20 Type Ke Backlinks Jo Aapki Site or SEO Ke Liye Danger Hote Hai

Backlinks SEO ke liye most important hai magar kis type ke backlinks sahi or kis types ke backlink galat hote hai. Is bare me bahut kam log jante hai. Aayiye jante hai 20 types ke backlinks ke bare me jo google guidelines ka violation karte hai or SEO ke lyie danger hote hai. Kisi bhi website or blog ko is type ke backlinks par google se penalty mil sakti hai.

20 Type Backlinks Danger for SEO

Ye backlinks vulnerability and eventually penalty dila sakte hai. In unnatural backlinks ki wajah se aapki site google se remove ho sakti hai. Search engine optimization me backlinks sabse jyada use hone wale words me se ek hia but newbie ko iski jankari na hone par wo galti karte hai.

Is article me main aapko 20 types ke unnatural backlinks ke bare me btaunga. In tariko se aap kabhi apni site par backlinks banane ki koshish na kare.

20 Type Ke Backlinks Jo Aapki Site Ko Google Se Remove Kara Sakte Hai

Backlinks har ek website or blog ke liye important hote hai par galat tarike se banaye gaye backlink se aapko fayda nahi ulta nuksan hota hai.

1. Link Exchange

Main aapki site ko link karunga aap meri site ko link karo” Backlinks banane ka ye very simple (common way) hai.

Website owners or webmasters ne hundred backlink exchange kiye or aakhir me google ko iske khilap action lena pada. Agar aap apne kuch friends tak aesa karte hai to koi problem nahi hai par 100+ bar aesa karne se google samajh jayega ki aap kuch galat kar rah hai.

2. Widget Backlinks

Agar aapke pas koi widgets hai or aap chahate hai ki log use apni website me add kare to unhe link add karne ke liye rel nofollow ke sath provide kare. Kyuki kisi bad content website par aapki widget add hone par aapko bad links milega.

Google iske liye rel="nofollow" tag recommend kar chuka hai. Example, godaddy site ko isi wajah se google penalize kar chuka hai.

3. Advertorials

Agar aap apni website par kisi product or website ka promotion kar rahe hai or use rel="dofolloow" backlinks de rahe hai to ye google guidelines ka violation hai or jaldi hi google aapko penalty de sakta hai.

Is reason ki wajah se google ne bahut si news websites ko penalize kiya hai. So kisi bhi site ko promote karte time uske link ke liye nofollow tag ka istemal jarur kare.

4. Paid Link That Pass PageRank

Text links or images links koi bhi paid link ho google nahi chahata ki hum pagerank pass kare. Google aese links ko unnatural links manta hai.

5. Hacking Links

Ye bahut buri bat hai ki aap kisi ki website ko hack kar backlinks bananeki koshish karte hai. Search engine robots ab pahle se kahi jyada evolved ho chuke hai or aasani se ye pata laga lete hai ki wo kis tarah ke backlinks crawl kar rahe hai.

Ye kafi nahi hai hackingwale content share karne wali websites se backlinks build karne se bache or sirf achhi sites se hi backlinks banaye.

6. Hiding Link in CSS and Javascript

Kuch coding expert CSS, Script and other method se link hide kar backlinks banate hai. Ye idea kamal ka hai but afshos ab ye work nahi karta. Google aese expert se jyada expert ban chuka hai.

7. Sidebar and Footer Links

Blog sidebar or footer ko blog important pages, recent posts, most popular, about us, contact us, disclaimer, privacy policy, last updated, and other jaruri pages k liye use kiya jata hai.

But kuch log website sidebar or footer me unwanted product and sites ka link mention karte hai jo ki galat hai. Aap sirf post content me wo bhi details ke sath kisi product ka promotion kare taki aapke users ko uski basic information mil sake.

8. Anchor Text Low Distribution

Anchor text yani link ke liye use kiya jane wala keywords. Click here etc. words wale links SEO ke liye danger hote hai. Agar aap ek hi words ko link kar bar bar repeat kar rahe hai to aapko google se penalty mil sakti hai.

