Nofollow Aur Dofollow Links Kya Hai Dono Me Kya Fark Hai

Jab mai Search Engine Optimization ke bare me article likhta hu to meri humesha koshish rahti hai ki mai apne reader ke liye kuch better jankari share kar saku. In this post, Mai aapko bta raha hu ki No follow and Do follow links kya hote hai or SEO ke liye konsa link use karna sahi hai.

Jo blogger blog SEO me new hai unke liye Nofollow or Dofollow links ki information hona bahut jaruri hai. Agar aap ko bhi dofollow or nofollow link ki confusing hai to ye post aapke liye useful sabit ho sakti hai.

No Follow or Do Follow Link Kya Hote Hai

No Follow and Do Follow link ke bare me janne se pahle mai aapko suggest karunga ki aap pahle backlinks ko ache se samajh le. Kyuki backlinks ki jankari ke bina ye post aapke sir ke upar se nikal jayegi.

Backlinks Kya Hai or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai post me maine backlinks ke bare me details se btaya hai. Aap pahle is post ko read kare uske bad is post ko padhe.

No Follow and Do Follow links Ke Bare Me Janna Kyu Jaruri Hai?

Blogging me fir chahe wo kisi bhi topic par ho other site ke links use karne ki jarurat hoti hai. Or agar humse galti se bhi kisi bad site ya fake site jaise p*rn, s*xy product, bad information, hacking tips and criminal info site ka link apne blog ki post ya commnet me add ho gaya to search engine humari site ko spam kar sakta hai.

Jiska natija ye hoga ki humari site search wengine me show honi band ho jayegi. Show is problem se bachne ke liye hume nofollow or dofollow ki jarurat hoti hai. Jiski help se hum bad links ko search engine se chupa sakte hai.

Search engine kisi bhi tarah ki hinsak samgree blog par share karna aloow nahi karta hai. Or agar aapka blog blogger par hai to goole aapke Blog Ko Delete bhi kar sakta hai. So is post me btaye tarike se ye matlab nahi hai ki aap bad links ko search engine se hide kar galat jankari share kar sakte ho.

NoFollow Vs DoFollow Link Dono Me Kya Difference Hai

Upar btayi bato se aapko ye to clear ho gaya hoga ki hume No Follow or Do Follow Links ki jarurat kyo padti hai. Or mai ye bhi man leta hu ki aapko backlinks ke bare me achi jankari hai. So ab mai aapko btane ja raha hu. Do-Follow and No-Follow link ke bare me. Agar aap real me iske bare me jankari chahate ho to meri bat ko dhyan se sune or samajhe.

1. No Follow Links Kya Hote Hai

No Follow Links wo link hote hai jinhe search engine robot post ko index karte time ignore kar deta hai. My means search engine nofollow links ko index nahi karta hai. Iska matlab hai ki website owner ya blogger nofollow link use karega to use search engine pass nahi kar sakta ause sirf human yani peoples hi read kar sakte hai.

Simple shabdo me kahu to hum nofollow link use kar ke search engine se link ko chupa asakte hai. Or apni site ko search ranking me spam hone se bacha sakte hai. No follow links un site ke liye kiya jata hai. Jo fake site ho sakti hai.

Example No Follow Link:

<a href=”https://www.supportmeindia.com/” rel=”nofollow”>Supportmeindia</a>

No Follow link use karne ke liye aapko link me sirf rel=”nofollow” code use karna hai. Uske bad search engine is link ko nahi padh sakta.

2. Do Follow Links Kya Hote Hai

Do Follow Links Sabhi search engines ko links index karne ko allow karta hai. Yani do followe links ko all search engines pass kar sakte hai. Search engines or human dono is link ko padh sakte ho.

Or aap do follow link me Keywords Use Kar ke apni site ki search ranking ko increase bhi kar sakte hai. Mera kahne ka matlab ye hai ki jab hum post me backlinks use karte hai to links ki jagah Focus Keywords bhi use kar sakte hai. Jise anchor text kahte hai.

Example No Follow Link:

<a href=”https://www.supportmeindia.com/”>Supportmeindia</a>

All defualt links Do Follow links hote hai. So aapko link me Do-Follow link use karne ke liye koi extra code use karne ki jarurat nahi hai.

Ab aapko ye bat pata chal gayi hogi ki No Follow and Do Follow links me kya antar hai or ye kaise kaam karte hai. So ab mai aapko ye or bta du ki “Websie Ya Blog Me No Follow and Do Follow link Kaise Use Karte Hai“.

