Blog Ko Great Banane Me Apni Personality Ka Istemal Kaise Kare

You’are awesome, tabhi to people aapke blog par content read karna pasand karte hai. Aapki site ko kitne log like karte hai yahi aapke blog ko memorable banata hai. Sabhi chahate hai ki unki site ka sabse jyada pasand kiya jaye or unki site par sabse jyada traffic ho. Insan ko uski personality great banati hai. Aaj main aapko apni personality ka istemal kar blog ko great, success, memorable banane ke bare me btaunga. Aayiye jante hai blogging me apni personality ka istemal kaise kare or apni site ko successful, memorable kaise banaye.

Make greate blog using your personality

Aapse ek sawal pucha jaye ki “Aap kitne blog ke bare me jante hai?” to aapke jawab me only 5 to 10 blog nad blogger hi honge. Aap ye question kisi bhi blogger se puch sakte hai uska bhi answer yahi hoga fir chae wo 1, 2, 3 to 10 year se blogging kar raha ho.

Internet par lakho blogs hai but sirf kuch hi aese memorable blog hote hai jo humare dimag me bas jate hai. Unka design, writing skill sabkuch humare man me aesi jagah bana lete hai jaise wo koi apna hi ho. Kya aapne kabhi socha hai ki aesa kyu hota hai or sabhi blog humare ming me jagah kyu nahi bana pate hume sabhi se itna lagav kyu hota hai.

Main or aap, hum sabhi daily bahut sare blog read karte hai but unme se hum sirf 5-10 blog ko hi like karte hai. Iska sabse bada reason hai humare favorite blog par sabse alag personality ka istemal kiya jana. Hume un par wo content padhne ko milta hai jo sabhi par nahi milta.

Jis site par other websites se matched content ho hum use kabhi bhi apni favorite list me add nahi karenge. Humari top best list me sirf wohi blogger or unke blog hote hai jo sabse alag or different tarike se work karte hai. Humare jaise sochne wale or humare jaisa work karne wale bahut hai. Balki yu kaho ki humse bhi badh kar talented logo ki bheed hai. Hume is bheed se aage nikal kar sab ke samne aana hoga.

Blogging Me Apni Personality Ka Istemal Karne Ki 7 Best Tips

Today, hum isi ke bare me bat karne wale hai ki hum kaise apni personality ka istemal kar apne blog ko lakho blogs ki bheed se bahar nikal kar stage par la sakte hai. Tabhi hum apne field me star ban payenge warna dusro ki tarah similar blogger ban kar rahe jayenge.

1. Make the Most Distinct Personality:

Har insan ki alag personality hoti hai. Uska work karne ka ek alag tarika hota hai. Aap me bhi kuch na kuch sabse alag jarur hoga. Aapko bas use pani site par dikhane ki jarurat hai. Aapka talent hi hai jo aapko aage tak le ja sakta hai. Iska pata hume tab chalta hai jab humare reader kahte hai ki hume aapki writing skill dusro se jyada pasand aati hai.

Humara content likhne ka tarika him hame dusro se alag banata hai. Bhale hi hum usi topic par likhe jis par pahle se bahut se log likh chuke hai humari writing skill dusro se better hogi to us content ko pahle se read akr chuke user bhi fir se read karna pasand karenge.

Although, degree important hai but main degree se jyada insan ke talent ko dekhna sahi samajhta hu. Agar aap me kisi kaam ko karne ka talent ya experience nahi hai to aapki degree koi kam ki nahi. So kabhi ye na soche ki humare competitor ke pas hamse jyada degree hai or hum usse aage nahi ja sakte.

Aap sabse aage ja sakte ho bas aapko jarurat hai apni alag pahchan (Distinct Personality) banane ki or uske liye aapko sirf apne dimag ko sahi istemal karne ki jarurat hai. Examples, Shah rukh khan ek aesa insan tha jiska bollywood me kuch bhi nahi tha or na hi uske pas koi badi degree thi fir bhi wo bollywood ka badshah ban gaya. Iski wajah uska hard work or uska sabse alag andaz me kaam karne ka tariak tha.

Bas hume bhi uski ki tarah kuch alag pahchan banani hogi. Hume bhi kuch aesa karna hoga jo abhi tak kisi ne nahi kiya tabhi sabhi ki juban par humara or humare kaam ka naam hoga.

