Facebook Par Apna Profile Name Hide Kaise Kare – Invisible Name

Hello friends, I am sorry ki mai pichle kuch time se article nahi likh pa raha tha but aaj mai aapke liye aysi facebook trick le kar aaya hu. Jisse aap apne facebook profile name ko Hide, Remove kar sakte ho. Without Name se facebook account bana sakte ho.

Hide facebook profile name

Hello sir mai apne facebook name ko chipana chahata hu. Iske liye mujhe kya karna hoga. Plz help” Ye sawal mujhse aryan sharma ne last day ko pucha tha. Wakai mai ye sawal mujhe pasand aaya or mai iska jawab aryan ke sath aap sabhi ko is post ke throw dena chahunga.

Aapne facebook par kuch logo ke singal name se account dekhe honge. Or kuch logo ki bina name ki profile bhi dekhi hogi. Ye sab dekh kar aapke man me bhi ye bat aati hogi ki kash mai bhi aysa karke apne dosto ko surprise de sakta.

Don’t worry aaj is article me mai aapko in sabke bare me details se btane wala hu. Is post ko padhne ke bad aap facebook par apni facebook profile name ko chupa (hide), remove or delete kar sakte ho. Ye trick is time kafi popular bhi hai. Isliye aap bhi is trick se apne friends ko chokka sakte ho.

Facebook Par Apna Profile Name Hide Kaise Karte Hai – Make Invisible Facebook Profile Name

Aap chaha to ye setting uc browser or firefox jo bhi aapko pasand ho me kar sakte ho. Mai yaha aapko dono ke bare me bta raha hu.

Option 1: UC Browser:

Sabse pahle aap uc browser ka web version open kare.

Ab apne browser ki setting me jaye or proxy and port setting me ye proxy code add kare.

  1. Proxy: 219.083.100.195
  2. Port: 8080

Ab save setting par click kare.

Option 2: Mozila Firefox

  1. Sabse pahle apne PC me firefox browser open kare. (yaha mai aapko firefox ke lasted version ke bare me bta raha hu.)
  2. Ab right side me three line ke  par click kare or options par click kare.
  3. Ab Advance > Network > Settings par jaye.
  4. Ab “Manual Proxy Configuration” ke samne tick kare.
  5. Ab proxy me 118.98.35.251 add kare.
  6. Port me 8080 add kare.
  7. Fibally setting save kar de.

Ab hume facebook par ja kar apna name hide karna hai uske liye ye step follow kare.

Step 1:

Sabse pahle aap apne facebook account ko Facebook Mobile Version me open kare.

Step 2:

  1. Ab Account setting me jaye.
  2. General par click kar language par click kare.
  3. Ab Indonesia bhasha select kare.

Step 3:

Ab name change setting me jaye or first and last name ko remove kare or ye code copy kare.

  1. Ab apne first name me ye kﱞﱞﱞk copy karke paste kare.
  2. Copy karke paste karne ke bad isme se “k” letter ko remove karke setting save kare.
  3. Yaha aapse password ke liye pucha jayega apna password confirm kare or setting save kare.

Step 4:

Ab fir se language setting me jaye or english bhasha select kare.

Done, bas ho gaya. ab aap check kar sakte hai ki aapka facebook profile name hide ho gaya hai.

Note: Agar aap upar diye kﱞﱞﱞk letter ki jagah direct keyboard se “kk” add karoge to ye trick kaam nahi karegi. Aap upar diya code hi use kare.

Is tarah se aap apne facebook profile name ko delete or hide kar sakte ho. Agar aapko ye trick pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 121 )

  1. Goooood information sir ji

    Reply
  2. sir facebook par naam kaise badalen

    Reply
    • facebook profile setting me jao or apne name ke samne edit par click karke change kar lo

      Reply

Leave a Comment