha lage us language me banao.

      Reply
  2. Hello Sir; Maine Apne Blog ke liye “News7Paper Magazine WordPress fully Premium Crack Version” Download kiya hai…….Kya Main is Crack Theme Version ko Blog me Customize Kar Use Kar Sakta hu……..Theme Use Karne se Iske Kya Advantage or Dis-advantage Honge……”Google Index” or “Google Adsense A/c” or “Copyright Theme” Related Issue to Nahi Hoga….

    Please Premium Crack WordPress Themes Use karne ke Advantage or Disadvantage Issue Bataye…!!

    Reply
    • Crack Theme Version use karna danger hai or isse aapki site hack ho sakti hai. Main kabhi aapko iske liye suggest nahi karunga.

      Reply
  3. Sar 2 Question
    1 Apne blog ki ek post me apki site k lagbag kitne link add kar skta hu jyada link add krne se koi risk to nahi meri traffic pr kuch jyada asar to nahi hoga
    2 Agr koi same ek vizitor din me 5 baar mere blog ko open kare to pageview 5 Count honge ya ek hi

    Reply
    • 1. Kitne karne se iski fix ginti nahi hai. Post me sirf wohi link add karo jinki jarirat ho. Jaise aap blogging ke bare me post likh rahe ho to usme blogging wale link hi add karo.
      2. Ha user jitni bar aapke blog ko open karega pageveiws utne hi honge.

      Reply
  4. sir me jb b WordPress me plug in install krtahu kuch plugins install he ne hote why

    Reply
    • Kya error aata hai.

      Reply
  5. yadi koi website ka naam dalkar post copy karta hai to kay copyright hoga yadi us site ka link bhi dala gaya ho

    Reply
    • Pahle aysa hota tha but ab google aysi post ko bhi copyright manta hai.

      Reply
  6. sir mobile hack kaise kare kyu ki mere ek dost ne mera naya mobile chura liya hai

    Reply
    • Sorry arbaz mai hacking information nahi deta.

      Reply
  7. jumedeen bhai aap busy hai kya aap domain nahi kharida hai kya koi galti ho gai mujse maine aapko fb per massage kiya hai

    Reply
    • Vakil maine aapka domain buy kar liya hai. Aapse bahut bar kah chuka hu aapka facebook par mujhe koi message nahi mila hai. Aap ek kaam karo isi blog ke contact form me mujhe message karo. Mai uska reply kar dunga.

      Reply
      • Sir Mai mobile hack hone se kaise Bach sakta hu

        Reply
        • Mobile me extra third party apps use mat karo.

          Reply
  8. Jumedden bro,
    Thanks for these awespme security tips to protect site from hackers. I know few of them not all that you listed here.

    Reply
    • If you can share your tis here your welcome.

      Reply
  9. kya ek site par 2 domain add kar sakte he

    Reply
    • Ha kar sakte ho domain ko forward kar ke.

      Reply
  10. सर में HindiGator.com का एडमिन हु, आपने अपने पिछले पोस्ट में बताया था की एडसेंस हिंदी ब्लाक कर रहा है क्या ये सही बात है।।

    Reply
    • अमन वो सिर्फ एक चेतावनी है आप उस पोस्ट को पढ़ लीजिये खुद समझ जाओगे

      Reply

Leave a Comment