WordPress Blog Me Bina Plugin Ke Adsense Ads Kaise Add Kare

Adsense hindi blogger ke liye sabse best ad network hai. In my case, Mai already ek AdSense user hu or last kei month se google AdSense advertising program istemal kar raha hu. Is samay mai maine AdSense ke bare me bahut kuch sikha hai. Or usme se kuch tricks aapko bhi btayi hai. Aur is tutorial me hum bat karne wale hai ki apne WordPress blog me AdSense ke ad code kaise lagate hai.

How to add AdSense ad code to WordPress without plugin

Jab koi pahli bar AdSense use karta hai to uske pas AdSense ad code ko blog me add karne ka koi idea nahi hota hai. Use ye bhi pata nahi hota hai ki AdSense ke code blog me kaha kaha par add karne hai.

Is article me mai mai aapko without plugin WordPress blog me AdSense ke ads code lagane ke bare me bta raha hu. Jisse aap direct apne WordPress blog me ads code paste kar sakte hai.

WordPress par unlimited feature hote hai. Jinhe hum plugin ki help se use kar sakte hai. Same wese hi aap WordPress plugin se ek hi bar me apne WordPress blog ki sabhi post me ads code laga sakte hai. Iski jankari ke liye aap ye tutorial follow kare.

To chaliye ab hum bina plugin ke WordPress par ads code lagane ke bare me bat karte hai.

WordPress Blog Me Bina Plugin Adsense Ad Code Kaise Add Kare

Apne blog par ads lagane ke liye aapko ads code ki jarurat hoti hai. So pahle aap adsense.com par ja kar ads code create kare. Agar aapko ads banane ki jankari nahi hai to aap Google Adsense Par Ads Kaise Banate Hai in Hindi article padh kar ads bana sakte ho. Ya fir aap ye video dekh kar bhi AdSense par ads banane ki jankari pa sakte ho.

Adsense par ads banane ke bad aapko AdSense ad code milega. Yahi code aapko apne blog me add karna hai.

<script async src="//pagead2.googlesyndication.com/pagead/js/adsbygoogle.js"></script>
  <!-- 300x600 -->
  <ins class="adsbygoogle"
  style="display:inline-block;width:300px;height:600px"
  data-ad-client="ca-pub-474574373777xxxxxxxx"
  data-ad-slot="9535294041"></ins>
  <script>
  (adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({});
  </script>

Ab aapke pas AdSense ka ad code taiyar hai. So ab bas aapko WordPress blog me ads lagane hai.

Adsense Ads Code Ko Without Plugin WordPress Blog Me Kaise Add Kare

WordPress blog par bhi same wohi tariak hai jo blogger par hai. Bas thoda sa difference hai. Agar aap blogger user ho or uski jankari pana chahate ho to aap Blogger Ki Sabhi Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagaye post padh kar blogspot blog me ads laga sakte hai.

  1. WordPress admin panel par ja kar log in kare or left side sidebar me Apearance > widgets par click kare.
  2. Ab jo page open hoga usme sabse upar Available widget ka option hoga. Yaha aap jo WordPress them use kar rahe ho uske hisab se laag alag widget hoti hai. But sabme Text widget ka feature hota hai. Aapko isi par click karna hai.
  3. Text par click kare
  4. Ab aapko sidebar, header or footer widget jaha bhi ads lagana hai wo select kare.
  5. Ab Add widget par click kare. or jo widget khule usme ads code paste kar de.

Add widget to WordPress blog

Is tarah se aap WordPress blog par AdSense ke ad code add kar sakte hai. To ab aap AdSense par ads bana bhi sakte ho or WordPress blog me add bhi kar sakte ho.

Aane wale time me hum sikhnege ki WordPress post me ads code kaise lagate hai. Agar aapke pas WordPress se related koi sawal ho or aap humse puchna chahate hai to comment me apna sawal puch sakte hai.

Note: Agar kisi ko WordPress manage karne me koi problem ho rahi ho to wo apni problem comment me btaye. Hum aapke liye us topic par details me post kar ke aapki help sakte hai. So apne vichar comment me jarur share kare.

Agar aapko WordPress ke bare me ye jankar iachi lage to ise other WordPress user or social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 86 )

  1. sir maine google ads code , header. php me plae kiya , so ads header me home page me show ho rha hai . post me kahi bhi ads show nahi ho rha hai .
    header footer or sidebar me ads dikhane ke liy header footer or sidebar me google ads code place krna hoga kya .
    maine auto ads display active kar rakha hao or code only header me add kar rkha hai .
    ab footer or post , sidebar me add dikhane ke liy kya krna hoga .

    Reply
    • aapne sirf homepage me ad code add kiya hoga hoga, header.php me karoge to sabhi post, pages me ad show hoga.

      Reply
  2. Bhai mene blogger se wordpress pr migrate kr liya hai aur redirect bhi kr diya hai apke code se ek problem jo rhi hai ki mere sabhi post ki permalink title ke hisab se dikh rhi hai mene jo blogger me costum permalink bnai thi unme se ek bhi nahi hai kya kru thanks advance

    Reply
    • Aap wordpress permalink setting me URL set kar sakte ho.

      Reply
  3. Bhai meri AdSense ka CPC 0.01 hai use kaise increase karu.

    Reply
    • high cpc keyword par content likho badh jayegui.

      Reply
  4. Nice Information Thanks a lot

    Reply
  5. Hello JDK bro maine aaj adsense apply kar diyaa hai. Par adsense approve hone se pahale me aapse kooch sawal poochna chahata hun.

    1) Adsense ko apply karte vakt ek code ke andar use kiya hai. To ad lagane ke liye hame yahi code sab jagah use karna padega. Ya fir alag ad ke lag alag code hote hai.
    2) Kya aap ad insert karne ke liye kisi pugin ka istemaal karte hai.
    3) Kya hame sabhi post me ad lagane ke liye single-single post me code dalna padega.
    4) I think adsense ko apply karte vakt vaha auto ad ka option aaya tha. Kya ise use karna thik hai. Aur agar nahi to baadme me ise change kar sakata hun?

    Reply
    • Aap place ke hisab se alag ad unit bana sakte ho chahe to ek hi ad ko har jagah use kar sakte ho.
      yes main ad inserter plugin use karta hu.
      Aap plugin se ek sath sabhi post me ad show kar sakte ho.
      Iski jankari yaha hai Google AdSense Auto Ads Kya Hai

      Reply
  6. Sir Aapne post WordPress blog post me AdSense ads kaise lagaye agar publish kar diya ho toh yaha link de..

    Reply
    • Main ad inserter plugin use karta hu.

      Reply
  7. sir maine addsense approve ho gaya hai. MAINE add unit bhi create kar liya hai mujhe aap ye bataye ke jo add code mila hai usko ad injection plugin main kahan paste kare. aur maine ek hi add unit create kiya hai.aur bhi abhi karoon.

    Reply
    • Aap ad unit code ko blog ki widget me add karo.

      Reply

Leave a Comment