Ye motivational article nahi hai or hume blogging par bat karni hai. Apne blog design, content writing skill, management and other all work ko sabse different banao tabhi log aapke blog ko yaad rakhna shuru karenge.

Anyhow, main aapko suggest karunga ki dusro ki tarah kaam karna chordiye or apna khud ka plan bana kar work start kijiye fir dekhna aapki success train ki speed kitni boost hoti hai.

2. Reflect Images of Your Personality:

Mere favorite blog me kuch blog aese hai jinko main unki images styles se pahchan leta hu. Unki images style me unki personality clear dikhayi deti hai. Main un blogger ki image ko dekh kar bta sakta hu ki ye kiski image hai. Shayad aapke sath bhi kcuh aesa hi hoga.

Hum jin blogs ko jyada pasand karte hai usme unki picture design ek badi wajah hai. Aap bhi kei tariko se image ke through traffic cover kar sakte ho. Content ko attractive banane ke liye aapko awesome images create karni hogi or isme aapki personality se jyada koi bhi aapki help nahi kar sata.

Follow below step and design your own style images:

  • Apne content or featured image ke liye ek fix size set kare.
  • Har image me apna watermark add kare.
  • Image text apni style me likhe.
  • Mostly khud ki image create kare.
  • Image ko baki sab se different look de.

Aapki image jitni good looking hogi user ko utna hi attract karengi.  Blog content me image ko isiliye add kiya jata hai taki user image ko dekh kar post content ke bare me jane use pasand karke us par click kare. Post title, headlines ki tarah hi image bhi content ka important part hoti hai.

So dusro ki image content me add karna band kijiye or apni khud ki images develop kijiye. Aap aesa kar sakte ho or koi bhi aesaa kar sakta kyuki image create karna bahut easy hai. Main jab tak apne content ke liye ek achhi image nahi bana leta mujhe content likhne me maja nahi aata.

3. Find Your Writing Personality & Talent:

Mostly 70% blogger dusre blogger ke content dekh kar kuch usi type se writing karte hai. I sure aesa sabhi ke sath hota hai but hume hamesha ke liye sticky nahi rahna. Hume apna talent apni writing personality ka pata lgana hoga.

Jis din aap aesa kar loge aapke content or aapke blog par bahut sare audience honge. I know ye aasan nahi hai. Kisi ko apne hunar ka pata starting me hi chal jata hai or kisi ko iska pata karne me mahine ya fir saal bhi lag jate hai.

Hume jitni jaldi ho sake apna hunar talash karna hai. Iska sabse acha tariak hai aap bina kahi se idea le kar content likhna shuru kare. Sirf apne dimag se writing karna shuru kare. Dheere dheere aapko pata chalne lagega ki aap kya kar sakte hai.

Aapki style bilkul wesi honi chahiye jaisa aapka diamg chahata hai. Agar aap without idea ke content likh pa rahe hai but fir bhi aapko apne andar ki power pata nahi chalti to aap long more long content write kare. Jab hum apne dimage se writing karte hai to ek time ke bad humare dimag me idea aane band ho jate hai. Bas usi ke bad humara talent samne aane lagta hai. Isi waqt hume pata chalta hai ki hum kya kar sakte hai.

 4. Empire Your writing Voice:

Har insan se galti hoti hai but kuch mistake aesi hoti hai jinka humare work par bahut bura asar padta hai. Content writing me sabse badi galti hoti hai grammar and spelling mistakes. Aap quality content likhte ho or usme bahut jyada spelling and grammar mistakes hai to koi bhi aapka content read karna nahi chahega.

Sirf itna hi nahi jin words se reader ko tension or boring ho wese words ka istemal karne se bache. Aapka content read karne me clear or easily samajh aana chahiye. Aapka content dusro se kitna better or effective hoga ye aapki personality par depend karta hai.

Jis tarah 5 rupees ka chips ka packet lene par uska test samajh na aane par people use feck dete hai same wese hi aapka content samajh nahi aane par log aapke blog ko avoid kar dete hai.

5. Do Satisfy Your Readers:

Aap kisi matter par likho bas apne readers ko satisfy karo. Bhale hi aapko 2,000, 5,000 ya isse jyada words me content likhna pade. Jab hum content likhte hai to ye jarur sochte hai ki ise padh kar logo ka kya respond hoga. Ise read karke user kaisa feel karenge.

