Keyword Stuffing Kya Hai aur SEO Ke Liye Kyu Danger Hoti Hai

Blog par search engine se adhik traffic lane ke liye SEO optimization ki jarurat hoti hai or SEO me keywords most important factor hai. But site content me bahut sare keywords add karne se keyword stuffing hoti hai jisse google search engine aapki site ko search se banned kar deta hai. Aayiye iske bare me vistar se bat karte hai.

Keyword Stuffing

Blogging me lakho logo ko ye problem hoti hai ki unke blog par original content hone par bhi unhe search engine se traffic nahi mil pata hai. Jabki un logo ka kahna hota hai ki unhone SEO ko ache se follow kiya hai.

Mostly, Mai bhi apne readers ko search engine se traffic pane ke liye SEO friendly post likhne or post content me keywords use karna suggest karta hu. Is bat ko kuch blogger jarurat se jyada follow karte hai or apni post me bahut sare unrelated keywords add karte hai. Jisse unki site ko search me achi position milne ki jagah unki site ki search rank down ho jati hai.

Lagbhag 50% website or blog google use karte hai or google se sabse jyada traffic receive karte hai. But isi process me bahut si sites google se remove ho jati hai. Iski main wajah hoti hai keyword stuffing. Actually, Iske bare me hum yaha details me janenge.

Keyword Stuffing Kya Hai?

Keyword stuffing search engine optimization (SEO) ki hi ek technique hai. Jisme ek web page ke meta tags or content me me bahut sare keywords bhare hote hai.  Keyword stuffing aapki website ko search engine se banned kara sakte hai ya fir site ko kuch time ke liye penalty (temporarily or permanently) dila sakte hai. Yahi reason hai ki post meta tag or content me keywords ko bar bar repeat karne se search engines aapke blog ko ignore kar dete hai. Yaha aap is exaple se ise ache se samajh sakte hai.

Blogging kya hai. Blogging ke bare me 10 SEO tips, Blogging kaise karte hai. Blogging sikhne ka aasan tarika. Blogging me success kaise paye. Blogging career kaise banaye ki hindi jankari. Blogging start kaise kare.”

Is paragraph me total 30-40 words hai or 7 bar ek hi keyword korepeat kiya gaya hai jo ki 90% bhi jyada hai. Jabki hum ek article me 2% se 5% kewords use kar sakte hai. Bas yahi keyword stuffing kahi jati hai. Yani ki post content me bahut hi jyada keywords add karna.

Ab jab bhi koi is keywords ko search karke aapki site par aayega or is page ko read karega to use boring mehsoos hogi or wo future me aapki site par visit karna pasand nahi karega. Second jab googlebot aapki is post ko index karne ke liye read karega to use har jagah par ek hi keyword milega. Jisse wo aapke content ko na sirf ignore karega balki humesha ke liye ya kuch time ke liye ban bhi kar sakta hai.

Blog Content Me Keyword Stuffing Kaha Kaha Ho Sakti Hai?

Google search engine guidelines ke anusar mostly keyword stuffing article meta tags or contetn 2 jagah par ho sakti hai. But mai yaha aapko kahna chahunga ki aap post title or post URL me bhi isse bach sakte hai. Chaliye iske bare me details se btata hu.

Kisi tarah ki website fir chahe us par kisi bhi category se related information share ki jati ho sabhi web pages (Articles) ke most 4 part hote hai.

  1.  Post Title
  2. Post URL
  3. Post Content
  4. Post Meta Tags (Description)

Keyword stuffing ka sabse jyada khatra inme se 2 place par jyada hota hai post content or post description. Main mistakes post contnet me hoti hai.

  1. Post Title: Post title me ek hi keyword ko 2 ya 2 se jyada bar repeat karna. Jaise Keywords kya hai or keywords ki puri jankari.
  2. Post URL: Same title ki tarah URL me keyword ko 2 ya 2 se jyada bar repeat karna ya extra words use karna.
  3. Post Content: Post content me bahut jyada bar keywords ko repeat karna. Jise padhne me bar bar e khi keyword ko read karne me problem ho. (Isme post heading, internal and external links, all paragraph and other sabhi content aata hai.)
  4. Post Meta Tag: Post description me post content se unrelated keywords use karna ya jyada keywords use karna.

Ab aapko ye to samajh aa gaya hoga ki keyword stuffing kya hai or ye kaha kaha kaise use hoti hai. ab bat karte hai ki ye SEO ke liye kaise danger ho sakti hai.

Keyword Stuffing SEO Ke Liye Danger Kyu Hoti Hai?

Sabhi jante hai ki google or sabhi search engines me aapki site ki postion aapki site ke contnet par depend karti hai. Search engine aapki site contet quality ke aadhar par hi aapki search position tay karte hai.

In this case, Ayse mai kuch log apni sit ki search rank badhane ke liye or apne content ko or jyada better banane ke liye post content me bahut jyada or bar bar keywords repeat karne ki koshish karte hai. Wo chahate hai ki har keywords search me unke content show ho or search karne wala visitor unki site par visit kare. Isi wajah se google or baki all search engines unki site ko penalized kar dete hai. Jisse unki website kuch samay ya humesha ke liye search se delete ho jati hai.

Google search engine chahata hai ki hum apne readers ko sahi or har step ko ache se samajha kar information de. Taki google ke users ka google par wishwas bana rahe. Ayse mai agar search engine humari eki hi post (Jisme sabih tarah ke keywords load huye ho.) ko show karega to jald hi uske reader use use karna band kar denge. Kyuki unhe sahi or jarurat ki janakri nahi milegi.