Anchor text ke bare me sahi se jan le or uska sahi istemal kare. Isme ye guide aapki help karegi Anchor Text Kya Hai or Iska Istemal Kaise Kare

9. Article Directories

ArticaleBase and EzineArticale or other many article directory website user ko real value provide nahi karte hai. Isiliye google inko devalued kar chuka hai.

Inka maksad sirf itna hai ki same topic par unlimited articles provide karna or niche unka link dofollow tag ke sath add karna. Ye nahi ki kisi website ko inse fayda mile ye sirf apna fayda chahate hai.

10. Low Quality Guest Posting

Ek ttha jab guest posting SEO ke liye most important thi but dheere dheere log iska galat fayda uthane lage or aaj sirf backlink ke liye guest post ki jati hai. Sirf itna hi nahi kuch log to guest post me affiliate links add karne ki koshish karte hai.

High quality guest blogging mar gayi or sirf low quality guest blogging rahe gayi. Finally, google ne action liya or guest posting ab pahl jitni SEO ke liye importance nahi rakhti.

11. Automatically Generated Backlinks

Jab $10 me 10,000 quality backlinks ki bat hoti hai to sabka man karta hai ki itne sare backlinks se kuvh benefits jarur milega.

Reality, ye sare ke sare backlinks automatically generate kiye jate hai.Is type ke backlinks bots, forums and comments ke dwara generate kiye jate hai. or aapki website ko google se penalty dila sakte hai.

12. Unrelated Backlinks

Relevancy important hai, Suppose aapke pas ek site hai jis par aap blogging, SEO ke bare me articles write karte hai. Ab agar aapke pas health topic wali 10,000+ websites se backlinks hai to iska koi matlab nahi hai isse aapko koi fayda nahi hone wala.

Ulta isse aapka nuksan ho sakta hai or google aapki site ko penalize kar de kyuki aesa karna google algorithm ka violation hai.

13. Backlink with Duplicate Content Websites

Google chahata hai ki all webmasters apni website or blog par unique and useful content share kare jo visitors ko real value provide kare.

Google low quality content or devalues websites ko kam pasand karta hai. So duplicate content, copied content wali site se backlinks milne par aapki website ki search rank down ho sakti hai.

14. Low Quality Backlinks

Agar kisi website se backlinks banana easy hai to uska matlab hai ki uska backlink jyada valuable nahi hai. Jis site se backlinks banana jitna mushkil hota hai utna hi valuable uska backlink hota hai.

Question answer forum, free directories, form profile and signature, wiki pages and other similliar platform se backlinks banana google guidelines ka violation hai.

15. Backlinks from Foreign Websites

Agar aapke pas ek ENGLISH language content wali website hai or aapki website par Russian and Indian language wali websites se 100+ backlinks hai to google samajhega ki aapki site par kuch galat ho raha hai.

Relevancy highly important hai. So foreign website se backlinks build karne se bache or sirf apni site se related site se backlinks banaye.

16. Backlinks form Penalize Sites

Aesi website or blog jisko google kisi wajah se penalize kar chuka hai se backlinks banane ka matlab hai ki aap apni website ko bhi google se penalty dilana chahate hai.

Aesi kisi bhi website se linking na kare jo google ke dwara penalize ki ja chuki ho. Us site se backlink banane ki koshish kare jiski google me achhi rank hai.

17. Links for Non-Indexed Sites

Ek aesi website jisko google index nahi karta hai. I mean aesi site jo proper work karti hai but search engines uske sabhi ya kuch pages ko index nahi karta hai se backlinks banana time west karna hai.

New site ta google se penalize ki ja chuki ke sath aesa hota hai. Google aesi sites ke backlinks ko accept nahi karta. Kisi website ko google index karta hai ya nahi ye aap Google Indexed Page Checker tool par check kar sakte ho.

18. Low Quality Web Directories

Directories ek old technique hai jo bahut pahle kaam karti thi. Aaj nahi, Newbie blogger ko jab is bare me pata chalta hai to wo is tarike se backlink banane ki galti kar baithte hai.

