Aapki Site Ka Content Copy Ho Raha Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare

Blogging me post content copy hona sabse badi problem hai. Hum copy karne walo ko puri tarah rok nahi sakte hai but kuch tips follow kar ke unke kaam ko mushkil kar sakte hai. Agar aap ke sath aysa ho raha hai or aap pata karna chahate hai ki koi aapki post copy to nahi kar raha hai to don’t worry mai is post me aapko aysi trick btane ja raha ahu. jisse aap aasani se aapki post content chory karne wala ka pata laga sakte hai.

Agar aap Apne blog par se copy paste ko disable karna chahate hai to Blogspot Blog Par Post Content Chori Hone Se Kaise Bachaye post par jaye. isme aapko aysi tricks milegi. jisse aap apni site par se copy paste ko band kar sakte hai. or apni site content ko copy hone se bacha sakte hai.

Aapki Site Ka Content Copy Ho Raha Hai Ya Nahi Kaise Pata Kare

Agar aapko pata nahi hai ki koi aapki site content copy kar raha hai ya nahi to aap Website Copyright Content Check Karne Ki Top 10 Free Tools post par ja kar bhi pata kar sakte hai. Is post me maine copyright content ke bare me pata karne ki puri jankari details me btayi hai.

Ya fir aap ek simple tarike se google me apni post search karke pata kar sakte ho. aapko bas google search engine me apni post title le aage piche (“) lagana hai is tarah – (“Your Post Title”).

Check Content Copy Theft

(“Your Post Title”) trick se aap jab google search engine me apni site ki post check karoge to aapki site ko jitne bhi logo ne copy kiya hai. un sabki post ka result search engine aapke samne show karega. Ye tricks chot ijaur hai but hai bade kaam ki and aap iske alawa copyscape par bhi copy paste ke bare me pata kar sakte ho. iske bare me details se mai aane wale time me btaunga.

I hope aapko ye tricks pasand aayegi. agar ha to is post ko social media par share kar ke humari help karna na bhoole. sath hi post ke bare me commnet jarur kare.

By the way agar aap chahate ho ki aapko aage bhi blogging ke bare me aysi tricks milti rahe to humari site ko subscribe kare. or aap chaao to hume social media par follow kar ke bhi humari lastest post ki notification recieve kar sakte ho.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 40 )

  1. how can I disable copy any post in blogger? please tell me

    Reply
  2. bhaut aachi jankari di aapne , mujhe content copy hone wala trick pata nahi tha.

    Reply
  3. ek blogger ne mere tin post ko hu-b-hu copy karke apne blog pr paste kar diya hai. maine usse wh post hatane ke liye kaha bhi lekin wh nahi hata raha hai , ab main kya karun ?

    Reply
  4. meri ek or problem he meri WordPress site par kuchh comment mere approve kiye bina he approve ho jati he or kuchh pennding me rahti he.
    mai chahta hu ki total comment penndig me rahe jab me approve karu to show ho.
    kya option he iska plz

    Reply
    • Aap WordPress dashboard>> discussion me jao or “Comment must be manually approved” ke samne tick karo.

      Reply
  5. Bahut Badiyan post sir .

    Reply
  6. bro blogger blog ke comment box ko delete karke aapke blog jaisa comment box kaise lagaun plz bataiyye

    Reply
    • Nahi laga sakte ye WordPress ka comment box hai.

      Reply
  7. bhai jan main pak se hoon apny bahut acha kaa kiya hai..
    main bhi blogging shiro karon ga..blog tou bna rakha hai ..par kuch kiya nahin kyon k mujhy kuch ata he nahin tha apky site pe a ka bahut much sekhny ko mila.
    exam hony main aik month baki hai usky baad he kch karonga..
    app sy aik sawal pochna tha ..
    k google k search engin main apni pics kaisy la sakta hoon..
    k apna naam likhny par meri he pics a jayain..
    minimum 20 25 jo main by upload ki hoi hon.
    tou plz iska koi asaan tarika bata dain..
    jis se aik month tak pics show ho jayain.
    shukriya mujhy apky jawaab ka bechaini se intaazaar rahy ga.

    Reply
    • Welcome abbas, aap apni image facebook, google, instagram, blogger blog ,WordPress blog, google plus me se kisi par bhi upload kar lo. google use apne aap search me show karne lag jayega.

      Reply
  8. aesa ho sakta hai kya ki jaha par profile hoti hai waha par view my complete profile hata skte hain

    Reply
    • Nahi.

      Reply
  9. Sir google search consle par mere site me malware detect likha aa rha hai ise kaise nikalu .maine domain godaddy se liya hai.
    please help

    Reply
    • Aap google me website malware scan likh kar search karo or kisi bhi online site se apni site ko scan kar lo.

      Reply
  10. IS TRICK SE KAISE PATA CHALEGA AGER COPY KARNE WALE NE TITLE HI CHANGE KAR DIYA TOH….

    Reply
    • To aap post title ki jagah wo content check kar sakte ho. jinke copy hone ka aapko shaq hai.

      Reply

Leave a Comment