Twitter Par Account Kaise Banaye – Step By Step Jankari

Social Networking sites par itne users ho gaye hai ki aaj 90% log social media use karte hai. or lagbhag sabki faceboo, twitter par profile hoti hai. kyuki social media apne dosto se bat karne ka sabse aasan tarika hai. fir chahe aapke dost duniya ke kisi bhi kone me ho. aap usse ayse bat kar sakte ho. jaise wo aapke aaspas hi ho. dosto se judne ke liye facebook account to har kisi ke pas mil jayega. but twitter par bahut hi kam log account banate hai. to chaliye aaj mai aapko twitter par account banane ki step by step jankari de raha hu.

Twitter Par Account Kaise Banaye

Aap is post me btaye tarike ko follow karke agle 5 minute me apni twitter profile complete kar sakte ho. Facebook Par Account Kaise Banaye Sirf 5 Minite Me ke bare me mai pahle hi bta chuka hu.

Maine pahle social media par page banana bhi btaya tha. jiski jankari ke liye aap Facebook Par Page Kaise Banaye or Google Plus Par Page Kaise Banaye post pad sakte hai. to chaliye aaj twitter par bhi account bana lete hai.

Twitter Kya Hai?

Twitter facebook, google plus ki tarah hi ek online social networking site hai. jise March 21, 2006 ko Evan Williams, Noah Glass, Jack Dorsey or Biz Stone ne launch kiya tha. jis par user apne dosto ke sath 140 word ka message send kar sakte hai or recieve kar sakte hai. or dusre other person ko follow karke unke vichar pad sakte hai or sanjha kar sakte hai.

Twitter Par Account Kaise Banaye – Step By Step Guide

Agar aap online koi bhi work karte ho. jaise blogging, designing, part time job, online work to aapka sabhi social sites par account hona jaruri hai. or agar aap khud ki free website banana chahate ho to aap Website Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post pade or apni free website bana le.

Ya fir aap internet se paise kamane ke or tarike janna chahate hai to aap Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike post par jao. jisme aapko internet se paise kamane ke 20 free tariko ke bare me jankari milegi.

Step 1:

Sabse pahle aap twitter.com site par jaye or yellow color ke sign up button par click kare. ab jo sign up forum khulega usme aapko apni email id, name or mobile number ki details bharni hai.

  1. apna pura name likhe. jaise Jumedeen khan
  2. apne mobile number ya apni email id dale.
  3. apne twitter account ke liye new password banaye.
  4. Tailor Twitter based on my recent website visits ke samne √ tick kare.
  5. Sari jankari bharne ke bad Sign Up par click kare.

Twitter Sign Up Forum

Step 2:

Ab agar aapne email add kiya hai to email verify ka or agar mobile number add kiya hai to mobile number verify ka option show hoga. aapne jo email ya phone no. add kiya hai us par ek message aayega. us message me 6 number ka verify code hoga.

  1. Verify code enter kare.
  2. Vrify par click kare.

Verify your phone

Step 3:

Ab jo page open hoga usme aapko username enter karne ko kaha jayega.

  1. apna username enter kare.
  2. Next par click kare.

Choose a username

humare twitter account ka username is tarah hota hai. jaise “twitter.com/iamjumedeenkhan me iamjumedeenkhan mera username hai. aap bhi ayse hi apna username select kar sakte hai. twitter mew ise @iamjumedeenkhan is tarah se add karke tweet karte hai. show ho sake or available ho to apne name ka hi username select kare.

Step 4:

Ab ek welcome page open hoga. usme Let’s Go! par click kare.

Step 5:

Let’s go par click karte hi new page khulega. usme aapke interest ke bare me pucha jayega.

  1. diye huye options me me 2-5 interst select kare.
  2. Continue par click kare.

Choose Your Interested

 

Step 6:

Ab aapko kuch fomous logo ko follow karne ko kaha jayega. Follow 40 & continue par click kare. agar aap soch rahe ho ki mai jinko janta nahi unko follow kyu karu to don’t worry aap bad me inhe unfollow kar sakte ho.

Follow Some People

Step 7:

Ab apna profile photo upload kare.

  1. yaha par click karke upload phto select kare or apna profile photo select kare.
  2. continue par click kare.
  3. aap chahe to bad me bhi profile photo upload kar sakte ho. iske liye skip this step par follow kare.

Add profile photo

Ab aapka twitter acconut ban kar complete ho gaya hai. ab aap twitter par apne dosto se jud sakte ho. dusro ko follow kar sakte ho or follower bana sakte ho. agar aapko mera tarika acha laga ho or aap mujhe bhi follow karna chahate ho to @iamjumedeenkhan par aap mujhe bhi follow kar sakte ho.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 24 )

  1. मेने ट्विटर पर अपना अकाउंट बनाया सब कुछ सही किया अब में ट्विटर पर कुछ भी पोस्ट कर रहा हु तो उस पोस्ट पे like ओर cmt क्यों नही आ रहे है?
    मुझे कुछ समझ नही आ रहा है बताये क्या करूँ

    Reply
  2. Aapka artical pdke mne bhi apna new Twitter account bnaya hai

    Reply
  3. twitter pe hame post share karni ho to apne blog ka share button use karta hoon . aur fir only text link hi share hoti hai.aap twitter account main image ke sath post kaise share karte ho? Desktop virsion kaise set karna hota hai?

    Reply
    • twitter par post ka link share kiya karo.

      Reply

Leave a Comment