Google Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye, Best Earning Tips

How to earn more money from Google Adsense ? Jin blogger ka income source Google Adsense hota hai unke mind me ek sawal humesha rahta hai ki Adsense se jyada paise kaise kamaye jaye or wo iske liye internet par tips or tricks keyword search karte rahte hai. Agar aap bhi AdSense publisher hai or advertisement program se adhik earning karna chahate hai to i sure is post me btayi tips follow karke aap apni AdSense earning 100% increase kar sakte ho.

Earn more money from google AdSense

Google AdSense publisher mostly yahi janna chahate hai ki wo apne blog par AdSense se adhik paisa kaise kama sakte hai. Iske alawa user ke man me ek or sawal hota hai ki blog par traffic kaise badhaye. Ye 2 sawal blogging me most important hai or lagbhag har koi inka solution ke sath jawab chahata hai.

Sabse pahle main aapko bta du ki without hard work ke aap na to jyada kamayi kar sakte ho or na hi jyada traffic kama sakte ho. Aaj main yaha par aapko jo tips bta raha hu wo SEO yani search engine optimization or google AdSense dono ke liye better hai or dono se aapko behtar results milega.

internet par aapko 1, 2 nahi 1000+ guide mil jayegi blog par traffic increase karne ki or advertisement ya affiliate marketing se more money earn karne ki but main aapko yaha par sirf kuch hi tips bta raha hu.Agar aap inhe follow kar lete ho to main aapko guarantee deta hu ki next month aap 20,000 to 50,000 monthly kamane lag jaoge or aapki site par lakho me traffic hoga.

Adsense se jyada piase kamane ke liye aapko original fresh quality content ki jarurat padegi or aapko AdSense terms ke bare me bahut kuch sikhna hoga. Mostly, aapko useful content or adhik Organic Traffic ki jarurat hoti hai.

Google Adsense से ज्यादा पैसे कैसे कमाये, अधिक कमाई कैसे करे की बढ़िया टिप्स

Google AdSense se already bahut se blogger lakho kama rahe hai like amit agarwal jo apne labnol.org technology blog se har mahine lakho paise earn karte hai.

Aapko unki copy karne ki jarurat nahi hai kyuki har ek website me difference hota hai or sabhi sites par ek hi formula work karega kaha nahi ja sakta. So aapko apni site ke liye alag se apne experience se tips banani hogi. Here are a few tips to help you balance ads and content.

1. Content King:

Aapki site par daily, monthly or yearly kitne visitors visit karte hai ye aapke content par depend karta hai. Ek blogger kei salo se article write kar raha hai fir bhi use daily 5k to 10k hi traffic mil raha hai or ek ne abhi kuch month pahle blogging start ki or uski site par daily 100k se bhi jyada visitor visit karte hai.

Ye kamal sirf aapka content or aapki writing skill hi kar sakti hai. Ye ek aesa sach hai jise sabhi writer samajh nahi pate hai or ise ignore kar dusre way ko follow karne me waqt barbad karte hai. Jabki wo achhe se jante hai ki quality content ke bina site par lot of traffic possible nahi hai.

Aapki site par visitor tabhi visit karega jab use useful or helpful information milegi or wo jis information ke liye aapki site par aaya or use puri janakri mili. I mean agar aap readers ko satisfied kar sakte ho to hi aapki site par better traffic ho sakta hai.

Actually, AdSense revenue increase karne ke liye aapko jyada traffic ki jarurat hoti hai. So aapko aesa karna hoga agar aapki site par traffic nahi hai or aap AdSense se good earning karne ki soch rahe hai to ye nahi ho sakega. Adsense se jyada paise kamane ke liye na sirf aapko jyada traffic ki jarurat padegi balki traffic ka original hona bhi jaruri hai.

Aapko high paying keywords par content likhna hoga kyuki AdSense kuch keywords par per click $10 se bhi jyada pay karta hai. Maine Top 20 High Paying Keywords in Google Adsense post me high CPC wale keywords ke bare me already btaya hai.

