Broken Links Check Karne Ki Top 5 Best Websites

Broken links wo dead links hote hai jo humse galti se blog post me add ho jate hai ya fir hum apne blog par kisi post, pages or file ko delete kar dete hai. Search engines or aapke readers ke liye ye problem bante hai. Isliye dead hyperlinks ko solve karna bahut important hota hai. Agar aap aysa nahi karte ho to search engine me aapki site ki ranking bahut kam hogi. Aaj mai aapko broken links check karne ki 5 websites ke bare me bta raha hu. Jin par aap apni site ke 404 broken link online pata kar sakte hai or apni site ko or adhik SEO friendly bana sakte hai..

5 tools to find broken links on your site

Is post me mai aapko 5 free online 404 broken links checker tool ke bare me bta raha hu. Jo aapko aapki site par mojood dead links ke bare me jankari dete hai. Inki help se aap apni site par se broken link ko fix kar sakte ho or apni site ki search engine ranking badha sakte ho.

Broken Links Kya Hai?

Hum jab apne blog par koi post ya page share karte hai to post me hum internal links bhi add karte hai. Jaise other post, category, tags etc. Aane wale time me hum kisi karan se apni kisi post ya image ko delete kar dete hai. to delete ki gayi post or photo ka link expirew ho jata hai. jab hum iske links ko open karte hai to Error 404 Page Not Found show hota hai.

Ya fir hum apni site par kisi link ko change karte hai to uska old link expire ho jata hai or broken link bn jata hai. I mean broken links wo expire links hote hai jinhe hum apni site add kiye huye rakhte hai but uski file ko remove kar dete hai. yani website owner ke links change karne se broken links bante hai.

Kyuki hum files ko delete karne ke bad uske links jo dusri post me add hote hai ko remove nahi karte hai. ayse jab visiotrs us link par click karte hai to error show hota hai. bas yahi broken links hote hai. aapko is post me btayi tools me check kar inhi links ko delete karna hai.

Broken Links Ko Fix Karna Kyu Jaruri Hota Hai

Jab hum apni site par se kisi post ya files ko remove kar dete hai to uska link broken link ban jata hai or ise open karne par error 404 code show hota hai. Jo search engine or aapke visitors ke liye ke liye useful nahi hote hai. Isliye mai aapko suggest karunga ki aapko ye dead links fix kar dene chahiye.

Yaha mai aapko kuch free online broken links checker bta raha hu. Jin apr aap apni site ke broken links check kar sakte ho. So agar aapne pichle time me apne blog ya website par se koi post ya images ko remove kiya hai to aapke liye ye post helpful sabit hogi or aap apni site par se broken links remove karna chahenge.

Kyuki search engine ayse links ko like nahi karta or aapki site ki ranking search engine me low ho jati hai. Jisse aapko search engine se kam traffic milega.

Agar aapke visitors ko bar bar aapki site par broken links milte hai to wo error 4o4 page not found ki problem  se tank aa kar dubara aapki site par aana pasand nahi karega. Kyuki koi bhi broken links ko open kar ke apna time west karna pasand nahi karta hai.

To aap abhi in online broken links checker tool se apni site ke broken links delete kar sakte hai. Jisse aapko search engine se adhik traffic mil sake or aapki site ko visitors bhi pasand kare.

Apni website or blog ko SEO friendly banane ke liye broken links ko remove karna bahut jaruri hai. So aap apni site ka search engine optimation karna chahate ho to is post me btaye tarike follow kar sakte ho.

Website Blog Broken Links Check Karne Ki Popular 5 Free Websites

Agar aap WordPress user hai to aap broken link checker plugin use kar sakte ho. jo aapki site ko check kar ke sabhi broken links ke bare me btata hai ki konsa broken link kaha or kis post me hai. Is se aap aasani se apne WordPress blog par se broken link delete kar sakte hai.