No Follow and Do Follow links

Google ka kahna hai ki hume apni site ya blog me outgoing links use karte time nofollow links use karna chahiye. jisse aapki site ki search ranking low na ho. But iska matlab ye bilkul nahi hai ki aap har jagah nofollow links use karo.

Aysa karne par search engine un links ko index nahi kar payega or aapki site ki search ranking discrease ho jayegi. So ye sawal bahut important hai ki hume nofollow links kaha kaha use karne chahiye. Don’t worry mai iske bare me bhi details se bta raha hu. Aap bas post ko dhyan se padhe.

Do Follow Links Kaha Kaha Use Karne Chahiye:

Hum jo bhi links blog post me use karte hai. Wo sabhi links dofollow links hote hai. Iske liye hume link me koi bhi code alag se add karne ki jarurat nahi hai. Ye kuch point hai jo aapko or bhi aasani se samajh aa jayenge.

  1. Apni site ki other post ke links: Aap apni hi site ki dusri post ka link dofollow link ki tarah use kar sakte ho. Mai hi nahi sabhi blogger or website owner aysa karte hai.
  2. Related content links: Agar koi aapki site se related jankari share karne wali site hai or usse aapke ache relation hai. Aapko us par pura yakin hai ki us par bad information share nahi ki jati hai to aap uska links bhi dofollow kar sakte ho.
  3. High quality websites:  Internet par jo website fomous hai or jinke bare me sabhi o pata hai ki in par 100% sahi jankari hoti hai, Jaise google, yahoo and other.
  4. Original source link: Jis site par aapko pura bharosha hai ki is par original content share kiya jata hai. Uska links bhi aap defualt use kar sakte ho.

No Follow Links Kaha Kaha Use Karne Chahiye:

Jab bhi hume aysi other site ka link apni post me add karne ki jarurat padti hai, Jiske bare me hume puri jankari na ho. Uske link ke liye hum No Follow type ke links use kar sakte hai.

  1. Unrelated sites in content: Jis site ka content aapki site se related na ho or jis par aapko pura bharosha na ho. Uska link aap nofollow typeme use kare.
  2. Bad Sites: First to aapko apni site me p*rn, s*xy product, bad information or hacking ki jankari dene wali site ka link add nahi karna chahie. But agar jyada hi jarurat ho to inke link ke liye 101% nofollow type ka link use kare.
  3. Affiliate Links: Affiliate site pata nahi kis kis tarah ke product sale karti hai. Unme fake information bhi ho sakti hai. So aap affiliate programing site link ke liye bhi nofollow links use kar sakte hai.
  4. In comments section: Comment section me humesha dusri site ka link btate time nofollow links use kare.

Mai aapko yahi suggest karunga ki aap affiliate marketing or other kisi spam site ke liye noindex attribute yani no follow links hi use kare. Or jaha tak ho sake spam website ka link apni site par add karne se bache.

Agar aapko is post ke bare me koi question puchna ho to niche commnet me post kar sakte ho or post achhi lage to ise share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 73 )

  1. bahut tagdi jankari di hai bhai mai ye puchhna chahta hu ki apke kisi bhi post ka link ager mai apne site per add karna chahta hu to vo link kaha se miega mtlb ager mai vo link add karne se apke website ka home pege na khulkar Uri post khule thanx

    Reply
    • Aap jab meri koi post ko open karte ho to uska link search bar me se copy kar sakte ho.

      Reply
  2. Bro maine apni site me 12 din pehle gogglesAdSense apply kiya tha lakin dissapprove ho gya lakin apne kha tha 8 ya10 din wait karo gogglesAdSense ka apply button enable ho jayega blog me lakin esa ni hua ab muje ye bataiye mai ab gogglesAdSense ko apply kha se karu( blog me jha earning ka option aata tha wha ab dissapprove aane laga)

    Reply
    • Sabse pahle aap AdSense ke disapproved message me jo aapki site me kamiya btayi thiunhe solve karo. Uske bad AdSense me option enable na ho to aapko domain lena hoga. fir aap domain se AdSense account bana kar ads laga sakte ho.

      Reply
  3. HELLO SIR MEIN APNE BLOG KA DOMAIN NAME KHAREEDNA CHAHTA HUN AUR USKA APAYMENT MEIN APNE SIM CARD KE BALANCE SE KARNA CHAHTA HUN KYA HO SAKTA HAI

    Reply
    • Ali first to aap small letter me comment kiya karo. second aap sim se payment nahi kar sakte. aapko atm yani debit card ki jarurat padegi.