2. Get More Organic Traffic:

Mostly, AdSense earning increase karne ke liye organic traffic jyada better hota hai. Suppose aapki site par 5,000 traffic google search engine and othe search engines se hai or 10,000 traffic direct ya other method se aata hai to aapki 5,000 organic traffic se jyada earning hogi.

I mean aapke pas daily 10,000 visit google search engine se hai to aap monthly 1,00,000 rupee easily earn kar sakte hai. But iske liye aapko High Paying Keywords ke bare me bhi janna jaruri hai taki aap high paying keywords par content likh sako.

Iska main reason ye hai ki jo log pahle se aapki site ke bare me jante hai or aapki site par adhiktar visit karte hai wo sab google AdSense ke bare me jante hai or bahut kam bar aapki site par ads par click karte hai. Jabki google search engine se aaye visitors ko AdSense advertising ke bare me pata nahi hota hai or wo apne interest se jyada ads par click karte hai.

Search engine se jyada traffic pane ke liye aapko SEO friendly content likhna hoga. Agar aap SEO ke bare me bilkul new hai to aap SEO Kya Hai ? Search Engine Optimization Ki Jankari Hindi Me post read kare or agar aap qualitiy content likhna chahate ho to aap humari SEO se related baki post read kare.

3. Design Your Site Awesome for Adsense:

Only badhiya content likhne se kuch nahi hoga. Better content ke sath sath aapki site or blog ka design bhi attractive hona chahiye. Standard web page ko user jyada pasand karte hai or good looking site par thoda bura article bhi kamal ka lagta hai.

Google AdSense simple or fast loading design pasand karta hai so agar aapko AdSense se achchi earning karni hai to apni site ko google ke anusar design kare. Agar aap blogger hai to aapke liye site par layout, sidebar, header and footer features kafi hai.

Google ne is bare me apne AdSense blog par pages share kiye hai agar aap site design me google se help chahate hai to aap AdSense Guide to Audience Engagement se free Adsense guide download kar sakte hai. Isme aapko designing ki best practices ke bare me btaya gaya hai jinse aapko site designing me kafi help milegi.

Site ka better design na sirf AdSense like karta hai balki google search engine ke liye bhi site ka simple design behtar hai. Google ka kahna hai ki jaha tak ho sake apni site design ko simple rakhe taki reader ko sabkuch clear samajh aa sake.

Blog ke homepage par 5-7 post or sidebar me jaruri widget hi add kare baki extra metrial se bache or apni site ko jyada se jyada clear bananye. Isse aapki site ki speed bhi increase hogi or aapko jyada traffic bhi milega.

4. Adsense Ads Placement:

Adsense se good earning karne me ads placement ki jankari hona bahut jaruri hai. Google ne site par ads lagane ke kuch rules banaye huye hai. Agar aap unhe follow nahi kar pate hai to aap AdSense se adhik paisa nahi kama sakoge.

Adsense terms ko follow kar ke site par ads lagane se AdSense CPC, CTR, RPM better hogi or aapko AdSense jyada pay karega. Inke bare me main already article likh chuka hu jyada jankari ke liye wo check kare.

Adsense Ke Ads Kaha Kaha Nahi Laga Sakte post me maine btaya hai ki hume kaha kaha par ads lagane chahiye. Kabhi bhi error 404, contact forum, welcome page etc. par ads show na kare. Ad placement sahi se kare or ads ko clear show kare content me ad fully match nahi hona chahiye.

Ye pata kar le ki aapki site par desktop, laptop, mobile, tablet kis version se traffic aata hai. Usi ke anusar ads ko optimize kare. Google Adsense Ads Ko Optimize Karne Ki Top 15 Effective Tips post me aapko AdSense ads ko optimize karne ke bare me tips mil jayegi.

5. Ads Size / Location:

Adsense CPC increase karne or more money earn karne ka ye common factor hai. Agar aap sahi size or sahi location par ads show karoge to aapko jyada benefit milega. Sath hi aap ads ka design apni site ke design se matched use kare but ads ko bilkul site content me milaye nahi.

