Website Ya Blog Ko UC News Me Submit Kaise Kare – Full Information

UC browser world ke top mobile browser me se ek hai. Aapne bhi UC Browser ka istemal kiya hoga or UC News me news bhi padhi hogi. Aapko ye bhi pata hoga ki UC browser ke 10 million se bhi jyada users hai. Socho agar aapki site ki post UC news me show ho jaye to aapko usse kitna traffic milega. Aapne already UC news me kei website and blog ke articles dekhe bhi honge. Agar aap bhi apni post ko UC news me show karna chahate ho to ye post aapke liye hi hai.

Submit Site to UC News

UC browser ke UC news me apni site ki post kaise show kare? Is bare me har koi janna chahata hai shayad aap bhi yahi chahate hai. Actually, Uc browser ko millions users istemal karte hai. Aese me agar aapke blog ki post uc news me show hoti hai to aapko usse kafi traffic milega.

Is topic par internet par aapko shayad hi koi article mil payega but aaj main aako iske bare me details se bta raha hu. Aap 5 minutes me apne blog ya website ko UC news me submit kar apni posts ko uc browser me show kara sakte ho. Iski processing bahut simple hai. But usse pahle main aapko uc news me site content submit karne ke fayde ke bare me bta deta hu.

UC browser alibaba.com website ka part hai jisme UC news ke through har country me usi ki language me news update hoti hai. India me bhi uc news ko kafi pasand kiya jata hai or aapko isme har tpye ki news or information mil jati hai.

India me uc news me hindi content bahut jyada padhe jate hai so agar aapka blog hindi me hai to aapko daily lakho pageviews bhi mil sakte hai ya fir aapke blog par isse bhi jyada traffic ho sakta hai.

Site ko UC News Me Submit Kaise Kare? Is topic par aapko internet par kisi bhi website ya blog par koi information nahi milegi. Shayad hi koi aesi site hogi jisne iske bare me btaya hoga.

UC News Me Site Content Show Karne Se Kya Fayde or Nuksan?

Hum sabhi jante hai ki uc browser world popular browser hai jo android, iPad, iOS, windows, desktop, laptop, iPhone and other all version smartphone ke liye available hai. Puri duniya me iska istemal liya jyada hai. Only humare country india me hi iske million users hai.

1. Fayde:

  1. UC news ke million readers hai. Aapki post ko daily lakho views milenge or unme se kuch user aapki site par visit bhi karenge.
  2. Sabse achha benefit ye hai ki aapki post ke uc news me show hone par aapke blog ya aapke AdSense account par koi bad effect nahi padega. Kyuki UC news ki privacy bahut high hai.
  3. Mostly hum ye traffic ke liye kar sakte hai. Inse humara blog un logo tak pahuchega jinko hamare blog ke bare me pata nahi hota.
  4. Aapki post ke end me view soruce par click kare ne se aapka blog UC news me hi show hoga. Yani user ko aapke blog par jane ki bhi jarurat nahi hai.
  5. UC news me aapke blog ki post ko open karne par usme aapke ad bhi show honge jisse aapki earning bhi hogi.

2. Nuksan:

UC news me apne blog ki post search karne se koi nuksan nahi hai. Agar aap sochte hai ki aapki post UC browser me show hogi to wo google search engine ya other search engine me show hogi to aesa nahi hoga.

  1. Agar UC news me humari post add hone par wo search engine me index hoti hai to humari site ki search rank down ho sakti hai. But uc browser ki privacy bahut high hai or aapki koi bhi post search engine me index nahi hogi.
  2. UC news me blog post submit karne se koi bhi nuksan nahi hai.

Yani uc news me apni site ki post show karne se hume fayda hi fayda hai or nuksan kuch bhi hai. Maine is bare me UC browser ke indian member se bhi bat ki thi ki aesa karne par hume koi problem to nahi hogi or humare AdSense jaise advertising site istemal karne par koi bad affact to nahi padega.

Mujhe iske bare me positive result mila or main kafi time se uc news ko istemal bhi kar raha hu. Abhi tak mujhe koi problem nahi huyi. Second maine or aapne uc news me aesi bahut si sites ko dekha hai jo AdSense istemal karti hai. Ye website last many year se uc news me content show karti hai.

Now, aao ab shuru karte hai ki kaise aap bhi apni site ke content ko UC news me submit kar sakte ho.

UC News Me Apni Site Ki Post Kaise Show Kare – Complete Guide in Hindi

Iske liye aapko aini website ya blog ko UC web me submit karna hoga. Uske bad ucweb team aapki site ke content ka review karegi or kuch time bad aapka account approve ho jayega. Accoutn approve hone ke bad aapke blog par new post publish karne ke bad wo automatically ucnews me index ho jayegi.

