Google AdSense Auto Ads Kya Hai Ise Kyu Aur Kaise Use Kare

Is post me hum Google AdSense Auto Ads Kya Hai Aur Iska Istemal Kaise Kare ke bare me janenge. Ye adsense ka new feature hai jisme aap adsense all format ads ko automatically ek ad unit me display kar sakte ho. Aayiye iske aur iske feature, benefits ke bare me details se jante hai.

AdSense Auto Ads Kya Hai Aur Kaise Use Kare

Aaj jab maine apna adsense account open kiya to mujhe “Adsense Auto Ads” ke bare me pata chala, ye wakai bahut kamal ka hai. Aaj tak google adsense me jo new update aati thi wo SEO and Adwords ke liye hoti hai lekin ye update publisher revenue increase karne ke liye hai.

Adsense Auto Ad bahut hi kamal ka ad format hai jisme aap multiple ad units ko show kar user experience ke sath apni adsense earning bhi badha sakte ho. Yaha main AdSense Auto Ads ki nimn step by step full guide bta raha hu.

  • AdSense Auto Ads Kya Hai?
  • Auto Ad Me Kaun Konse Ad Format Show Hote Hai
  • Adsense Auto Ads Use Karne Ke Fayde
  • Google AdSense Auto Ads Use Kare Kare
  • Google Auto Ads Work Kaise karta Hai

Agar aap ek Adsense Publisher hai to aap apne adsense account dashboard me dekh sakte hai aapko Switch to Auto Ads and Set up ki notification mil jayegi.

Adsense Auto Ads Kya Hai

Adsense Auto Ads ad formats ki ek family hai jo aapke content ko monetize karne ke liye ek simple and innovative way offer karti hai. Isme aap per page or post me ad code ka one piece hi dalte hai.

Aapke dwara ad code add kar dene ke bad google automatically optimal time par ads show karta hai. Auto ads aapke liye well perform karta hai aur aapke users ke liye good experience provide karta hai.

Auto ads me ek sath kai ad units  dikhaye jate hai jiski jankari is prakar hai.

AdSense Auto Ads Me Kaun Konse Ad Format Shamil Hai

Adsense auto ads se aap multiple ad units ko control kar sakte ho. Yaha main un sabke bare me bta raha hu.

Iske alawa aut oads me Automatically Get New Format feature bhi shamil hai jiska matlab agar adsesne koi new ad format add karta hai to wo isme automatic add ho jayega.

AdSense Auto Ads Work Kaise Karta Hai

Adsense auto ads Google’s machine learning technology ka istemal karta hai. Isme nimn points focus kiye jate hai.

  • Understand your page structure
  • Detect any existing Google Ads on your page. (Auto ads only google ads ko detect karega other ad networks ko nahi.)
  • Automatically place new ads based on different elements such as your page layout, amout of content, and existing google ads.

Is technology ke taht auto ads work karta hai aur agar aap Google AMP istemal karte hai to aap AMP Auto Text and Display Ads Lab check kare.

AdSense Auto Ad Use Karne Ke Fayde (Benefits of Auto Ads)

Adsense auto ads use karne ka sabse bada fayda hai ki aapko apni website aur blog me ad placement optimize karne me time west nahi karna padega google auto ads automatically aapke site par best ad show karega.

Benefits of AdSense Auto Ads:

  1. You can Focus on Creating Great Content: Auto ads automatically aapke ads ko aapke liye better place aur optimize kar show karta hai so aapko ad optimization karne ki jarurat nahi hai.
  2. Increase your Adsense Revenue: Auto ads aapki site ke pages ko analyze kar Layout, Content and Google Ads ke according location par ad show karta hai. Isse aapko jyada ad click milenge aur aapki adsense income increase hogi.
  3. Easy to Use: Auto ads ko istemal karne ke liye aapko kuch special setup karne ki jarurat nahi hai. Ye adsense page level ads ke sath hi kaam karta hai.