Aap mostly contentt ke first and last me ads add kare isse aapko jyada better result milega. Content ke above and below me ads clear show hota hai or user us par interested ho kar hi click karta hai. Iske alawa aap blog sidebar or header me bhi ads use kare.

In my experience, Maine 1 year se AdSense use kar raha hu or hindi blog hone ke bawjood AdSense se achchi earning kar raha hu. Mujhe jis size ke ads se achha responsive mila hai unke bare me aapko bta raha hu.

Try below size ads and increase your AdSense revenue:

  • 336 * 280 Large Rectangle
  • 300 * 250 Medium Rectangle
  • 970 * 90 Large Leaderboard Banner
  • 728 * 90 Horizonatal Medium Banner
  • 468 * 60 Little header Banner
  • 160 * 600 Vertical Banner

Inke alwa aap sidebar widget me 300 * 600 size ka large size banner ads bhi use kar sakte hai but mostly upar btaye gaye point size ke ads hi jyada better hote hai. Main aapko suggest karunga ki aap post ke bich me bhi ads add karke results check kare. Isse bhi aapko behtar result milega.

6. Start Targeting Traffic from USA / UK:

Adsense performance search engine se traffic milne par to better hoti hi hai but kya aapko pata hai ki google AdSense U.S.A or U.K me per click $2 to $10 pay karta hai jabki india me AdSense per click only $0.20 to $0.30 hi deta hai.

I mean india ki tulna me USA or UK country me AdSense CPC very high hai agar aap AdSense se jyada paise kamana chahate ho to aapko in country se traffic milna chhaiye. Iske liye aapko USA and UK  ko target kar content likhna hoga.

Suppose, aapko india me daily 200 click milte hai or aapki CPC $0.10 hai to  aapko $2o hi milenge but USA se $20 earn kkarne ke liye aapko 5 to 15 click ki jarurat padegi.

Socho 200 clicks se jyada earning 15 – 20 click se ho rahi hai to aap AdSense se kitna jyada paisa kama sakte ho so aapko other country ke liye content likhna shuru kar dena chahiye. I sure mujhe bhi USA and UK jaise contry se best CPC mili hai.

7. Test, test, test and test Again:

Jyadatar blogger ek bar apne blog par AdSense ads add karke uski report check nahi karte hai or AdSense revenue increase karne ki faltu ki tips pata karne me lage rahte hai. Unhe sabkuch chord kar apni iste par ads ki performance check kante rahna chahiye.

Jaisa ki maine upar btaya tha ki har ek site different hoti hai or sabhi site par ek hi tarike se ads placement se good earning nahi ki ja sakti. Site par alag alag name ad unit bannaye or time to time pata karte rahe ki aapko kis itype ke ads se kitna benefit mil raha hai.

Jis palce par ads lagane se aapko better results nahi mil raha ho to use change kare or apne experience ke anusar sahi jagah par ads lagaye jis se aapko badhiya responsive mil sake.

content marketer ki btayi tips ke alawa aap khud apne hisab se bhi ads location choose kare or test kare ki aapko kis location par ads lagane se jyada CPC or jyada click mil rahe hai. Post ke first and end ke sath sath post between bich me bhi ads show kare.

8. Choose Both Text and Images Ads:

Kuch logo ne myths bana rakhe hai ki images ads better work karta hai or links ad ki tulna me display ads ki CPC jyada hoti hai jabki ye sirf ek bakwas hai sach ye hai ki image ad ke alawa links ad ki CPC bhi high hoti hai. In my case, Mujhe iamges ad ki tarah hi links ad se bhi better CPC mili hai.

Adsense ads advertiser ke dwara diye commission ke ansdar hume commission deta hai. Isme bahut bar image ad ke sath links ads par bhi high CPC hoti hai. Only images ads use karne se AdSense CPM decrease hoti hai.

Aese me agar humne text ads ko block kar only iamges type ad enable kar rakha hai to hum links ad ko miss kar denge. So main aapse yahi kahunga ki aap dono type ke ad text and display ads hi use kare taki aapse koi ad miss na ho.

