Updated: Ab 1 Mobile Me 2 Whatsapp Account Kaise Chalaye

1 mobile me 2 whatsapp account chalane ke liye hum OGWhatsapp use karte the. But March 2024 se OGWhatsapp Expire ho gaya hai.  To fir ab hum apne phone me ek hi time me 2 whatsapp number kaise use kar sakte hai. Don’t worry iska bhi solution hai. Is post me mai aapko iske bare me details se bta raha hu. Or aap fir se apne andorid phone me do whatsapp account use kar sakoge.

OGWhatsapp Expired! Now How To Use Two Whatsapp Account in One Mobile

Maine july 2024 me jab blogging ki starting ki thi to sabse pahle apne blog par yahi post share ki thi. Yahi wo post hai jo mujhe blogging me le kar aayi or jiski wajah se mujhe shuruaati dino se hi acha traffic milne lag gaya.

Aaj ma is post ko update kar raha hu. Kyuki OGWhatsapp ab expire ho gaya hai or work karna band ho gaya hai. So ab mujhe readers ki ye problem solve karni hai ki OGWhatsapp ke off hone ke bad ek sath apne mobile me do whatsapp account kaise use kare.

Pichle kuch dino se meri old post Apne Android Phone Me 2 Whatsapp Account Kaise Use Kare Hindi Me Jane par comments aa rahe the ki OGWhatsapp ko download karne ke bad jaise hi install karte hai to wo fir se download karne ya date adjust karne ko kahta hai. Actually ye apps ab google play store par available nahi hai. Or ab hum isko use nahi kar sakte.

Sab ki tarah mai bhi humesha original whatsapp hi use kartas hu. But users ki problem ka solution pata karne ke liye maine apne mobile me ogwhatsapp install karke dekha to real me yahi problem samne aayi. Don’t worry aap abhi bhi apne mobile me ek sath 2 whatsapp number use kar sakte ho. Read this post.

Updated: OGWhastapp Expired! Ab 1 Mobile Me 2 Whatsapp Numbers Kaise Chalaye

Jab maine iska reason pata kiya to mujhe pata chala ki ogwhatsapp version expire ho gaya hai or iska latest version available nahi hai. Iske bad maine socha ki ab ogwhatsapp ke alawa koi or tarika to hoga. Or maine aaj 30 march ko iska solution pata kiya ki ek application hai. Jisse hum 2 se jyada whatsapp ek mobile me use kar sakte hai.

Mai bat kar raha hu multi messanger android application Disa ki, Isse hum one phone me two whatsapp use kar sakte hai. Or sabse achi bat ye abhi google play store par bhi available hai. Aap ise yaha se download kar sakte hai. Download Disa on Google Play Store. Or agar aap is apps ko iski official site se download karna chahate hai to yaha click kare Disa Official Site.

Disa multi messanger apps ko aap whatsapp messaging ke sath sath Facebook, SMS or other messaging apps ki tarah use kar sakte ho. Agar aapka mobile root kiya hua hai to bhi aap disa multi messanger app ko use kar sakte ho. Is aaps se aap ek sath apne mobile me kitne bhi yani 2 se bhi jyada 3 whatsapp, 4 whatsapp, 5 whatsapp ya fir kitne bhi use kar sakte ho.

Disa Multi Messanger Ko Android Phone Me Kaise Install Kare?

Disa multi messanger apps ko apne mobile me install karna bahut hi aasan hai. Iske liye aapko bas ye simple step follow karne hai.

  1. Sabse pahle aap Google Play Store ya Disa Official Site se Disa multi messanger ko download kare.
  2.  Disa app ko download hone ke bad install kare or add service par click kare. Ab aap chaho to yaha par facebook, whatsapp and other kisi bhi messager app ko use kar sakte ho.
  3. Ab apne mobile ke kisi bhi browser me ye link open karo – waplugin.bitballoon.com. Yaad rahe ye link tabhi kaam karega jab aapke mobile disa multi messanger pahle se install hoga.
  4. Ab aap aasani se apne mobile number verify kar sakte ho. Jaise original whatsapp me karte ho.

Is tarah se aap apne android mobile me ek se jyada whatsapp number chala sakte ho. OGWhatsapp sabse better tarika tha ek mobile me do whatsapp account use karne ka but original whatsapp ke DMCA notice ki wajah iska new version market me nahi aa saka.

Ye sabhi apps third party apps hote hai. Or aap inhe apni risk par use karoge. Isme meri ya supportmeindia ki koi gauranty nahi hogi. So aap apne phone me kitne bhi whatsapp use karo but own risk par. OGWhatsapp ko whatsapp ne google play store se remove karwa diya hai. So ye post me sirf ogwhatsapp ki information dene ke liye likh raha hu. Mai aapko suggest nahi karta ki aap ogwhatsapp use karo. Ha mai aapse kahna chahunga ki aap Disa multi messanger ko use kar sakte ho.

Agar aapko ye post pasand aaye to is post ko media par un dosto ke sath share jarur karna jo multiple whatsapp chalane ke shokeen ho. Thanks

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 36 )

  1. I am using GB whats app . Its very useful and more features … plus you can also use whats app business . So u can use three account in one mob …

    Reply
  2. bahut badiya jankari di sir
    aap se ek sawal puchhna tha sir
    kya WordPress me hosting har mahine leni padti hai kya

    aur sir ek bar mera blog dekh lijiye is par visitor bahut kam aate hai
    anytechtips.com ye meri site hai sir
    help me sir
    thanks

    Reply
    • nahi aap chahot jitne day ke liye hosting le sakte ho, 1 month ,6 month, 1 sal, 5 sal ant other. aapka blog badhiyaq hai.

      Reply
      • (waplugin.bitballoon.com)
        sir, disa app to install kar liya maine.. ab kuch samajh me nhi aa raha hai. matlab upar wala site me ja k kya karna hai..?

        Reply
        • Post me allready step btaye hai wo follow karo.

          Reply
        • Post me already step btaye hai wo follow karo.

          Reply
    • bro apne konsi site se tamplate load kiya h yah ap mujhe apna tamplte mail kar sakte ho ????

      Reply
      • Main genesis theme use karta hu.

        Reply
  3. Sir mer pass xolo q2000 aur cellkon a20 mobail hai mai use latest version me Kaiser update karoo please help me.

    Reply
    • Phone ke about option me ja kar check karo ki latest version avaialable hai ya nahi ho to kar sakte ho.

      Reply
  4. Bhai ji ap meri site pe jake dkh lijiye mera template kaisa hai and meri site me niche jo blog archives aata hai mai usko remove karna chata hu kaise karu

    Reply
    • tempate sahi hai bas usme widget sahi se use karo.

      Reply
      • waplugin.bitballoon.com
        .
        bhai, is link me click karne ke baad kya karna hai.. maine Disa app download kar liya hai..

        Reply
        • Is par ja kar aapko add new apps icon par click karna hai oske bad whatsapp select karna hai.

          Reply
  5. Bhai ji hum goggle se image download karke aur usme hum edit kar ke name dale agar blog me lagaye to kya bo image copy mani jaygi

    Reply
    • Ha copyright ho sakti hai.

      Reply

Leave a Comment