Ye thi Adsense Auto Ads aur uske fayde ki jankari ab hum ise apni website aur blog me istemal karne ke bare me jan lete hai.

Google AdSense Auto Ads Ko Use Kaise kare

Jaisa ki main pahle hi bta chuka hu ye use karne me bahut hi aasan hai aur aapko iske liye koi special step follow karne ki jarurat nahi hai. Iske steps bahut hi simple and easy hai.

Step 1:

Sabse pahle aap Google Adsense site par jaye aur apni gmail ID se sign in kare.

  1. Ab left sidebar me My Ads >> Auto ads option par jaye.

Create Auto Ad Units

Step 2:

Agar aap first time auto ad unit create kar rahe hai to aapko is type ka feature milega.

  1. Get Started button par click kare.

Get Star Auto Ad Unit

Step 3:

Ab jo page open hoga usme aapko wo sabhi ad format select karne hai jinhe apa auto ad unit me shamil karna chahate ho.

Yaha aapko Text & display ads, In-feed ads, In-article ads, Matched Content, Anchor Ads and Vignette ads total 6 ad format milenge aap jo chaho select kar sakte ho.

  1. Jo ad format include karna hai uske samne arrow ko enable kare.
  2. Agar aap chahate hai ki new ad format bhi apne aap isme shamil ho jaye to Automatically Get New Format option ko enable kare.
  3. Finally, Save button par click kare.

Control Ad Formats with Auto Ads

Step 4:

Ab jo page open hoga usme aapko page level add code milega. Isme auto ad add ho chuka hai. Aapko ye code copy kar apni website blog me  <head> ya <body> section me add kar dena hai jisse ye code aapki site ke every page par load hoga.

  1. Copy code snippet par click kar code copy kare.
  2. Done button par click kare aur ye code apni site ke <head> section me add kare.

Copy and Paste Auto Ad Code

Ab aapne auto ads successfully create kar liya hai, ab aapko jo code mila hai use apni site me add kar do uske bad aapke site par auto ads work karna shuru kar dega.

Note:- Aapke site me auto ads code add karne ke bad ise properly work karne me 10 – 20 minutes ka time lagega.

Agar aap auto ad unit create karne ke bad usme se kisi ad format ko delete ya add karna chahate ho to aap My ads >> Auto ads par ja kar auto ads ko control kar sakte ho.

  1. Yaha aap ad format ko delete and add kar sakte ho.
  2. Yaha par click karke aap Auto ads report check kar sakte ho.
  3. Agar aap domains, subdomains, site section or page ke according auto ads ki performance check karna chahate ho to uske liye Advanced URL Settings me New URL Group bana sakte ho.

Control Auto Ads

Is tarah se aap aap apni site me adsense auto ads istemal kar sakte ho aur apni adsense earning and user experience boost kar sakte ho.

Auto ads ki performance and earning report check karne ke liye aap My ads >> Auto ads par jaye aur view auto ads report icon par click kare.

I hope is post ko padhne ke bad aapko adsense auto ads ke bare me sabkuch pata chal jayega fir bhi agar aapko auto ad ko le kar koi confusing ho to aap apna sawal comment section me puch sakte ho.

Ye bhi padhe,

Agar aapko meri ye post pasand aaye to ise apne social friends, adsense publisher aur other bloggers ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 171 )

  1. Sir mare blog per 1000+ page view hai. Main auto ad use karta hu ad bhi sahi show ho rahe hai per meri earning 0.60 ke aasspaas hi rahti hai cpc. 0.02 rahti hai. Click 20-30 ke bich hi rahte hai. Meri earning kyo nahi badh rahi hai.

    Reply
    • log par traffic badhao earning bhi badhegi.

      Reply
  2. hi bro how auto ads or manual ads ek sath use kar satke hein kaya.

    Reply
    • Yes kar sakte hai.

