Blog Ke Liye Photo Create or Edit Karne Ka No.1 Free Software – Photoscape

Hi guys, aaj mai aapko photo edit karne ke ayse software ke bare me jankari de raha hu. Jisse aap 100kb size ki image ko 50kb size ki image bana sakte ho. Jisme aapko wo sabhi options milenge to ek paid photo editer software me hote hai. Ye software hai PhotoScape jise mai pichle kei mahine se use kar raha hu. Iski sabse achi bat ye hai ki isse image ka size bahut kam ho jata hai.

Photoscape

Photoscape free photo edit karne ka software hai. Mujhe photoscape use karte huye bahut time ho chuka hai or aaj mai kah sakta hu ki ye software image creat, edit, design karne ka top free software me se ek hai. Or mujhe yakin hai ki aap bhi iske bare me janne ke bad isko use karna shuru kar doge.

Mujhe Photoscape Kyu Acha Lagta Hai Or Mai Iske Bare Me Aapko Kyu Bta Raha Hu:

Photoscape mera favorite photo editer software hai. Or mujhe isme bahut si achi khasiyat mili hai. Jinke bare me mai aapko bta raha hu.

  1. Photoscape software ki sabse achi bat ye hai ki isme image ka size bahut kam hota hai jisse image loading time fast hota hai.
  2. Is software me 4-5 tarah ke errow option hai. Iske alawa bhi aap apni pasand ke color ke arrow use kar sakte hai. yaha erriw ka matlab un numberic option se hai. Jinka upyog hum kisi topic ko focus karne ke liye karte hai.
  3. Photoscape se aap screenshot le sakte ho. isme aap capture windows, capture full screen, capture resign type se screenshot le sakte ho.
  4. Is software se aap photo edit karne ke sath sath file converter ka bhi kaam kar sakte ho.
  5. Imags ko aap apni pasand ke hisab se customize kar sakte ho or better look de sakte ho.

Mai iske bare me aapko step by step details se btaunga. Kyuki yaha par sabhi option kre bare me btaunga to post bahut badi ho jyaegi or mai nahi chahata ki aapko post padhne me boring ho.

Website Ke Liye Photo Create or Edit Karne Ka Best Free Software – Photoscape

Photoscape me Aapko bahut sare options milenge. Jinse aapko fayda ye hoga ki aap ek hi software se bahut sare work kar sakte ho. In my case, Mai photscape ko hi istemal karta hu. Isme total 12-13 options hai. Jinse aap alag alag work kar sakte ho.

  1. Editer: Editer option me aap photo edit kar sakte ho. Isme itne behtrin option hai ki ek bar aapko iski achi jankari ho jaye to aap khud kahoge ki wakai ye ek best photo editer hai.
  2. Batch Editer: Ye bhi image edit karne ka option hai. Jisme aap photo ko alag alag style me edit kar sakte ho. Photo ko better design kar sakte ho. My means isme bahut sare option hai. Sare option maine bhi use nahi kiye hai.
  3. Page: Is option me aap photos ke page bana sakte ho. Jaise aapko ek sath ek se jyada image set karni hai ya fir aap alag alag image ko ek sath jodna chahate ho to page option par aap ye kar sakte ho.
  4. Combine: Is option par aap photos ka background or round design kar sakte ho. Isme aapko photo round ko alag alag style me banae ke kei options milenge.
  5. Animated GIF: Agar aapko GIF animation image banani hai to aapko kisi online site ki jarurat nahi hai. Photoscape software me iska bhi option hai. Aap is software se GIF animation image bhi create kar sakte ho.
  6. Print: Agar aapko create ki gayi images ka print lena hai to photoscape software se aap ek sath kei photos ka print nikal sakte ho. Isme print ke best features hai.
  7. Splitter: Agar aapko ek image ke kei part banane hai to splitter feature me aap ek image ke jitne chaho part bana sakte ho. Ye feature listing image banane ke bahut kaam aata hai.
  8. Screen Capture: Is feature se aap apne coputer ki screen ka screenshot le sakte ho. Isme aapko custome size ke screenshot le sakte ho. Photoscape software ka ye ek bahut hi acha feature hai.
  9. Color Picker: Agar aapko kisi bhi color ka code pata karna hai to is feature ki help se kar sakte ho. Website designing ya template theme banane walo ke liye ye feature bahut kaam ka hai. Jisme aapko kisi bhi color ka html code mil jata hai.
  10. Raw Converter: Is feature me aap file convert kar sakte ho. Blogger use karne walo ke liye ye feature bahut kaam ka hai kyuki unhe. zip file ko xml file me convert karne ki jarurat hoti hai.
  11. Rename: Is features me aap file ki date or name change kar sakte ho. Yani image ki information edit kar sakte ho.
  12. Paper Print: Agar aapko copy ke paper par kuch likhna hai. Ya aapko paper print banana hai to is features se bana sakte ho. Isi features ki help se copy banayi jati hai.
  13. Viewer: Iske bare me to aap jante hai. Apne computer me image slider dekhne ke liye aap photoscape ko photo viewer ki tarah use kar sakte ho.

Inke alawa bhi photoscape me or bhi bahut sare features hai. But unke liye aapko photoscape ke dusre software download karne padenge. Mujhe ye software isliye pasand hai kyuki isme image ka size bahut kam hota hai. Aap bhi ek bar is software se image create karke dekh sakte hai. Photoscape software ko download karne ke liye yaha click kare. [link…]

I hope aapko ye post pasand aayegi or mujhe wishwas hai ki aapko is sotware se image edit karne me aasani hogi. Ho sakta hai aapko ye software pasand aaye ya nahi but mere hisab se ye ek best photo edit software hai. Agar aapko bhi ye software pasand aaye to commnet me jarur btaye or is post ko share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 101 )

  1. ye photo mein arrow ka nisan kaise lagate hai iss software se

    Reply
  2. jumedeen bhai aap ye post itni achi tarah se kaise coustomize please mujhe bhi batao

    Reply
  3. Bhai bahut acha software hai.

    Reply
  4. सर Photo scape में गूगल और माइक्रोसॉफ्ट हिंदी टूल दोनों ही support नही करता..

    टाइप करने पर बस ???? बना आता है।
    हिंदी टाइपिंग क्या kurti 010 font यूज़ करना पड़ेगा…?

    Reply
    • Apne pc me first aap google hindi font install karo uske bad image par likho. photoscape me text ke 2 option hai second wale se likho.

      Reply
  5. Very helpful article sir,
    I am going to Start editing by photoscape.
    Thank for sharing you valuable review for photoscape

    Reply
  6. Hello bro apne bahut acha editor bataya hai mai kafi din se use kar raha hu lekin ek problem aa rahi hai hindi language add nahi kar pa raha usme please btaye hindi kaise add krni hai Reply as soon as possible… Thankyou

    Reply
    • Aap apne device me font install karo editor me bhi work karega.

      Reply
  7. 100 kb file size ko 50kb me kaise change kar sakte hai is software se? i mean kaha se

    Reply
    • Jab aap photo ko save karo to uski quality kam karke size kam kar sakte ho.

      Reply

Leave a Comment