Follow Below Step and Submit Your Site to UC News:

Step 1:

  1. Sabse pahle aap mp.ucweb.com site par jaye.
  2. Ab top me right side me Sign up par click kare.

Submit Site to UC browser

Step 2:

  1. Apna email address add kare.
  2. Password set kare.
  3. Password re-enter kare.
  4. Verification complete kare. Switch ko ledt se right me le jaye or verify code verify kare.
  5. Terms & conditions accept kare.
  6. CONTINUE par click kare.

Submit Site to UC News first step

Step 3:

  1. Ab apna gmail address confirm kare.
  2. Check Email par click kare.

Submit Site to UC News confirm email

Step 4:

  1. Ab ek new tab me aapka gmail account oepn hoga. Usme email account ko confirm karne ka ek mail hoga.
  2. Us mail me verification email for registration ka ek link diya hoga us par click kare.

Step 5:

Ab jo page khulega usme aapko personal ya organization account banane ke bare me pucha jayega. Aapko jis type ka account banana hai wo select kare.

  1. Personal: Agar aap apne blog par sirf apne thoughts share karte ho or aap ek professional blogger ho or sirf aap blog par content likhte hai to personal account type select kare.
  2. Organization: Agar aapki site par multiple author content write karte hai or aapki site ko groups ya companies handle karti hai to aap organization select kare.

choose account type

Step 6:

Ab Account Information ka page khulega usme aapko sabhi jankari sahi se bharni hai.

  1. Upload photo par click kare or profile image ya blog ke liye logo set kare.
  2. Apna name name ya blog name add kare.
  3. Aapka blog kis bare me hai blog ki category select kare.
  4. Account operator name add kare.
  5. PAN Card number enter kare. (PAN Card hona jaruri hai.)
  6. Country code select kare.
  7. Apna mobile number add kare.
  8. Apni site ka link add kare. Aap chahe to yaha site ka RSS feed URL bhi add kar sakte hai.
  9. Agar available hai to service tax number add kare warna ise khali hi chord de.
  10. Authorization agreement accept kare.
  11. Finally continue par click kare.

Uc web account information

Step 7:

Process complete hone ke bad is tarah ka message show hoga. “Your account is under review. We will inform you when your application is proccessed.” Yani abhi aapki site ka UC team review karegi. Isme kuch hours ya 1-2 day ka time bhi lag sakta hai.

Account stats

Ab aapki site uc news me submit ho gayi hai. Review complete hone ke bad aapke blog ke article automatically uc news me publish hone shuru ho jayenge. Aap chahe to apne articles ko manually approve karwa sakte ho. Account approve hone par aapko apne blog ke bare me 150 characters me description bhi likhni hogi.

Jab uc news me aapki post show hogi to uske last me aapke blog ka link diya hoga. Jis par click karke user aapke blog par visit kar sakte hai. Apna dekhna ye hai ki millions readers me se aapke blog ko kitne log like karte hai.

Uc browser me site submit karne ke bad use manage kaise karna hai uske bare me ye post padhe UC News Me Blog Submit karne Ke Bad Kya Kare Ki Puri Jankari.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne frieds or other blogger ke sath share jarur kare taki wo bhi apne blog ki posts ko uc browser me show kara sake.

Good luck. Ummid karta hu aapko UC news se lakho traffic milega.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 228 )

  1. I have my site updated in UC but when new post published it doesn’t appear in UC so I started creating direct article in UC but it get suspended it any links for the site in the article.. What can I do?

    Reply
    • प्लीज follow UC terms.

      Reply
  2. Bro mera uc news 23 january 2019 ko approve hua new post ka option nhi araha plzzz help mai new post kese kare…

    Reply
  3. Mera blog ka post uc news me nahi aa rha uc news me Mera account ban Chuka h fir bhi koi bhi post uc news me nahi aa rha Kya karu

    Reply
    • apne uc account me dekho post pending me hai ya publish, publish hai to aapki post uc news me aa chuki hai.

      Reply
  4. Sir mera UC news account Google+ se Bana hai ….
    Ise deactivated karna hai plz help me …..

    Reply
  5. uc payament kaise karta hai maine to first baar suna hai vo bhi is post me

    Reply
    • Direct apne bank account me payment le sakte ho.

      Reply
  6. bhai hmara accout uc news par bna hua he or hm wha se earn bhi krte he , aap yah btao ki ab hm waha par hmari website kese link kre, uc nws account to hmara phle se bna hua he.
    pl reply.

    Reply
    • Oh! is post me isi ki jankari di gayi hai.

      Reply
  7. Hello bhai mane 2 month pahale uc news per account banaya tha or approve bhi hi gaya. ab jab main uc news me post publish to usme dusare logo ke artical show ho rahe hai. main un artical
    ko hide karna chahta hoon.

    Or bhai main uc news account ko smartphone me chalata hoon lekin
    mere phone me uc account me kuch
    option show nahi ho rahe jaise Ad montization ka bank account detail
    ke option nahi show ho rahe please help
    karna bhai

    Reply
    • आप ब्राव्ज़र में डेस्कटॉप वर्जन सेलेक्ट करके ऑप्शन देखें सभी मिल जायेंगे।

      Reply

Leave a Comment