Updated: Ab 1 Mobile Me 2 Whatsapp Account Kaise Chalaye

1 mobile me 2 whatsapp account chalane ke liye hum OGWhatsapp use karte the. But March 2023 se OGWhatsapp Expire ho gaya hai.  To fir ab hum apne phone me ek hi time me 2 whatsapp number kaise use kar sakte hai. Don't worry iska bhi solution hai. Is post me mai aapko iske bare me details se bta raha hu. Or aap fir se apne andorid phone me do whatsapp account use kar sakoge.

OGWhatsapp Expired! Now How To Use Two Whatsapp Account in One Mobile

Maine july 2023 me jab blogging ki starting ki thi to sabse pahle apne blog par yahi post share ki thi. Yahi wo post hai jo mujhe blogging me le kar aayi or jiski wajah se mujhe shuruaati dino se hi acha traffic milne lag gaya.

Aaj ma is post ko update kar raha hu. Kyuki OGWhatsapp ab expire ho gaya hai or work karna band ho gaya hai. So ab mujhe readers ki ye problem solve karni hai ki OGWhatsapp ke off hone ke bad ek sath apne mobile me do whatsapp account kaise use kare.

Pichle kuch dino se meri old post Apne Android Phone Me 2 Whatsapp Account Kaise Use Kare Hindi Me Jane par comments aa rahe the ki OGWhatsapp ko download karne ke bad jaise hi install karte hai to wo fir se download karne ya date adjust karne ko kahta hai. Actually ye apps ab google play store par available nahi hai. Or ab hum isko use nahi kar sakte.

Sab ki tarah mai bhi humesha original whatsapp hi use kartas hu. But users ki problem ka solution pata karne ke liye maine apne mobile me ogwhatsapp install karke dekha to real me yahi problem samne aayi. Don't worry aap abhi bhi apne mobile me ek sath 2 whatsapp number use kar sakte ho. Read this post.

Updated: OGWhastapp Expired! Ab 1 Mobile Me 2 Whatsapp Numbers Kaise Chalaye

Jab maine iska reason pata kiya to mujhe pata chala ki ogwhatsapp version expire ho gaya hai or iska latest version available nahi hai. Iske bad maine socha ki ab ogwhatsapp ke alawa koi or tarika to hoga. Or maine aaj 30 march ko iska solution pata kiya ki ek application hai. Jisse hum 2 se jyada whatsapp ek mobile me use kar sakte hai.

Mai bat kar raha hu multi messanger android application Disa ki, Isse hum one phone me two whatsapp use kar sakte hai. Or sabse achi bat ye abhi google play store par bhi available hai. Aap ise yaha se download kar sakte hai. Download Disa on Google Play Store. Or agar aap is apps ko iski official site se download karna chahate hai to yaha click kare Disa Official Site.

Disa multi messanger apps ko aap whatsapp messaging ke sath sath Facebook, SMS or other messaging apps ki tarah use kar sakte ho. Agar aapka mobile root kiya hua hai to bhi aap disa multi messanger app ko use kar sakte ho. Is aaps se aap ek sath apne mobile me kitne bhi yani 2 se bhi jyada 3 whatsapp, 4 whatsapp, 5 whatsapp ya fir kitne bhi use kar sakte ho.

Disa Multi Messanger Ko Android Phone Me Kaise Install Kare?

Disa multi messanger apps ko apne mobile me install karna bahut hi aasan hai. Iske liye aapko bas ye simple step follow karne hai.

  1. Sabse pahle aap Google Play Store ya Disa Official Site se Disa multi messanger ko download kare.
  2.  Disa app ko download hone ke bad install kare or add service par click kare. Ab aap chaho to yaha par facebook, whatsapp and other kisi bhi messager app ko use kar sakte ho.
  3. Ab apne mobile ke kisi bhi browser me ye link open karo - waplugin.bitballoon.com. Yaad rahe ye link tabhi kaam karega jab aapke mobile disa multi messanger pahle se install hoga.
  4. Ab aap aasani se apne mobile number verify kar sakte ho. Jaise original whatsapp me karte ho.

Is tarah se aap apne android mobile me ek se jyada whatsapp number chala sakte ho. OGWhatsapp sabse better tarika tha ek mobile me do whatsapp account use karne ka but original whatsapp ke DMCA notice ki wajah iska new version market me nahi aa saka.

Ye sabhi apps third party apps hote hai. Or aap inhe apni risk par use karoge. Isme meri ya supportmeindia ki koi gauranty nahi hogi. So aap apne phone me kitne bhi whatsapp use karo but own risk par. OGWhatsapp ko whatsapp ne google play store se remove karwa diya hai. So ye post me sirf ogwhatsapp ki information dene ke liye likh raha hu. Mai aapko suggest nahi karta ki aap ogwhatsapp use karo. Ha mai aapse kahna chahunga ki aap Disa multi messanger ko use kar sakte ho.

