Google Plus Par Page Kaise Banaye Hindi Me Jane

Google+ facebook, twitter ki tarah ek social networking site hai. jise June 28, 2011 ko google ne launch kiya tha. halaki google plus facebook ki traha popular nahi hai. but apne vichar share karne ke liye ye bhi ek achi social network site hai. jis par hum facebook ki tarah hi apne firends se jud sakte hai. group bana sakte hai. facebook page ki tarah google+ page bhi bana sakte hai. is post me mai aapko google+ page banane ke bare me hi btane wala hu. so chaliye agle 5 minute me apna google+ page ready kar lijiye.

Google Plus Page Kaise Banaye

Google plus par page banana koi jyada mushkil kaam nahi hai. jis tarah Facebook par page banate hai. bilkul wese hi aap google+ par bhi page bana sakte hai.  agar aapne abhi takk google+ par account nahi banaya hai to pahle Google plus par account kaise banate hai posr padiye or apna account bana le.

Uske bad aap is post ko pad kar google+ page bana sakte ho. mai is post me aapko step by step google plus page banane ki jankari de raha hu. agar aapko mera tarika pasand aaye to post ko share jarur karna.

Google Plus Page Kya Hai?

November 7, 2011 ko google ne googlee pllus paage ko launch kiya. google+ page ko issliye banay gaya tha ki hum is par apne local bussiness ko promote kar sake or googlle+ se or adhik reader recieve kar sake.

Hum local businesses, brands, organizations and artists ke liye google+ page bana sakte hai. is par apne bussiness plan share karke apne audience se direct contect kar sakte hai.

Google Plus Par Page Kyu Banaye Is Se Kya Fayda Hoga?

Google plus par page banane se aapki website ya blog ki google par pahchan badhegi, backlinks milenge or sabse badi bat log aap ki website ki last update direct google par recieve kar sakte hai. agar aapke google+ page par 10,000 subscriber huye to aapko per day 1,000 visitors usi page se milenge.

Becoz google+ blog ki traffic badhane me sabse jyada kam aata hai. google plus se blog ki traffic bdhane ki jankari ke liye aap ye post pad sakte hai. Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike.

Google plus page par aap regular post share karte rahe. i promise aapko isse acha traffic milega. or logo ko aapki site yad rakhne me bhi aasani hogi.

Google Plus Par Page Kaise Banaye?

Google+ page bana kar aap apne blog ki last update is par share kar sakte hai. isse aapko kei fayde honge aapko google plus se backlinks milenge.

Traffic milega or aapki website ya blog ki popularty badhegi. to ab sari bate chod ke pahle aap google plus page bana lo. google plus par apna page banane ke liye ye step follow kare.

Step 1:

Sabse pahle aap google plus par jaye or apni email id se log in kare.

  1. Google+ par log in karne ke bad jab browsing loading complete ho jaye to mouse ko left side me home button par le jaye.
  2. mouse ko home button par le jane par jo options show ho unme se Pages par click kare.

google home page

Agar aapko ye option na mile to aap direct Create Google Plus Page par visit kare.

Step 2:

Ab google my bussiness ka new page open ho jayega. jis par aapke banaye sare pages ki list hoti hai. agar aap pahli bar page bana rahe ho to yaha koi page list nahi hogi.

  1.  is page me ek Get on Google ka button hoga. us par click kare.

Get your business on Google for free

Step 3:

Ab jo page khulega. wo world ka map hoga. aapko usme apne bussiness ke liye page select karna hai.

  1. world map ke right site me 3 line ke arrow ≡ par click kare.
  2. ab Add a Brand Page par click kare.

Choose Add a Brand Page

Step 4:

Ab my bussiness ka page khulega. isme aapko page ka name, link or categoey sellect kaarni hai.

  1. Page name: Apne google+ page ka name likhe. agar aap apni website ya blog ke liye page bana rahe ho to uska name likhhe.
  2. Website ya blog: apni website ya blog ka link add kare.
  3. Page type: aapko page kis type ka banana hai wo select kare. agar website blog hai to community select kare.
  4. Page terms: ‘I agree to the Pages Terms and I am authorized to create this page’ par √ tick kare.
  5. Create Page par click kare.

Create your Google+ page

Step 5:

Ab ek popup page khulega. jisme google+ par page banane ke liye aapka welcome kiya jayega.

  1. yaha par Get Started par click kare.

Weelcome to google my bussiness

 

Ab aapka google+ page ban kar taiyar hai. I mean aapka page ban gaya hai. ab apne page ki details set kar le. or agar aapko kahi koi problem ho google+ page banane me ya mujhse iske bare me koi sawal puchna ho to niche comment kare. agar mujhe aapke sawal ke bare me jankari hogi to aapki help jarur karunga.

Support Me India Google+ Page

I hope aapko ye post pasand aayegi. or aap isme btaye step follow karke aasani se google plus par page bana sakte ho. agar aap bhi sike badle meri help karna chaho to is post ko facebook, google plus, twitter par share jarur kare.

Agar aap internet se paise kamana chahate ho to aap blogger par free blog bana kar paise kama sakte ho. jisme aapko ek bhi rupee kharch karne ki jarurat nahi hai.

Aapko sirf blogger pat free blog banana hai or blog par aapko jo bhi aata ho wo jankari share karni hai. jaise mai is blog par Website Kaise Banaye, Make Money, Social Networking Sites, Blogging or internet ke bare me jankari share karta hu.

Humari site ki new post delivey pane ke liye abhi site ko Subscribe kare sath hi aap hume bhi social media FacebookTwitter, Google Plus, Linkedin, PinterestYoutube par follow kar sakte ho. jisse aapko humari new post ki jankari social media par bhi mil jayegi.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 33 )

  1. sir kya me apna bio page banake daal skta hu

    Reply
    • हां डाल सकते हो

      Reply
  2. Kya mai Wikipedia ki koi map image download karke mere blog ki post main rakh sakta Hu. Ya fir reference ke liye Wikipedia ki koi link add kar sakta Hu.

    Reply
    • Source link add karke kar sakte ho.

      Reply
  3. google plus page ka link address kaise banaye? Mera google plus par page hai lakin usme link address me blog ka name nahi hai, balki default link address hai jis me numbers hai.

    Reply
    • Read google plus custom link policy.

      Reply
  4. Bro , Kya Mai Wikipedia Post Copy karke Apni Website ki Post me Use kar sakta hu Jabki Mai Wikipedia Ka link Apni Post me Credit karunga or Batauga ki ye post wikipedia se le gai or

    Kya me aisa kar sakta hu

    Reply
    • Nahi nahi kar sakte.

      Reply
  5. Bhai mera Google + hindi me khulta hai aur pages wala option bhi show nahi karta mai kaise Google+ pe pages banau
    bhai request hai replay jarur dijye ga
    Thankyou

    Reply
    • Ahmad is post me isi ke bare me btaya gaya hai step follow karke bana sakte ho.

      Reply
  6. bhai,(1) kya google aur google plus dono different hai?
    (2) google plus kitna jaroori hai blog k liye?

    Reply
    • 1. google ek search engine hai or google+ ek social site.
      2. jaruri to nahi hai par agar aap site ke liye google plus page bana lo to aapki site ki value badh jati hai or aapko usse traffic bhi milega.

      Reply
  7. Google ke First Page Main Siteview karne ke liye kya kare, kaise traffic jayada kare

    Reply
    • Iske liye aap humari seo se related post padhiye.

      Reply

Leave a Comment