Pata kijiye ki kya wakai aapke content se aapke reader santusht hai. Complete content likhne ke bad use ek bar read kare or doubt clear hone ke bad hi use publish kare. Har ek reader aapke content me aapki personality search karta hai.

Jab aap complete content write karoge to old reader aapki site par wapis aana pasand karenge. Halanki unki nazar me or bhi site or blog honge but unhe wishwas hoga ki aapki site par unhe full information mielgi so kisi or site par visit karne se kya fayda.

6. Tell Your Story & Share Your Experience:

Jab aap apne bare me likhte ho to aapke content me aapki personality clear dikhayi deti hai. Sabse badi bat ye aapke readers ke liye memorable hoti hai. Aapke reader aapke blog ki posts ko bholla sakte hai but blog par aapke bare me likhi gayi post ka ek ek words unko yaad rahega.

Agar aap apne readers ko apni story nahi bta sakte ya fir aap aesa karne me hitkichate ho to aap kisi or se apne story write karwa sakte ho. However, apne readers ke sath apna experience or apne blog ka experience dono share kare taki aapki wajah se kisi or ko bhi help mil sake.

Sirf apne bare me hi nahi aapke sath work karne wale or jinhone ne aapki successful hone me help ki aapki kahani me un sabhi ka bhi jikar hona chahiye. Aap chaho to other blgogers ko interview de kar bhi apne thoughts share kar sakte ho.

Blogging ki duniya me aap jitna jyada success ho oge other blogger unta hi jyada aapka interview lena pasand karenge. Aap email ya other messaging service se interview de sakte ho ya face to face video interview ho to bat hi kuch or hogi.

7. Understand What You Want with Your Blog:

Mostly starting me sabhi ko apna mission pata hota hai but dheere dheere logo ke raste change ho jate hai or sirf kcuh hi log apni sochi huyi manzil tak pahuch pate hai. Isme sabse bada reason hai earn money ka jo sabse jyada logo ko raste se bhatka deta hai.

Examples, ek boy blogging me sabse aage jane ke liye blogging ki shuruat karta hai. Starting me uski bas ek hi soch hoti hai ki use sabhi bloggers se aage jana hai or wo is par sahi tarike se kaam bhi karta hai. But jaise hi use paise kamane ki bimari lagti hai wo sahi rasta chord kar make money online ki taraf bhagta hai.

Is karan wo success ke way follow karna chord kar money earn karne ke formulas follow karne lag jata hai or ek time bad log follow karna band kar dete hai or uske pas na paisa rahta hai or na hi blogging. Wo dono me fail ho jata hai or aakhir me thak kar blogging chord deta hai.

Agar hum sahi tarike se mehanat karenge to paisa or duniya dono humare piche bhagenge. Ye duniya usi ko salam karti hai jo success hai. Kisi bhi cheez ko pane ke liye humara uske kabil hona jaruri hai. Jis din hum uske kabil ho jayenge god or duniya wo cheez aapko bin mange la kar de degi.

So galat rasto chalna chord kar ye yaad karo ki aapka plan kya hai or aapko karna kya hai. Apne blog ko usi or le jane ki koshish karo thoda mushkil hoga par ek din safalta ka jhanda aapke hath me hoga.

Finally, hume dusro ke piche chal kar kabhi safalta nahi milne wali. Hum safal tabhi honge jab hum dusro se aage ja payenge or sabse aage jane ke liye aapko sabse alag tarika apnana hoga. Halanki ye bat aapko kadvi lag sakti hai but aap achhe se sochoge to aapke dimag me yahi khyal aayega ki main sahi kah raha hu.

I hope aapko ye content pasand aayega or aap blogging achhi writing karna chahate hai to ye article read kare Blogging Me Apni Writing Skills Improve Karne Ki 8 Best Tips.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 64 )

  1. wow bro real me mere sare blog ke related problems ke solutions net pr search karne ke bad sirf or sirf apke blog se milte hai

    dua he aap hamesha age badhte raho

    really ek aap hi he jo apke readers ko sbse ache tarike se solutions dete ho

    Reply

Leave a Comment