Blog Par Free CloudFlare CDN Setup Kaise Kare – Complete Guide in Hindi

Website ki loading speed search engine me better rank pane ka most important factor hai. Apni site ko speed up karne ke liye hum bahut se tarike use karte hai. Blog loading stime kam karne me CDN Content Delivery Network ek high popular way hai. Jo ki aapki iste ki loading speed ko 100% kam karta hai. Har koi site speed kam karne me CDN suggest karta hai. MaxCDN or CloudFlare sabse better CDN provider hai. Yaha mai aapko CloudFlare free CDN ke bare me bta raha hu.

Website Ke Liye Free CloudFlare CDN Kaise Setup Kare

Agar aap CDN (Content Delivery Network) ke bare me puri details chahate hai to aap CDN Kya Hai or Website Blog Ke Liye Kyu Jaruri Hota Hai post padhiye. Isme maine CDN ke bare me details se btaya hai ki ye kya hai aapki site ke liye kyo important hai or ise kyu use karna chahiye.

In this Post, Is tutorial me mai aapko btaunga ki aap apne blog ke liye Free CloudFlare CDN Setup kaise kare. Aapka blog blogger, WordPress ya kisi bhi platform par ho aap is post me btaye step se kisi bhi blog me free cloudflare cdn set up kar sakte hai.

CloudFlare CDN Kya Hai?

CloudFlare CDN basically ek Web Application Firewall, Ek distributed proxy server or ek Contend Delivery Network hai. Yeh aapki site ko optimize, security by attackers, request reaches, speed up time, unwanted traffic, server and visitor ke bich data transfer service me help karta hai. CloudFLare ki sabse achi bat ye hai ki jab kabhi aapki share hosting offline ho jati hai to bhi cloudflare work karta hai.

CloudFlare small websites or blogs ke liye free vasic plan provide karta hai. Sath hi CloudFlare $20 per month ke hisab se paid plan bhi offer karta hai. Agar aapki site par traffic jyada hai to aap premium plan perchange kar sakte ho.

Blog Me CloudFlare Free CDN Kaise Setup Kare Hindi Jankari

Isse pahle ki aap apni website ki speed improve karne ke liye CloudFlare istemal kare aap apni web hosting or apni site ki speed check kar le ki is time aapki site ki speed kya hai. Taki CloudFlare use karne ke bad site ki loading speed kitni kam huyi ka andaza laga sake.

Mostly, Web hosting company blouehost, hostgator par aapko cpanel par CloudFlare ka option mil jayega. So agar aap WordPress user hai to apni hosting par cpanel me ja kar ek click se CloudFlare CDN install kar sakte hai. Iske liye aap apne hosting customer care me contact kare. Wo aapki site ke liye CloudFlare CDN install kar denge. Iske bare me hum dusri post me bat karenge.

Yaha hum manually setup ke bare me bat karenge jo mere hisab se automatically setup se jyada behtar hai.

Option 1: Add Website

  1. Sabse pahle aap CloudFlare par ja kar sign up kare or fir log in kare.
  2. Ab Add Site par click kare or apni site ka URL add karke Begin Scan par click kare.
  3. Ab kuch time me scaning complete ho jayegi. Uske bad Continue Setup par click kare.

Add site on CloudFlare

Option 2: Add DNS Records

Yaha par aapko domain ke DNS records add karne hai. Agar aap WordPress user hai to aapko DNS record aapki hosting cpanel me milenge. Or agar aap blogger use hai to aapne jaha se domain liya hai. Aapko waha par domain DNS setting me DNS record milenge. Exampy aapne godaddy se doamin liya hai to aap godaddy site par ja kar dns record copy karke yaha add kare. Yaha aap A, CNAME record add karne hai. Uske bad Continue par click kare.

Add DNS Records

Option 3: Select Plan

Ab aapko plan choose karna hai. Yaha mai aapko free plan ke bare me bta raha hu so aap abhi Free Website select karke Continue par click kare.

Select Plan

Option 4: Update Nameservers

Ye nameserver aapko apne domain site par add akrne hai. Iske liye aap apni domain site par jaye or log in karke my domains par click kare. Uske bad domain select kar DNS setting me jaye or old server ki jagaye CloudFlare ke nameservers add kare. Uske bad Continue par click kare.

Update Nameserver

Finall, Sabhi setting karne k bad kuch hours wait kare. CloudFlare CDN ko active hone me 1-5 hours ka time lagta hai. Is beech aapki site ho sakta hai work na kare or DNS error show ho. Or agar aapko CludFlare free CDN set up ke bare me koi sawal puchna hai to aap comments me puch sakte hai.

Website better performance ke liye CDN use karna bahut important hai. Har wo user jisko iske fayde ke bare me pata hai CDN jarur use karta hai. Mai aapko suggest karunga ki aap bhi apne blog ke liye CDN jarur use kare.

I hope aapko is article me achi jankari milegi. So plz is post ko social media par apne firends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 134 )

  1. Sir maine nameservers update Kiya lekin abhi bhi google
    This page isn’t working

    redirected you too many times
    Show kar raha hai

    Reply
  2. Sir mere wordpress blog ki site helth main ye do error show ho rahe hai

    The REST API encountered an error

    Your site could not complete a loopback request

    Help kre plz

    Reply
    • contact your host

      Reply
  3. sir domain me cloudflare ka nameserver update kar denge to hosting ka name server kaha set karenge plzz bataye

    Reply
    • Hosting ka nameserver kahi nahi add karna hai, aapko bas hosting ip address cloudflare dns setting me add karna hai usi se site run karegi.

      Reply
  4. Sir wordpress par hai site lekin DNS record nhi mil raha hai

    Reply
    • Aapko sirf hosting ip address cloudflare me add karna hai aur cloudflare name server domain setting me.

      Reply
  5. Kuch bloggers ke anusar blog SSl Certificate use karne ke baad blog ke address me change hone ki wahaj se Google unke pages ko dubara se index karta hai. Jiski wajah se unki traffic kam hui hai. To bhai fhir traffic normal hone me kitna samay lagta hai?

    Reply
    • Ye bilkul sach hai, https enable karne ke bad aapki site ki ranking down hogi lekin kuch time bad recover ho jaeygi. Isme kuch month ka time lagta hai.

      Reply
  6. hello kya aap bta skte ho jaise maine hosting nd domain dono godaddy se liya tha…maine SSL certificate cloudflare se liya meri website bhi secure ho gyi hai….but ek doubt hai..???
    jab maine nameserver change kiya aur cloudflare ka nameserver dala. to Kya mera server change ho gya..??
    kyuki mere dns record godaddy show nhi kar rha…cloudflare me show ho rhe h…

    Reply
    • Yes aap abhi cloudflare cdn use kar rahe ho, jab koi aapki site ko browser me open karega to browser>> cloudflare>> your server type se request send hogi.

      Reply
      • Sir.. digital ocean me domain add kiya hu… Cloud fare SSL kaise lgaye.. suna hai uame kuch coding krna pdta

        Reply
        • DO के नेमसर्वर की जगह डोमेन सेटिंग में क्लाउडफ्लेयर का नेमसर्वर ऐड कर दो।

          Reply

Leave a Comment