Facebook Facebook Page Kaise Banaye? Puri Jaankari 2024

Dosto aapka facebook par jo account hai usme aap sirf 5000 friends hi add kar sakte hai par facebook par ek or tarika hai jis se hum lakho karodo logo se jud sakte hai. Wo hai facebook page aaj mai aapko btaunga ki facebook page kaise banaya jata hai. Aapne facebook page ka naam to suna hi hoga. Facebook page par aapko kitne bhi log like kar sakte hai. To chaliye jante hai ki facebook page kaise banate hai.

create facebook page

Facebook Page Kya Hai & Facebook Page Kyo Banana Chahiye

Step 1:

  1. Sabse pahle Facebook website par jakar log in kijiye.
  2. Uske bad yaha par click kijiye. Create a Facebook Page

Ab jo new popup window open hogi usme kuch categories hogi aap apne hisab se category choose kijiye.

facebook page category

  1. Local Business or Place: Agar aap apni dukan ya kisi dusre local business ke liye page banana chahate hai to is cotegory ko select kare.
  2. Company, Organization: or Institution: Agar aapki koi company ho to is cotegory ko select kare.
  3. Brand or Product: Agar aapko kisi cheez ke brand ka page banana ho to yaha select kare. jaise aapki website ka koi brand ho.
  4. Artist, Band or Public Figure: Agar aap koi artist hai yani kalakar hai ya fir aap koi badi hasti ka page banana chahate hai to is category ko select kare. aap apni pahchan banane ya fomous hone ke liye bhi is category ko select kar sakte ho.
  5. Entertainment: Isme aap kisi movie, book, story ka upyog kar sakte hai. jaise aapko agar kisi movie ka page banana ho to is category ko select kare.
  6. Couse or Community: Yeh category sabse alag hai . is category me aap ke sasth wo log bhi post kar sakenge jo is community me honge. aap apni website ke liye bhi ye category choon sakte hai.

Ab aap ko ye to pata chal hi gaya hoga ki aapko kis category me page banana chahiye. agar aap abhi bhi nahi samajhe ho to koi bat nahi aap bad me bhi apne page ki category change kar sakte hai. to koi si bhi category select kar lo.

Step 2:

Filhal aap 3 brand and product ko select kar lijiye kyuki hame apni website ke liye page banana hai.

select website

  1. Website select kar lijiye.
  2. Yaha par apne page ka name dal dijiye.
  3. AB Get Started par click kijiye.

Step 3:

page description

  1. Apne page ke bare me 140 shabdo ki choti c summary likhe taki log samajh sake ki aapke page me kya hai or like kare.
  2. Apne page ki website ka url dale.
  3. Apne page ke liye username choone.
  4. Ab Save info par click kare.

Step 4:

Ab jo page khulega usme aapko apne page ke liye profile photo upload karni hai. aap chahe to ise skip bhi kar sakte hai. kyuki aap ise bad me bhi upload kar sakte hai.

choose a page profile image

  1. Yaha par click kar ke aap apne computer me se photo select kar ke upload kar sakte hai.
  2. Yaha par aap apne blog ya website ki photo ka link dal kar bhi photo upload kar sakte ho.
  3. last me Next par click kare.

Step 5:

add to favorite

  1. Agar aap is page ko apne favorite page me add karna chahate ho to Add Favorites par click kare.
  2. Ya fir aap Skip par click kare.

Step 6:

set page privacy

  1. Yaha par apne country, state, city ka name enter kare. taki aapke fans ko pata chale ke aapke page ki location kya hai.
  2. Yaha par aapko yeh select karna hai ki aapke page ko kis umar se kis umar tak ke log dekh sakte hai.
  3. Isme aapko genter select karna hai ki aapke page ko sirf aadmi dekhe ya sirf orat ya fir dono,
  4. Is box me aap apne interest ke hisab se page select kar sakte hai.
  5. Puri jankari bharne ke bad Save par click kare.

Agar aap ye sab abhi nahi bharna chahate to aap ise bad me bhi bhar sakte hai to aap ise skip bhi kar sakte ho.
Bas aapka facebook page tayar hai. Agar aapko koi problem ho to comment kar sdakte ho.

To friends is tarah se aap bhi apne liye facebook par apna ek page bana sakte ho jaha par hum jitna chahe friends bana sakte hai.

Agar aapko facebook page kaise banaye post achhi lagi ho to social media par apne friends ke sath share jarur kare taki wo bhi facebook par page bana sake.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 78 )

  1. मुझे आपका पोस्ट बहुत अच्छा लगा पोस्ट के लिए धन्यवाद

    Reply
  2. nice artical dost mai isi artical ko dhund rha tha thanx you

    Reply
    • Sir kya ham Facebook page me artical bhi dal skate hai kya.. aur kya ham apne facebook page ko monetize kar payenge ..

      Reply
      • हां बिल्कुल

        Reply
  3. Thanks Bro.
    Facebook par ad campaign kaise chalate hai uska bhi ek post banao.
    Ya agar pahle se ho to link share karo

    Reply
  4. kya mein samaji page bana sakte hai kya taki apne samajik logo ko jod unko sangathit kar saku

    Reply
    • Yes bana sakte ho.

      Reply
    • Sir मेरा Facebook Page Mr Raheel के नाम से है और मेरा real नाम Mo Rahil है तो किया मे future मे इस Page को verify करा पाऊँगा

      Reply
      • सकता कर सकते हो

        Reply
  5. Sir fb par page bnana ka liya kuch pay karna hoota h Kya….

    Reply
    • Nahi ye free hai. Aap bina pay kiye facebook page bana sakti ho.

      Reply
  6. 1 sir main apne youtube channel ke video facebook par kaise share kar sakta ho 2 kya facebook par youtube video share karne ke liye facebook page banana zaroori hai 3 ye free mein hoga ya charge lagega

    Reply
    • Very simple aap facebook post box me youtube video ka link add kar post publish karo. Nahi jaruri nahi hai lekin banana chaho to bana sakte ho, free me.

      Reply
  7. Hello sir maine ek Facebook page bnaya hai par problem ye hai ki usme maine actor daala tha aur ab mujhe use change kar ke artist karna hai mai kaise karu….. Please help me

    Reply
    • Page settings me ja kar change kar sakte ho.

      Reply
  8. 1.Sir jese hamne apne friends ko ek baar hi invite kar Liya.
    To jab hum dobara koi post apne Facebook page par daalege to Kya hame dobara unhe invite karna padega padega

    2. Sir Jin logo ne hamare fan page ko like Kar rakha he to jab ham koi post fan page par daalege to Kya unhe notification mil jayega

    Reply
    • 1. Nahi
      2. yes.

      Reply
  9. thank u sir aapki post ko padkar mujhe bahut help mili hai mene aapki post ko padakr apne liye ek facebook page bna paya hai

    Reply

Leave a Comment