Website Ki SEO Ranking Banaye Rakhne Ke 5 Badiya Tarike

Aap google search engine me apni site ki top ranking banane ke liye bahut mehanat (Hard Work) karte ho. Tab ja kar aapko google me achi position mil pati hai. But aaj mai aapko SEO par hard work nahi Smart Work karne ke bare me btaunga. Means is post me aapko apni site ki google search me SEO ranking banaye rakhne ke liye important 5 Tips.

Top 5 ways to maintain your SEO ranking

Maine SEO ke bare me bahut post likhi hai but ye post un sabhi se alag hai. Kyuki mai isme kisi or ke thoughts nahi balki SEO ki marketing ke author Columnist Daniel Faggella ki sikhi huyi SEO tips ke bare me bat karunga. Unhone SEO ke bare me website owner and search engine marketer ko bahut kuch diya hai. Maine unki bahut post padhi hai. Or aaj mai wohi sab aapko sikhane ja raha hu.

Mujhe blogging me 10 month ho gaye hai or maine yaha bahut kuch sikha hai. Or apne readers ko sikhaya hai. Jaha tak mujhe pata hai har online business website ko search engine traffic yani organic traffic ki shakht jarurat hoti hai.

Agar aap ki website par organic traffic nahi mil pa raha hai to jarur aapse search engine optimization me koi mistakes huyi hai. Jinki wajah se google search me aapki visibility par effect pada hai or aapko search engine se traffic milna band ho gaya hai ya fir kam ho gaya hai.

But what happens, Aapke SEO guidelines ke follow karne or sabhi terms sahi se follow karne ke bad aapki site ki search rank down kaise ho sakti hai?

Actually, google SEO me changes hote rahte hai. Iski main wajah hai internet par lakho fake websites ka hona. Jinki wajah se google ko apne rules change karne padte hai or new rules lagu hote hai. Or aap abhi tak is bat se anjaan hai. Ya fir ye ho sakta hai ki aapse koi cheez miss ho rahi hai. Or aap shayad us par focus nahi kar pa rahe hai.

Agar aap chahate hai ki search engine me aapki site blog ki SEO ranking bani rahe or aapko regular search engine se traffic milta rahe to aapko hard work karne ke sath sath smart work karne ki jarurat hai. My means aapko google ki algorithm updates, latest ternds ke sath stay up to date rahna jaruri hai.

Now, Ab mai topic par aata hu. Yaha mai aapko btane wala hu ki kiase aap search engine me apni site ki SEO rank banaye (sustain) rakh sakte hai. Iske liye aapko kya kya karna hoga.

Apne Blog Ki SEO Ranking Banaye Rakhne Ke Liye 5 Badiya Ways

Aap sab jante hai ki SEO par work karn aasan nahi hai. Iske liye bahut sari mehanat karne ki jarurat hoti hai. But agar aap thoda sa pahle SEO ko ache se samajh lo or aapko iski achi jankari ho jati hai to mai aapko garantee deta hu ki aapki site ki SEO rank down nahi hogi. Bas aapko iske liye google ki ranking algorithm ki lasted updates par focus karna hai ki google SEO me kab kya badlaw kar raha hai.

1. Update your site:

Ye bat aap shayad bahut bar sun or padh chuke ho or ho sakta hai aapko ab ye bahut simple lagti ho. But aapko bta du ki internet marketing niche me sabse badi mistakes yahi hoti hai. Kyuki Update your site ka asali matlab hota hai apni site par kaise or kya update kare. So ab ise ignore nahi follow karna hai. Ache se samajhna hai or is par hard work ke sath smart work bhi karna hai. Yani ki iski bariki ko pahchan kar apni site ko update karna hai.

Google apni ranking algorithm ke part ke roop me content quality and content freshness dono ko pasand karta hai. Isliye apni site ko SEO rank me bananye rakhne ka bahut acha tarika hai apni site ki achi position banaye rakhna. Apni site par fresh and quality content upload karna.

Sirf “text only” content likhne se aapki site ki search me achi position nahi ban sakti. So agar aap chahate hai ki aapki site ki SEO position bani rahe to aapko post content me quality images and videos add karne chahiye. Apne articles me images or videos add karna apne reader ke experience ko badhane or other logo ko lubhane (entire) karne ka sabse acha tarika hai.

Site par new content likhte time humesha original content likhna chahiye jitna ho sake clear or apne reader ko pasand aane wali language me likhe. Sath hi layout homepage ko acha design kare or loading speed kam kare isse aapki site ki Bounce Rate kam hogi. Jo ki SEO ke liye better hai.

