Gmail Par Message Pahucha Ya Nahi, Padha Ya Nahi Kaise Pata Kare

Bahut bar aesa hota hai ki hum kisi ko gmail par message send karte hai par uska jawab nahi aata. Aese me hum sochte hai ki shayad mail gaya nahi hoga. Iske alawa user “aapka message nahi mila ya fir abhi maine padha nahi hai” jaise bahane bana kar bhi hume avoid kar dete hai. But ab aapke sath aesa nahi hoga a b aap aasani se ye pata kar sakte ho ki aapka send kiya gya message padha gaya hai ya nahi, user ke pas pahucha hai ya nahi.

How to know your gmail message read or not

Kisi ko bhi mail send karne ke bad hume ye nahi padha hota ki humara message send hua bhi hai ya nahi or user ne use padha hai ya nahi. Aese me log bahut sare bahane bana kar ulta hume hi bevkoof banate hai or hume humari galati na hone par bhi galti swikar karni padti hai.

Magar ab google ne iska solution nikal liya hai ab koi bhi aapko murkh nahi bana sakega or aapko mail ki bhejne ki or adhe jane ki report mil jayegi. Is post me main aapko iske bare me details se bta raha hu taki aapko iska pata karne me problem na ho.

Gmail Par Bheja Gaya Mail User Ne Padha Hai Ya Nahi, Pata Karne Ki Jankari

Jab aap kisi person ko important information mail send karte ho to aapko uer ko use recieve or reply karne ka intjar karna padta hai. Kei bar client message read karke bhi jaldi reply nahi karte hai or aese me aap unhe kuch nahi kah sakte. Lekin ab koi bhi aapka message dekh kar use open karke leave kar dega to aapko uska pata chal jayega. Ab aapko reply ka wait karne me time west nahi karna padega.

Step 1:

Sabse pahle aapko google chrome browser me mailtrack extension install karni hogi. Iske liye aap google me “Mailtrack” likh kar search karke ya fir mailtrack.io/en/ website ko open kare.

  1. Yaha par INSTALL MAILTRACK par click kare.

mailtrack

Step 2:

Ab ek pop-up page open hoga usme Add Extension par click kare. Ab kuch hi second me extension download ho kar automatically install ho jayegi. Uske bad chrome browser ke top par right side me mailtrack ka icon show hoga.

  1. Sign in with Google par click kare.

mailtrack sign in with gmail

Step 3:

Ab gmail ke main page par pahuch jaoge or ek pop up windows open hogi jisme aapse mailtrack ko activate karne ke liye kaha jayega.

  1. Activate Mailtrack par click kare.

Activate mailtrack

Step 4:

Ab step 2 ke jaisa Almost Done wala same page open hoga. Usme bhi aapko Sign in with Google par click karna hai.

Step 5:

Ab google aapse mailtrack ko gmail me allow karne ke liye puchega. Allow option par click kare.

allow mailtrack in gmail

Step 6:

Bas aapke gmail me mail track activate ho chuka hai .Ab jab bhi aap kisi ko mail send karoge to uska pata chal jayega ki wo send hua hai ya nahi or use read kiya gaya hai ya nahi.

  1. Agar mail send ho gaya hai to  right ka ek icon show hoga.
  2. Agar mail read ho chuka hai to √√ right ke 2 icon show honge.

mail-send-read-or-not

Is tarah se aap gmail me mailtrack ko add karke aapka gmail message send hone or padhe jane ke bare me pata kar sakte ho. Ab koi bhi aapko yeh kah kar pagal nahi bana sakega ki usne aapka message padha nahi hai ya fir use aapka mail mila nahi hai.

Mailtrack ke alawa bhi chrome browser me RightInbox, Business Mail jasi kei extension tools hai. Aap chahe to unhe bhi istemal kar sakte ho but mai aapko mailtrack hi suggest karunga kyuki iske step sabse easy or beautiful hai.

Mostly, Ye gmail email tracking simply chrome browser ke liye hoti hai but aap inme se kuch ko Mozilla firefox, safary, opera browser me bhi install kar sakte hai. Agar aap isi tarah ki or bhi jankari chahate hai to aap humari site ka newsletter subscribe akr sakte hai.

I hope aapko ye post pasand aayegi. So please ab apna 2 second ka time nikal kar is post ko share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 39 )

  1. Ye mobile me work nhi karta na bhai…?

    Reply
  2. this is very good application sir

    Reply
  3. Thanks sir it is very important for me.
    Keep it up sir.
    Again thanks sir.

    Reply

Leave a Comment