Main humesha text and images type ke ads use karta hu. Uske bad AdSense automatically better ads show karta hai or mujhe ye dar bhi nahi rahta ki kahi main kisi ek type ke ads ko miss na kar du.

9. Create a Mobile App for Your Site:

Apni site ke liye android, iPad, iPhone and other mobile version ke liye application develop karwaye or use google AdSense se connect kare. Isse aapki earning 30% to 40% ho jayegi. Apne sabhi readers ko app install karne ke liye kahe.

Isse aapki site ka traffic bhi badhega or aapki earning bhi jyada hogi. Wo user jinko mobile me slow internet connection ki wajah se aapki site use karne me problem hoti hai mobile app se unki help hogi or aapko AdSense revenue or site traffic dono me fayda hoga.

Iske alawa aap site ke end ya sidebar me Adsense Matched Content add kare jisse aapki site par traffic badhe or aapko jyada se jyada ad click mi lsake. Google ki ye service bahut hi badhiya hai or isse humari site ka free promotion ho jata hai.

Matched content ke alawa google ne jyada earning karne ka ek or feature diya hua hai agar aapki site par mobile traffic jyada hai to aap Page Level Ads use karke bhi AdSense earning increase kar sakte ho. iske bare me janne ke liye aap Mobile Site Par Adsense Page Level Ads (Beta) Kaise Use Kare post check kare.

10. Your Experiment:

Agar aap pichle kafi time se AdSense use kar rahe ho or aapko income source only google AdSense hi hai to aapko AdSense use karne ka tohda bahut experience jarur hoga or aapko kuch tips jarur pata hogi ki aap kis tarah AdSense se jyada paise kama sakte ho or aapke liye kya best hai.

So please sabko chodiye apne deemag se sochiye ki aapke liye kya better ho sakta hai or apne aapke liye tips banayiye or apni AdSense revenue ko increase kijiye. Agar aap aesa karne me success ho jate hai to aap hi dusro ko AdSense earning inceasing tips btane lagoge.

In my experience, maine google AdSense earning increase karne ke bare me iske alawa bhi bahut post likhi hai. Agar aapko meri btayi tips better lage to aap humari AdSense se related dusri post bhi jarur padhe. Agar aapne abhi tak AdSense account nahi banaya hai to aap Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post me btaye step follow karke easily AdSense account bana sakte ho.

Conclusion,

In sabke alawa aap Category Blocking, Blacklist URL’s, Placement Targeting, Section Targeting and other tips follow kar ke or Extra revenue source like YouTube and custom search engine ads try kar ke bhi AdSense se jyada paise kama sakte ho.

Remember, content is king so humesha apni site par fresh or quality content hi publish kare. Bekar ki or faltu post share karne se bache, inse na to aapki earning increase hogi balki aapki site ki search rank down ho jayegi or site ka traffic bhi kam ho jayega.

Sabse jaruri bat AdSense se adhik paisa kamana hai to aap sabse pahle adsene ke bare me achhe se jaan le ki ye kya hai, kaise work karta hai or kaise humari earning hoti hai. uske bad aap khud apni own tips create kar AdSense se jyada paise kama sakoge.

I hope you may like this content if yes then share this post on social media with your friends and other AdSense user.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 64 )

  1. Bilkul Golden tips share kare hai bhai Adsense se earning ke liye khud new new experiment karne chaiye

    Reply
  2. Bhai india e sabse high cpc kitna mil skta hai hindi blog pr

    Reply
    • Depend on advertisers.

      Reply
  3. सर Facebook ने मेरे blog का link block कर दिया है.. मे अपने blog का link Facebookपर share नही कर सकता..लेकिन दुसरे blog का link share कर सकता हु पर मेरे blog का नही..

    ऊसके लिये दुसरा Facebook account भी बनाया लेकिन कोई फायदा नही…

    कोई Solution है तो बताऐ..

    Reply
    • Dusri ID se karo to kar sakoge.

      Reply

Leave a Comment