2. Speep Up Your Site:

Website loading speed google search me achi ranking pane ka important factor hai. Halanki bahut sari website fast load nahi hoti hai. Fir bhi unki search me achi position hoti hai. Ye bat apne dil se nikal do or jaan lo ki duniya me ek day me 2 million se bhi jyada website blog par articles publish hote hai. Or unme se 70% se bhi jyada fast loading site hoti hai.

So agar aapki website fast open nahi hoti hai to soch lijiye aapke reader apni problem ka solution pane ke liye aapki site ki jagah kisi or site par visit karna pasand karenge.

Google ke anusar agar aapki site desktop ke sath mobile me bhi one second se kam time me open hoti hai to ye ek bahut fast loading website hogi. By the way, Agar aapki site 1 second me open nahi hoti hai or aap ise iske liye optimize nahi kar sakte to aapki site 4 second ke under open honi jaruri hai. Tabhi aapko search engine se better traffic mil sakega.

Fortunately, Aapki site fast loading hoti hai to bahut achhi bat hai or agar aapki site slow open hoti hai to ye three step follow karke aap apni site ko fast loading bana sakte ho.

  1. Fast or bahut jyada popular or apni service ke liye jana jane wala hosting server choose kare.
  2. Apni website ki sabhi images ko optimize kare.
  3. Website ki loading speed badhane ke liye content delivery network (CDN) use kare.

Agar iske bad bhi aapki site ki loading speed fast nahi hoti hai to aapko site ko optimize karna hoga. Isme google pagespeed tool, GTmetrix, Pingdom and other tools aapki help kar sakti hai.

Mujhe WordPress platform use karte huye kafi time ho gaya hai. Maine apne blog ka loading time site ko optimize karke kiya hai. So maine iske bare me ek full information wala article How To Speed Up Your WordPress Site – 100% Working Tips likha hai. Isme aapko WordPress blog ko speed up karne ki puri jankari milegi or isme btayi tricks 101% work karegi. Agar aap WordPress user hai to ek bar try kar sakte ho.

Is post ko maine upar di gayi tools ki help se likha hai or WordPress site speed optimize ke bare me working tips di hai. Example ke liye aap mere blog ki speed check kar sakre ho.

3. Expand your link building:

Expand your link building ka matlab hota hai apne link ke nirman ka vistar karna. Yani apni site ke liye bahut sare links banana.

Maine bahut se logo ko dekha hai wo apni site links ki jagah site par backlinks banane par jyada focus karte hai. Mai manta hu ki backlinks SEO ke liye jaruri hai or inse website ki search rank increase hoti hai.

But mai ye bhi manta hu ki agar aapki site par original or keywords ka sahi istemal ki gayi posts hogi to aapke reader and other aapko khud mention karenge. Jisse aapko quality backlinks milega. Isiliye mai is bat ko nakarta hu ki khud ki site par link build karna yani apni site par badiya content likhna chod kar dusro se backlinks pane ki koshish karna.

Example: Last month mujhse ek friend ne kaha tha ki wo ek aysi site bana raha hai jis par wo koi bhi money maker program use nahi karega or sirf other blogger ki hel karega. Or wo chahata hai ki mai usk isite ke bare me post likhu or use backlinks du. Bhai ye to jabardati ho gayi or jab maine uski site ko check kiya to mujhe us par ek bhi article nahi mila. Mere man me us time ek hi khyal aaya ki agar mai is site ke bare me post likhunga to ho sakta hai kal ye apni bat se mukar jaye. Mujhe khyal isliye aaya ki mujhe uski site par koi links nahi mile jinhe mai promote kar saku.

Yahi bat usne mere jaise bahut se blogger se kahi hogi. Shayad usne is kaam me 2-3 day west kiye honge. So agar yahi time wo apni site par quality content likhne me lagata to 2-3 day me 5-10 badiya-badiya post lik sakta tha. Or mai yakin se kah sakta hu ki agar uski bato me dam hota to uski post padhne wala uska promotion jarur karta. Ho sakta tha mai bhi uske liye post likhta.

So ab aapko samajh aa gaya hoga ki jo time hum backlinks banane ke liye other place par west karte hai. Agar wohi time hum apne work par lagaye to humari site par content bhi badhega or backlinks bhi milenge. Ab aap decide kar sakte ho ki aapke liye kuonsa way better hai or aap kis par work karna pasand karoge.

Un sites par comment karne se bachiye jin par aysi information share ki jati hai jo google search engine allow nahi karta. Warna aapki site bhi unke bad backlinks ki wajah se search engine se banned ho jayegi.