      Reply
  4. Hi sir mei aaj ek suggestion bata raha hu bura lage to please maaf karnaa……
    ↓↑↓↑
    Sir aap sab achhi post karte ho or useful bhi lekin !! Sir mene kafi blog pe search kiya lekin mujhe ek post mei sabhi “ webmaster tool ” ke baare mei nahi bataya gaya hai ! Mei chahta hu ki aap webmaster ko pure tarike se uske har “head” or “subhead” ke baare mei bataye. Thanks

    Reply
    • Jai isme bura mannege ki kya bat hai. Mai to aapo iske badle thanks kahna cvhahunga ki aapne mujhe apne liye post likhne ka mouka adiya hai. Aysa mai pahli bar nahi kar raha hu. maine pahle bhi apne bahut visitors ke liye post likhi hai. Aapke liye bhi jarur likhunga. Thanks

      Reply
      • Thanks sir, mere liye nahi ye unke liye hai jo new hai mera alexa india mei 13,000 ho gaya hai leki mujhe aaj bhi yaad hai jab mei new tha tab koi bhi help ni karta tha isliye.

        Reply
  5. Aapki post padhkar ek baat toh samaj aa gayi ki kishi dusri site ki link post me ad karte waqt dyhan rakhana jaruri hai . phele toh mujhe pata nahi tha lekin ab se aage iss code ko jarur use karunga .
    and thanks for advice

    Reply
  6. mene template send kr diya hai

    apki ye post pad kar Jo mene back link ke bare me samjha h bo ki agar ham kisi blog PR comment kare to koi us comment se mere blog PR aaye to usase mujhe back link milegi agar ye sahi hai to very very thanks kyoki aj tak meri samajh se bahar thi ki back link kya h

    Reply
    • Your wlkm bro, supportmeindia par regular visit kiya karo. aapko daily koi na koi new jankari jarur milegi.

      Reply
      • Sir maine kai vari comment ki h but i hv no respons
        plzz sir batiye kuch asa ki easly m visit kr saku
        Sir plzz mujhe bi batiye ki kese blogging kr skte h

        Reply
        • Srvesh main blogging ke bare me kei post likh chuka hu wo padha karo or kuch samajh na aaye to comment me pucho.

          Reply
  7. sir agar koi p*rn site ka link se comment kare to us comment ko delete kr de to sahi hoga

    Reply
    • Dilip plz bacho jaise sawal mat pucho. har ek bad link commnet ko delete hi karna hai.

      Reply
  8. bhaiya ek sawal hai mera, jaise ki man lijiye mere har ek post me ek ek photo add karta hu, ab me chahata hu har post me jo photo hai uske uppar 700*300 ka add lagana bo kaise possible hoga plz bataye, me manually ek ek post me add nhi karna chahata hu kuch aisa hona chahiye jisse ekbar add karu or har post ke photo ke uppar ho jaye plz bataye bro.

    Reply
      • bro ye to pata hai ye ek fix place ho gaya. mera kehane ka matlav hai mere post ke andar jitne bhi images honge uske uppar kaise add lagau, manually lagana nhi chahata ek ek karke

        Reply
        • Blogger me aapko ek ek post me ads code paste karna hi padega.

          Reply
  9. sir ap muje ache tamplet ke baare me bata
    dejiye ki konsa tamplet use kru … .
    or merw kuch swaal he ap ans de dejiye ?
    1. sir me jb bi post krta hu tb niche coment
    ka box kese add kre taaki log cment kr ske ?
    2. sir blog ke last me niche me apna photo
    dalna chahta hu wo kese daalu ?
    3. or sir koi free me acha waala tamlet bta
    dejiye taaki blog ko acha bna sku ?

    Reply
    • Aap koi bhi template use karo. bas wo mobile friendly honi chahiye.

      Reply
  10. Sir Mene Ekk naya Blog banaya hai ! uspar muze Dher Sare Comment bhi Aa rahe hai par Sir Muze Ye pata nahi Chal raha hai ki unn Comment ka Reply kaha se karu ! kyu ki me Blog Open karte Comment ka Reply du to Google Adsense Invalid Click ke Policy se Account Blog kar degi to Sir Aisa koe tarika hai ki me Bina Blog khole Googleya Gmail se Direct Coment ka Reply de saku jo mere viwer ko bhi mile Aur mereblog par bhi Show hoye plz help mi sir

    Reply
    • Aryan mai ummid karta hu kiaap meri bat ko dhyan se padhoge.
      aap blog open karke commnet ka reply karoge to aapka AdSense block nahi hoga. aapko iske bare me jisne bhi btaya hai galat btaya hai. Lagbhag har ek blogger blog ke throw hi commnet ka reply karta hai. Plz understant it.

      Reply

Leave a Comment