Blog Par Guest Post Accept Karna Kaise or Kyu Shuru Kare

Blog ko high ranking me lane ke liye Guest Posting ek important way hai. Most popular blog owner guest posts pasand karte hai. Guest posting se blog ko backlinks milte hai. But apne blog par Guest Post accept karne se pahle hume kuch important bato ka khyal rakhna padta hai. Warna aapki site ki value badhane ki jagah guest posting aapki site ki value down kar degi. Is article me mai guest post shuru karne ke bare me bta raha hu. Agar aap apne blog par guest post recieve karte ho to is post ko dhyan se padhiye.

Apne Blog Par Guest Psot Kaise Start Kare

 

Guest posting se aap high quality backlinks recieve karte ho kyuki guest post se visitors direct dusri site se aapki site par aate hai. Isliye most people guest post service shuru karte hai.

  • हमारे हिंदी ब्लॉग पर गेस्ट पोस्ट करने के लिए यहाँ क्लिक करे

Is article me aapko guest post ke bare me har wo jankari milegi jo aap janna chahate hai. Fir bhi agar koi topic mujhse miss ho jaye to aap comment ke throw puch sakte ho.

Guest posting accept karne se aapko koi problem nahi hai. Kuch blogger ise galat mante hai but agar aap carefuly guest post accept karoge to aapko future me koi bhi nukshan nahi hoga.

Ye to ek free idea hai apne blog par or jyada content or traffic pane ka bas ek bar aap guest posting ke fayde or niksan ko ache se samajh le. Iske liye aapko kuch techniques use karni padegi.

Guest Posting Se Blog Ki Search Ranking Low Hoti Hai Ya Increase

Dono hi bate sach hai. agar aapne guest post ko ache se nahi samajha or bina guest post techniques ko jane bina hi apni site par guest post karni shuru kar di to aapki site ki ranking increase hone ki jagah ulti discrease ho jayegi. Kyuki jo log aapki site par guest post kar rahe hai.

Unki kya guaranti hai ki wo us post ko sirf aapke liye likh rahe ho. Wo apni post ko kisi or ya apni site par bhi publish kar sakte hai. Ayse waqt me aapki site ki ranking low ho jayegi. Isliye jise aap ache se jante ho or aapko us par wishwas ho ki wo aapke sath chiting nahi karega. Usi ki post apni site par publish kare.

Apni Website Blog Par Guest Posting Accept Karna Kaise Start Kare – 8 Tips

Apni site ya blog par guest post karne se pahle aapko jo step follow karne hai unme se  kuch important steps ke bare me mai yaha aapko bta raha hu.

Jinhe padhne ke bad aapki site par guest post se ranking low nahi hogi or aap guest postin ke bare me kuch behtar jan paoge. So aapko apni site par guest post karne se pahle guest post me in bato ko check kar lena chahiye.

1. Guest Sites Links

Guest posting se aapko or aapki site par guest post karne wale dono ko backlinks milte hai. Bas iska matlab ye nahi hai ki aapki site par koi guest post me adhik bar apni site ka links add kare. Isse usko to faida hoga but aapko nahi. Ulte aapke visitors us site par chale jayenge or aapki site ka traffic slow ho jayega.

Natijan aapki site ki ranking low ho jayegi. Agar koi aapki site par guest post add karna bhi chahe to usse pahle confirm kar le ki aap 1 links se jyada links post me add nahi karenge.

Mai upar aapko allready bta chuka hu ki guest post usi ki publish kare. Jise aap ache se jante ho. Isliye anjan logo ki guest post accept kar ke apni site ki ranking na ghataye.

2. Content Lenth

Guest post me sabse important post ka content yani post me kitne words hai. Mere hisab se guest post me kam se kam 700 words minimum hone chahiye. Isse kam word ki guest post accept karoge to ye koi jaroori nahi hai ki aapko us post se search engine se traffic milega or aapki site ko usse thoda bhi faida hoga.

So apni site par guest post publish karne se pahle ye tay kar le ki guest post me 700-1000 words hai ya nahi. post me kam se kam 20-30 high quality keywords bhi hone chahiye. Jisse wo post search engine me high ranking me ho or aapko usse adhik traffic mil sake.

3. Duplicate Content

Guest post ko check karne se pahle ye pata kar le ki post ka content copyright to nahi hai. Iske liye aap ek bar us post ko search engine me search kar sakte hai. Google me post ko kaise search karna hai uske liye yaha click kare. Agar ye post pahle se internet par hogi to aapko iski puri jankari mil jayegi.