1. Dead Links Checker

Dead Links Checker

Dead Links Checker website use karne me bahut hi aasan or simple hai. Ye Website aapko broken links ke title ke sath uske bare me puri jankari deti hai ki ye broken aapki kis post me kaha add hai. Jisse aapko apni site par broken link ka pata lagane me aasani hogi. [go to site…]

2. W3C Link Checher

W3C link checker

W3C link checker website aapko broken links ke sath aapki website par koi problem hogi to uske bare me bhi btayega. bahut si templates me redirection code add hote hai. ye website aapko redirection code ke bare me bhi btayega. [link…]

  • Blogging Ki Puri Jankari Hindi Me – Blogging Full Guide in Hindi

3. BlC Broken link checker

BLC Broken link checker

BLC Broken link checker ek or badhiya online dead links checker website hai. Iski tool aapka broken links ki clear jankari deti hai. jisse aap apni site ke broken links easily remove kar sakte ho. Is website par aapko result me aapki site ke googd and bad links ke bare me clear jankari milti hai. [go to blc]

4. Free Links Checker

Free Links Checker

Free Links Checker aapko internal links ke sath external brokenlinks ki bhi details btayega. yani agar aapki site par koi expire external link hoga to ye tool uske bare me bhi aapko btayega.

Is website par aapko clear pata chalega ki broken links kis kis post and pages par hai. Iske alawa ye aapko aapki site ki expire images ke bare me bhi jankari dega. [Free link Checker]

5. Online Broken Link Checker

Online Broken Link Checker

Online Broken Link Checker site par bih aap internal links ke sath external links check kar sakte ho. Ye site aapko sabhi broken links ki location bhi btati hai. [go to site…]

Broken hyperlinks internet par aapki site ki images kharab karte hai or search engine me aapki site ki ranking ko bhi low kar dete hai. Jisse visitors aapki site par visit karna kam kar dete hai.

Agar aapko abhi tak iske bare me pata nahi tha to mai aapko suggest karunga ki aap upar di kisi bhi website par ja kar apni site ke broken links check kare or unhe remove kare. Iske 10 minutes se jyada time nahi lagega. Ye apni website ki traffic badhane or website ko SEO friendly banane ki free or most important advice hai.

Agar aapko lagta hai ki is post ko padhne ke bad aapko Website SEO ke bare me new jankari mili hai to abhi apni site ki broken links check karke delete kijiye or ha is post ko social media par share jarur kare.

Sath hi aap hume bhi social media par follow kar sakte ho.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 45 )

  1. Sir kya no follow backlink bhi hamare website ke liye important hain

    Reply
  2. Meri website ke 2 page chal to rahe h, but jab me broken link check karta hu to wo en 2 pages ko show karta hai ?
    http://www.studentsassignmenthelp.com/new-product-development-assignment-help/
    http://www.studentsassignmenthelp.com/new-zealand/

    to unko kaise fix kar sakte hai ?

    Reply
    • No worry jaruri nahi hai ki broken link checker ki report 100% sahi hi ho aapke page work kar rahe hai to no problem.

      Reply
  3. Sir mujhe apni kavitaye logo tak pahuchani hai ….kaise pahochau kuch samajhme nahi aa raha hai ….plz help

    Reply
    • Aapni ek site banao or usme kavita share karo sari duniya padhegi.

      Reply
  4. Hello sir muze wabsite banane ke liye google me kya likhna hoga?.

    Reply
  5. sir main yes ID pe kya kya karna hoga jise mujhe profit hoga plz help me

    Reply
  6. I want to make blog page
    plz guide me

    Reply
    • check our other blogging articles.

      Reply
  7. Sir Mere computer me kisi bhi file par click karne par automatic delete option show krne lag RHA h kaise thikhoga

    Reply
    • Aap details me sawal kiya karo. aap left ya right kya click kar rahe ho or kis file par click kar rahe ho.

      Reply
  8. सर वेबसाइट कैसे बनाये वीडियो के द्वारा बताईये ना

    Reply
    • Mai pankaj kumar plrase sir website kaise banati hai batae.

      Reply
        • Sir YouTube me montiemize to ho gaya hai jab mai Next pe click karta hun to aage ki adsens windo open nahi ho rahi
          Kya is ke liye Won Web site ka hona zaruri hai

          Reply
          • ye google ki problem hai aap kuch day bad try kare.

    • WordPress par website banana bahut easy hai, hosting and domain name kharidne ke baad tumhe ek C panel milega hosting providers ki taraf se, us C panel par login karo then you will see an option to download or install WordPress, bas install karo, theme choose karo and theme ko edit kar lo, edit karne ke liye kisi coding ki bhi jarurat nahi hogi. try karo 1 din me sikh jaoge.

      Reply
  9. Supr.. bro.. bro..ek bat btao k website kese banti hai

    Reply

Leave a Comment