      Reply
  3. hello sir. maine apne 2 blog me auto ads activate kiya tha, jab auto ads ka feature aaya tha tab, lekin baad me maine ak blog se auto ads ko disable kar diya, lekin ab jis blog me auto ads use kar raha hu, uski CTR bahut hi badiya hai, aur jis me nahi use kiya unki ctr aur earning bhi kafi low hai, pageviews jyada hone par bhi. isliye ab me feer se auto ads use karna chahta hu but hota hi nahi hai, me kahi deeno se try kar raha hu. ads code ko bhi sahi tarike se daala hai. but maine jab URL Group me blog ki kuchh post link me ads disable kiya hai tab se ye problem sharu ho gayi hai, please aap ye bataiye ki group url kis tarah se add kare, isme bahut sare option mil rahe hai, kuchh samaj nahi aata.. please help me, auto ads disable ki vajah se earning me kafi loss ho raha hai, aur manually ads se auto ads me ctr kafi achha aa raha hai.

    Reply
  4. nice post sir. adsense ke baare m ye bahut achi post ha sir. thanks for this post sir……. keep up good work sir.

    Reply
  5. Kya Google Auto ads se earning me ijafa hota hai or kya isse site speed par fark padta hai. Plz guide

    Reply
    • It;s not working properly, I suggest you don’t use it.

      Reply
  6. Sir aap ne auto ads blog par use kiye hai ya manual ads lagaye hai? dusri baat ye puchni thi ki, Ribbon theme me jab bhi responsive ads post me lagaate hai to woh kaafi patle show hote hai. jab ki maine kai sare blog me dekha hai ki ads kafi mote tagde hote hai. to kya un logo ne squere ads laga kar unka width full screen kiya hoga? aur asia karne se google ka policy violet nahi hoga? mere in dono question ka answer zarur dijiyega thanks.

    Reply
  7. Kya mein adsense auto ads ki code ko apni site ke header widget mein place kar skta hu?

    Reply
    • yes kar sakte ho.

      Reply
  8. Sir, adsense home today so far me estimated earnings $10.06 show ho rahi hai par jab Payments aur balance section me jata hu tab vaha earning $0.00 hai. help please.

    Reply
    • Payment option me earning mahine me ek bar add hoti hai.

      Reply
  9. Sir,mere blog me daily 550 se 600 ke bich traffic ata hai.lekin erning nahi ho rha hai kya karu..ek bar meri website dekh ke bata sakte hai kya problem kya hai.

    Reply
    • Traffic badhao bro itne traffic se earning ki ummid mat karo.

      Reply
  10. Great post sir!
    Par mujhe aap ye batayiye. Ki aap konsa tarika use karte hai. Apne blog me ads show karne ke liye..
    1) Auto ads
    2) manually aap khood karte ho.

    Aur aapke experience se konsa way best hai.

    Reply
    • manually, mere hisab se yahi better hai.

      Reply
      • Aap sahi kah rahe hai. Kyonki mere blog me sirf header me aur sidebar me ads show ho rahe hai. I think content ke bich ads show hogi. To jyaada income hogi.
        By the way, Bro ab mujhe manually ad insert karna hai. To sabase pahale kya karu? jaise
        1) autoads ko kaise remove karu.
        2) manually ads insert karne ke liye kya karu.
        3) Ad units kaise banate hai.
        4) Filhal jo code section me code add kiya hai. Use remove kardu? ya rahno de.
        5) plugin ka istemaal kaise karu.

        Sabase pahale to aap mujhe jo steps follow karne padenge. Uska short idea dijye. Baadme aapne ispar jo bhi article likhe hai. Ya mujhe jo padhane chahiye. Usaki link dijiye.

        Reply
        • 1. Auto ads ka code blog se hata do.
          2. please read our ad placement guideline.
          3. Google Adsense Par Ads Kaise Banaye
          4. Remove kar do.
          5. wp left sidebar me plugins>> add new par jao oar search box me ad inserter search kar install kar lo.
          Aap humari adsense category wali post check karo sabki jankari mil jayegi.

          Reply

Leave a Comment