Paid ho ta free kisi bhi directory se backlink banana aaj important hai hai. Iski bajaye aap thodi mehanat karke Dmoz and Yahoo direictories se backlink banane ki koshish kare.

19. Backlinks Generators

Agar aap google search engine me “backlinks generators” type kar search karoge to aapko millions result mil jayenge jo minutes me high quality backlink generate karne ki service provide karte hai.

Ye sirf kahne or dekhne me achha lagta hai baki isme 1% bhi sachai nahi hai. Ye spammer hote hai jo aapki site ke link ko kahi bhi kisi bhi site par add kar dete hai. Jo link aapke kisi kaam ke nahi hai. So is tarike ko avoid kare.

20. Linking with Google Guidelines Violation Sites

Internet par aaj aapko aesi bahut si websites mil jayegi jo google webmaster guideline follow nahi karti or google se achha traffic pana chahati hai. Aesi kisi bhi website jo google guidelines koa violation karti hai backlinks banana better nahi hai.

So kisi bhi website se backlink banane se pahle uski search history check kar le or sirf aesi sites se backlins banaye jinhe google pasand karta hai.

Conclusions,

Backlink banane ke bare me sochna bahut aasan hai or banana bahut mushkil. Main upar kah chuka hu ki jis site se backlink banana jitna aasan hai uske backlink ki value utni hi kam or jis site se backlink banana jitna mushkil uske backlink ki value utni hi jyada hoti hai. Halanki ye har bar sahi nahi hota.

So bekar me thousands backlinks banane se jyada behtar hai aap mehanat karke apni site ke liye kuch achhe backlinks banaye.

Agar aapko ye article achha lage to ise dusre blogger and webmasters ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 78 )

  1. Sir aapne bahut hi achhi post publish karke backlinks ke bare me samjayla hai.

    Sir ek confusion hai..
    Jab hame kisi blog par comment karna hota hai to hame kuch es prakar se likhna padta hai

    1) Comment

    2)Name

    3)Email

    4)URL

    Sir , hum jab URL likh rahe hote hai to kaise start kare

    1.www

    2.http

    3.https

    Sir plz give suggestions

    Reply
    • Jis type ka aapki site ka URL hai wo add karo like http://example.com, https://example.com, http://www.example.com, https://www.example.com etc.

      Reply
  2. bahut acchi jaankri di hai aapne mujh jaise new blogger ke liye

    Reply
  3. mast post hai bhai……..baclink ke bare me sikhne ko bahut kuch mila jo me nahi janta tha…thanx

    Reply
  4. Thanks bro bahut hi best jankari share ki h

    Reply
  5. Nice article it will sure help to prevent from bad linking

    Reply
  6. Sir maine apne blog ka domain change kiya hai. phir se site map sumit ki hai. pahle bala domain aabhi bhi google search main hai jabki news domain aabhi tak search main nahi aaya. google search cunsal main bhi domain add kiya hai mujhe kya karna chahiye please help.

    Reply
    • No worry jaldi hi new domain search me aa jayega or old wala delete ho jayega.

      Reply
  7. Thanks for sharing amazing article with us

    Reply
  8. pahali bar aisi jankari pdne ko mili

    Reply
  9. Apne sahi kaha is samay search engines human se bhi inteligent ho gaye hain.

    Apki ek bat mujhe samajh nahi aayi , apne likha hai ki other language ki site se backlink nahi banana chahiye. Lekin maine bahut se indian website ka alexa rank check kiya hai unme se kuch ka backlink chaina ke search engine baidu se hota hai jaise- Jagran ka

    Mera ek sawal hai wordpress me image size reduce karne ke liye kya karna chahiye ?

    Reply
    • Bahut si sites par hai inse koi fayda nahi hai ulta nuksan hai.
      2 tarike hai.
      1. Aap pahle se image reduce kar upload karo. Iske liye aap image resize tools use kar sakte ho.
      2. Image reduce karne wale plugins use karo.
      First way better hai.

      Reply
  10. @JumeDeenKhan
    You Wrote a good article,
    Mostly people know very little about Backlinks and you explained right.

    Reply

Leave a Comment