Alexa Website Ki Ranking No Data Show Kyu Karta Hai

Jab hum new website ya blog banate hai to alexa me uski ranking ki jagah No Data, No Rank likha hua (Show) aata hai. new blogger ke liye ye question sabse badi problem ban jata hai. Agar aapko bhi alexa ki no data wali problem hai to don’t worry is post me aapke sare sawalo ka jawab mil jayega  ki aapki site ki alexa rank show kyu nahi ho rahi hai. Why is my site’s Alexa Traffic Rank “No data” or “No rank”, janiye hindi me.

Alexa Site Ki Ranking No Data Kyu Show Karta Hai

Sir mujhe blog banaye 10 days se jyada ho gaye hai or maine apni site par 8-10 post bhi upload ki hai. magar meri site ki ranking alexa me no data show kyu hoti hai” Ye sawal mujhse dharm singh ne pucha hai. mai dharm singh ke sath or bhi sabhi new blogger ko iske bare me details se bta raha hu. jisse unhe pata chal jaye ki unki website ki alexa rank show kyu nahi hoti hai.

I am sure jab hum new website ya blog banate hai to alexa me uski ranking show nahi hoti hai. alexa uske liye no data show karta hai kyuki humari site ka domain ek dam new hota hai. yeh koi khas problem nahi hai. ye sirf aapki site par traffic na hone or site ke search engine me show na hone ki wajah se hota hai. alexa me ranking show karne ke liye aapki site search engine me show honi chahiye. uske 4-5 days bad aapki site ki alexa par ranking show hone lag jayegi.

Alexa Me Meri Website Ki Ranking No Data Kyu Show Hoti Hai

Jab aap apni site ko search engine or alexa se submit karoge to alexa aapki site ko check karna start kar dega. agar aap aysa nahi karte hai to bhi 20 se 30 days me aapki site ki alexa me rank show hone lag jayegi. by the way agar aap jaldi apni site ki alexa ranking dekhna chahate hai to aap sabse pahle apne browser me alexa toolbar install kare. mai yaha aapko kuch important bate bta raha hu. aap unhe follow karoge to agle 4-5 din me aapki site ki alexa rank show hone lag jayegi.

  1. Sabse pahle apni site ko alexa me submit & verify kare.
  2. Apne browser me alexa toolbar install kare.
  3. Apne blog ya website ki traffic badhaye.
  4. Alexa rank increase karne ke tips follow kare
  5. Continue apne blog par new post share kare.

Ye 5 step follow karne ke bad i promise agle 5 din me aapki site alexa rank me hogi. or agar aapko alexa rank ke bare me koi sawal puchna hai to aap niche comment me puch sakte hai.

Adhik jankari ke liye aap alexa ke no data, no rank show karne ke reason wale form par jaye.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 19 )

  1. bhai alexa ranking to meri down ho rahi hai mean kam ho rahi hai ,india me 200000 se kam ho gyi hai but traffic nhi aa raha google se

    direct traffic kya hota hai mere blog me jyada traffic issi se aata hai

    jaroor reply karna

    Reply
    • Iske liye aap SEO optimize kar content likho. Direct traffic wo hota hai jab koi user browser me aapki site ka URL type karke aaye.

      Reply
  2. Thanks bht achi information de aap ne.

    Reply

Leave a Comment