Bahut se log dusro ki site par post karne se aphle ya bad me usi post ko aapki site par bhi publish kar dete hai. Ayse me search engine aapki site par ki gayi post ko copyright manega or aapki search engine ranking low ho jayegi.

Mai aapko mostly suggest karunga ki aap guest post karne se pahle post ke content ko ache se chewck kar le. Or jab aapko lage ki ye post pahle se net par nahi hai to hi us post ko publish kare.

4. Content Keywors & Quality

Most popular blogger jo content quality or high ranking keywords ke bare me jankari rakhte hai. Wo apni site par sirf high quality keywords and high quaslity content wali guest post hi accept karte hai.

Kyuki agar post ka content badhiya nahi hoga or post me pryapt high ranking keyword nahi honge to us post ko apni site par publish karne ka matlab hai ki aapko site ki high ranking pasand nahi hai or aap sirf apni site pat post list badhana chahate ho.

So i recommended you ki guest post ko share karne se pahle uske content ko achche se check kar le.

5. Guest Post Images

High quality article me images ka ahem role hota hai. maine iske bare eme Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye post me puri details ke sath btaya hai ki kaise hum ek high quality content post se 1 mahine me 100k se bhi jyada traffic control kar sakte hai.

So ye ache se pata kar le kiguest post ki photos copyright to nahi hai or aap unhe apne blog par publish kar sakte hai. Guest post karne wala google se search karke bhi guest post me images add kar sakta hai.

Aeyse me aap us image ko google search engine me search kar sakte hai or pata kar sakte hai ki image copyrighted hai ya originol.

6. Check Spelling Mistakes

Hindi blog par to  spelling mistakes chal jati hai but agar aap english blogger ho to spelling mistakes nahi chal sakti hai. Isliye guest post ki spellinkg ache se check kar le or sabhi spelling mistakes ko solve kar le uske bad hi post ko apni site par publish kare.

Iske liye aap guest posting karne wale ko pahle se bta sakte hai ki wo apni guest posts me spelling mistakes ko theek karke hi aapko guest post send kare.

7. Niche Topics Post

Guest post ko apni site par publish karne se pahle ye deside kar le ki yakinn ye post aapki site par honi chahiye. Or guest post me di gayi jankari aapki site par share ki jane wali jankari se related hai.

Jaise mai blogging par post likhta hu to mujhe apne blog par blogging se related guest post hi publish karni chahiye. Kabhi bhi apne blog par aysi guest post accept na kare jo aapki site se related na ho.

Agar aap aysa karenge to ye off topic mana jayega or aapke readers ko isse problem hogi. Jisse aapki site ki rtanking down ho sakt ihai. So ye bat clear kar le ki aap apni site par sirf site se related post hi publish kar sakte hai.

8. Self Permotion

Bahut se log guest post me content ke bich me apni site or apna permotion karne ke liye words use karte hai. I don’t lioke it, Mujhe ye bilkul bhi pasand nahi hai. Kyuki aysi post aapke koi kaam ki nahi hoti hai.

Iska reason ye hai ki wo guest posts me sirf kisi or ka permotion content hai jo aapke koi kaam ka nahi hai. Isliye aysi guest posts ko publish na kare.

Mera yaha ye matlab nahi hai ki guest post karne wala apne bare me post me nahi likh sakta hai. Likh saktas hai but ek limit me wo bhi post ke end me. Jisse guest post ko publish karne wale ka nuksan na ho.

Guest posting ke ye step follow karke aap apne blog ko guest posting se hone wale nuksan se bacha sakte hai or apni site ki ranking or content ko improve kar sakte hai. By the way agar aap supportmeindia par guest post karna chahate ho to yaha click kare, Guest Post On Support Me India.

Agar aapko upar btaye steps pasand aaye hai or aap sachmuch inhe like karte hai to abhi 30 second ka time de kar is post ko socvial media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 50 )

  1. bahut achchi jankari hai

    Reply
  2. Sir kya hum guest post ko free pleagrism chacker se check kar sakte hai or kya isse hume copyright content ka pata chal jata hai. or hum apne blog me geust posting accept kais karenge. uske liye kya setting karni hogi. Please suggest.

    Reply
    • Yes, kar sakte ho copy content ke liye manually researching karna better hai.

      Reply
    • How to make ms file

      Reply

Leave a Comment