Agar aapko ye post pasand aaye to is post ko media par un dosto ke sath share jarur karna jo multiple whatsapp chalane ke shokeen ho. Thanks

Continue Reading
Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

36 Comments

Comments ( 36 )

  1. Gmail I'd me mujhe khud ka photo lagane ke liye kya karna hoga

    Reply
    • Goole plus profile par apna photo upload karo.

      Reply
  2. mera Google webmaster account verify nhi hota h lekin jab fir se webmaster ko open kare to mera blog show hota h aor likha aata h u r verified member to kya account verify ho gya h

    Reply
    • Google webmaster me verified likha hua aa raha hai to ho gaya hai.

      Reply
  3. Bro post kar dijiye.
    Jaise mujhe apne kha tha vaise hi kar dijiye.taki mujhe sample mil Jaye.
    Bro apne hindi.supportmeindia.com me about page me apne jaha teeno site ka name add kiya vaha par apne link sahi add kiya hai lekin vo text galat hai use sahi kar lijiye.
    Aur mere liye mobile future par vo post kar dijiye

    Reply
    • Sandeep thoda wait karo. Jarur likhunga and thanks

      Reply
  4. paid aur free WordPress theme me kya fark hai aur konsa theme use kAre?

    Reply
    • OPaid theme me humko latest update, seo, features mil jata hai but free theme me nahi. Sabse badi bat aap paid theme ko full custome kar sakte ho but free theme ko customize karne se licence expire ho jata hai.

      Reply
  5. search console ka HTML code kitne minat me template me save hona chahiye Maine kal kiya tha to aaj khol k dekha to verify failed likha h

    Reply
    • Dilip iska koi time nahi hota. Aap ache se sahi jagah par sahi code add karo.

      Reply
  6. bahut achhi post main kab se yahi janna chahta tha.
    sir maan lo maine domain aur hosting dono buy kar liya.
    ab word press par jana hai. to kya sir iske lye pehle wp par a/c banani
    padegi.agar han to sir kewal a/c hi create karna hai. ki blog banana hai.

    Reply
    • Aapne hosting le li right. ab aap hosting site par cpanel me ja kar wordress blog install kar sakte ho.

      Reply
  7. sir mera ek problem bhut dino se he,,, ur aapko iske bare msg v kiya hun but aap reply nhi kiye he,,,,mera blog ko google plus me follow bottom kaise lagaye maine bhut try kiya but nhi hota he,,,jaise mera blog ka id se google pus me login krta hun to usme mera sara post dikhta hai but mera nam age follow bottom nhi show krta he,, main page v banaya but follow buttom kaise lgaye smjh me nhi aa rha he...ap plz btaye ya iske bare me ek post likhe

    Reply
    • Theek hai mai iske bare me post karunga.

      Reply
  8. bhai plz ek reply kare .....mujhe apke jesi website banani he .....
    kya apne WordPress hosting kharidi thi

    Reply
    • Yes, maine WordPress par hostgator se hosting le kar blog banaya hai.

      Reply
  9. mene blog ko analyst se jod liya h iska koi charge lagta h ya free h lifetime k liye

    Reply
    • Iska free version hai. Life time ka pata nahi kal ko paid bhi ho sakta hai.

      Reply
  10. post mujhe bahut pasand aai hai, bhaiya aap hame ye bataye play store me jo application hai uska link kaise copy karte hai, play store me iska options nahi hai, Maine Google me search karke but aapka jaisa link hai usse mai kaise pata karu

    Reply
    • Aapko jiska link search karna hai uska name likh kar google me search karo jaise, facebook messanger on google play store

      Reply

Leave a Comment

Social Media

Facebook Par Kisi Bhi Bhasha (Language) Me Post Kaise Kare

Facebook Multiple Languages Tool
Facebook par kisi bhi bhasha me bat kaise kare? Apne friends se unki language me chating kaise kare? Kisi bhi bhasha me posts, status and comments kaise kare? Facebook par kisi bhi language ki post ko kaise padhe? Agar aap in sabhi sawalo ke jawab janna chahate ho to is…
Continue Reading
Social Media

Google Gmail Account Ka Mobile Number Kaise Change Kare

myaccount.google.com
Agar aapka mobile kho jaye ya aapki old sim kho jaye to aapko apne gmail account par se mobile nuber chane kar lene chahiye. Kyuki koi bhi aapka gmail account hack kar sakta hai or aapki khoyi hoyi sim se number change kar sakta hai. Is post me mai aapko…
Continue Reading
Social Media

Twitter Ke Top 20 Useful Shortcuts Aapke Bahut Kaam Aa Sakte Hai

Twitter Top 20 Useful Shortcuts
Social networking sites par har kisi ka account mil jata hai or ab to twitter bhi facebook ki tarah top popular social site ban gaya hai. magar twitter ko use karna facebook ki tarah simple nahi hai. isliye new user ko ye bakwas lagta hai but aap twitter ko or…
Continue Reading
t20 win
x