Google chahata hai ki aapki site par user ko helpful information mile or useful content publish ho. So agar aap apni iste par useless content share karoge to aapki site ki SEO ranking down ho sakti hai. Apni site ki SEO ranking ko banaye rakhne ke liye aapko site par quality articles likhne honge or user ke iye jaruri information share karni hogi.

Sath hi aapko apni site ke sabhi various pages par inbound link ka vistar karna chahiye. Is ranniti (strategy) se aapki site par backlinks or or google ki nazar me aapki site ki authority increase hogi.

4. Outbound and Internal Links:

Outbounds link or inernal links add karne se content ki SEO ranking Increase hoti hai. Is bat me koi shaq nahi hai. But isme aapko carefully dusri site ke links add karne hai. Kei bar bad sites ke link add karne se aapki site ki search rank down ho jati hai. Chaliye mai aapki iski wajah ke bare me details se btata hu.

Outbound links:

Apne articles content me dusri good sites ke links add karne se aapki site ki google search me achi ranking banti hai. Isiliye article me dusri achi website ka link add karna achi bat hai. But agar aapne galti se bhi apni site ki post me kisi bad site jaise p*rn site, adult site, fake site and other bad quality sites ka link add kar diya to google search engine me aapki site ki rank gir jayegi. Or ho sakta hai aapki site ko google ban bhi kar de.

Humesha yaad rakhiye ki aap jin bbahari sites ke links apni post me add kar rahe ho wo trust hai or unse aapki site ko koi khatra nahi hoga. Sath hi wo aapke reader ke liye valueable sabit hogi.

Internal Links:

Internal links me to sabhi links aapki hi site ke hote hai. So iska matlab ye nahi hai ki aap apni post me jarurat se jyada or unrelated internal links add karo. Man lijiye aap blogging ke bare me post likh rahe ho or usme YouTube se related post ka link add karoge to ye SEO ke liye bahut bura hai. Isse search engine ko aapke content ko samjhne me problem hoti hai. Ise ek tarah se khichdi pakana kahna buri bat nahi hogi.

So aap jab bhi koi new content likhe to usme sirf usse related internal links hi add kare. Ye aapke reader experience or google search ranking dono ke liye acha hai.

5. Build Your Social Media Presence:

Sab jante hai ki social media ki website ko search engine me achi ranking dilane me major role hota hai or ye har site ke liye most important factor hote hai. However, Search engine social media sites ko ek adhikari ke brand roop me dekhta hai or is bat me koi shaq nahi hai ki Facebook, Twitter and LinkedIn ki google search me high Pagerank hai.

So in social media sites se aapki site ko links milne se site ki google search me achi SEO ranking hone me help milegi. In par apni site ke content ko share karne se or bhi log aapki site par visit karenge jinko aapki site ke bare me pahli bar pata chala hai. Or or bhi jyada traffic tab milega jab log aapki post ko social media par jyada se jyada share karenge. Isse aapki site ko quality backlinks mil sakte hai or ye aapki site ki SEO ranking ko banaye rakhne me aapki help karegi.

Yaha mai aapko kuch important tips bta raha hu jinhe follow karke aap socila media ki help se apni sire ki search rank ko sustain kar sakte hai.

Finally thoughts, Search engine optimization ek long terms process hai jise follow karna aasan nahi hai. Typically, Aapko bahut sari hindi or english sites ya blog par  SEO ke bare me information mil jayegi. Or shayad unme bhi aapko upar is post me btaye topic par bhi jankari mil jaye. But yaha maine jo mention kiya hai wo shayad na mile.

Kyuki yaha maine aapko SEO par work karne ki nahi SEO ranking ko bananye rakhne ke bare me information di hai. Or har points ko alag tarah se samajhya hai. So agar aap wakai is post ko padh chuke ho to aapko better anubhav hoga.

I hope aapko is article me helful information mili hogi. Or SEO ranking ke bare me new tips pata chale honge. So plz is article ko social media par share karke humari bhi help karna na bhoole.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 68 )

  1. Bhai meri web p traffic nai hai.usk liye koi tareeqa btao.bht acha article likha ap ne.meei site adsterra p approve ha

    Reply
  2. Hello Sir mera naam sanjay h mene apse bahot kuch sikha hu ar ab mai. Seo bhi thik se kr leta hu par sir meri ek prblm h pls solve Kare
    Meri prblm ye h ki meri site PR ek bar violence create hua tha tb se. Mujhe organic traffic milna bahot kam ho gya sir meri ye prblm kese solve hogi pls btaye

    Reply
    • Aap mujhe us violation ke bare me details se btaye.

      Reply
  3. thanks admin

    ab ja k samajh aagya ki kaise karna h

    Reply
  4. बहुत ही Best Article था

    Reply

Leave a Comment