Ek time tha jab keyword stuffing se bhi search engines me achi position mil jati thi magar ab sabko iska pata chal chuka hai. So ab search engine ko bevkoof nahi bana sakte. Ab aysa karne se hume search engine alltime ke liye banned kar sakta hai.

Apne Blog Ko Keyword Stuffing Se Kaise Bachaye?

Upar di jankari se aapko keyword stuffing ke bare me sabkuch pata chal gaya hoga. Chaliye mai aapko ye bhi bta deta hu ki is se apn isite ko kaise bachaya ja sakta hai. Iske liye aapko kya kya karna hai or post likhte time kya kya dhyan rakhna hai.

  1. New post likhnt time sirf us post se related hi keywords use kare or puri post me usi ke bare me content likhe. Post se unrelated or unnatural keywords ko bilkul bhi use na kare.
  2. Post URL jitna ho sake short use kare or usme ek keywords ko 2 ya 2 se jyada bar add na kare. Post link me se extra keywords ko remove kare.
  3. Ek post me 2% to 5% se jyada kisi bhi keywords ko repeat na kare. Ho sake to main tareget keywords ko 1.5% to 2% hi use kare. Suppose
  4. Agar aap WordPress user hai to yoast SEO plugin use kare jo aapki quality content likhne me help karta hai. Yoast SEO plugin me target keyword ki persent show hoti hai k iaapne ye keywords kitni bar use kiya hai or contnet ka kitna persent hai.
  5. Agar aapka blog blogspot free platform par hai to aap iska khud hi khyal rakhna hoga ki content me keywords jyada use na ho.
  6. Post me boring words use na kare.
  7. Aap jis keywords par post likh rahe ho. Usme us keywords ki full information honi chahiye. Post me insufficient content nahi hona chahiye.
  8. Post me jyada internal and external links add na kare or ek hi link ko bahut bar add na kare.
  9. Post heading me tarket keywords ko bina jarurat ke repeat na kare.
  10. post meta tags me sirf post se related keywords hi use kare, or sirf keywords hi use na kare. Post description me aap sirf 160 character hi use kar sakte hai. So isme aapko puri post ki summary likhni hoti hai. So yaha sirf post ke bare me likhe.

Sabse acha tarika hai post likhne ke bad use ek bar khud padh le or koi mistakes ho to use solve kar le. Mera manna hai ki post ko read karne se usme huyi galati ka jarur pata chal jata hai.

Finally, Mai aapse kahna chahunga ki ek sahi language me likhi gayi post jisme shando ka sahi istemal kiya gaya ho me kabhi keyword stuffing nahi ho sakti. Ye problem tabhi hoti hai jab aap bad language ka istemal karte ho. Isiliye aap english, hindi ya kisi bhi bhasha me likho shudh bhasha me likho.

I hope aapko is post me achi jankari milegi. So plz is post ko social media par other bloggers ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 86 )

  1. सर आपने आर्टिकल बहुत ही बेहतरीन लिखा है,परंतु व्याकरण दोष अधिक है।यदि आप अपने आर्टिकल की प्रूफ रीडिंग कराना चाहते हैं तो कृपया मुझसे संपर्क करें।क्योंकि मैं Proofreading का कार्य करता हूं।

    Reply
  2. बहुत ही बढिया से आपने समझाया है सर आपने।
    मेरा एक सवाल है कि अगर adsense approval नही मिलता है तो email के द्वारा न मिलने का reason का कारण बताया जाता है परंतु मुझे adsense का approval नहीं मिला इसका तो email आया है but उसमें न मिलने का कारण नहीं बताया गया है। please help me sir .

    Reply
    • आपको जो ईमेल मिला है वो मुझे दिखाओ

      Reply
  3. sir help me…. Meri ek post hai jiska Title ye hai___

    “India 80 Amazing Facts In Hindi”

    to mera question ye hai ki mene apni uss post ko kuchh iss trh se likha hai.

    Fact-1
    Fact-2
    Fact-3
    Fact-4
    Fact-5
    Fact-6
    Fact-7
    Fact-8
    Fact-9
    Fact-10

    to esa krte huey mene 80 baar Facts word ka use kiya hai…

    To problem ye hai ki mera bhi Title Longtail Keyword hai….

    to ye Facts Keyword jada use hua hai.. to kya mujhe Problem hoyegi ya google ko koi preshaani … ???

    Reply
    • No problem. Its important.

      Reply
  4. क्या मेरी वेबसाइट पर Keyword Stuffing होने की ज्यादा संभावना हैं ? मेरी आने
    वाली काफी पोस्ट मिलती जुलती कीवर्ड पर ही होगी जैसे कंप्यूटर सामान्य ज्ञान ,मध्यप्रदेश सामान्य ज्ञान और इससे रिलेटेड अनेक पोस्ट और अनेक कीवर्ड होंगे जो मेरे पोस्ट टाइटल , पोस्ट कंटेंट और डिस्क्रिप्शन से मिलते जुलते हो सकते है प्लीज चेक माय वेबसाइट एंड गाइड

    Reply
    • yes but hum puri tarah se SEO ko follow nahi kar sakte hume apne readers ke liye bhi likhna hota hai.

      Reply
      • Thanks & very nice all post इस ब्लॉग की जितनी भी तारीफ की जाये वह कम हैं | पोस्ट को बहुत ही शानदार तरीके से स्टेप by स्टेप समझाया जाता हैं |

        Reply

Leave a Comment