Blogger Blog Ke Domain Ko Without www Ke Kaise Set Kare

Hi friends aapne dekha hoga ki jab hum apne blog ko apne browser me open karte hai to hum bina www lagaye apne blog ko open nahi kar pate hai. Aaj main aapko blog ke url me se www ko hata kar sirf domain name enter karke open karne ka tarika bta raha hu. Jaise meri website ka URL https://www.supportmeindia.com hai jabki aap ise bina www ke bhi open kar sakte ho. type kar ke bhi open kar sakte ho. Chaliye jante hai ki blog ke domain ko without www ke kaise set karte hai.

Iska sabse achha benefit ye hai ki aapke reader aapki website ko bina www ke ya www ke sath kaise bhi open kar sakte hai or aapki post bhi read kar sakte. Isse aapki site par traffic increase hoga or visitors aapki site ko jyada pasand karenge.

Agar aap apne blogger blog ko bina www ke open karna chahate ho to is post me btaye sirf 1 step se aap apne blog ke url ko bina www ke set kar sakte ho to chaliye agle 1 minute se pahle hum ye kaam kar lete hai.

Blog Ke Domain Ko Without www Ke Kaise Set Kare?

Blog ke domain ko www ke bina set karna jyada hard nahi or is post ke step follow kar aapko ye simple lagega. Aap bas is post ke step follow kijiye.

Step 1:

Sabse pahle aap www.blogger.com website par jaiye or log in kijiye or apne blog ka dashboard open kijiye.

  • Apne blog ki setting me jaiye.
  • Basic par click kijiye.
  • Blog address ke samne apne blog ke link par edit option par click kijiye.
  • Ab save par click kijiye.

set without www

Bas save par click karne ke bad setting complete ho jayegi. Ab aap apne blog ko bina www ke open kar sakte ho. Ek bar aap apne blog ko open karke dekh lijiye ki aapka blog without www ke open ho raha hai ya nahi ho raha hai.

Agar aapka blog without www ke open nahi ho raha hai or aapko is post ko samjhne me koi problem ho rahi hai to aap mujhe comment me apni problem bata sakte hai.

Agar aapko blogging ke bare me adhik jankari chahiye to aap hamari site par blogging se related post read kijiye aapko details se jankari mil jayegi.

Agar aapko blog ke domain ko without www ke set kaise kare post achhi lagi hai to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare taki unhe bhi iske bare me pata chal jaye.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 91 )

  1. Mere liye bahut kam ki jankari mera blog bina www hone LG gya thanks sir.

    Reply
  2. meri site bina www ke open nahi ho rahi hai sirf www lagane pr hi open ho rahi hai. without www ke kaise open karu mujeh domain ko kharide 2 month ho gaye hai pr abhi tk vo bina www ke open nahi ho rahi hai

    Reply
    • Is post me btaye tarike se domain ko bina www ke set karo.

      Reply
  3. Hello sir,mai hindimehow.in ka owner hu meri site ko redirect krne ke bad bhi site open nahi ho rahi hai goddady ke page pr pahucha deta hai

    Reply
    • Domain ko proper work karne me time lagta hai. Thode time bad work karne lag jayega.

      Reply
  4. Hy main ne apne site pe template lagaya jb wo lag gya to jo tamplate mai pic tha wahe pic mera site pe v hai use kaise hatau
    Sharmatrick.blogspot.in

    Reply
    • Mujhe aapke blog par koi image nahi dikh rahi aap kis image ki bat kar rahe ho.

      Reply
  5. Sr maine apne blog pr CNAME code jaise apne btaya tha maine kr diya h or save bhi ho gya hai or jaise is post me btaya bina www k bhi redirect pr click krke save kr diya hai lekin abhi tak meri site google search ingine me abhi tak nahi ayi

    Reply
    • Namdev google search me aane me site ko waqt lagta hai. Kuch day me aa jayegi.

      Reply
  6. bina domain kiye WordPress website me advertisment kaise lagaye

    Reply
    • Bina domain kharide nahi laga sakte.

      Reply
  7. मैंने कर दिया है परन्तु मेरा ब्लॉग फिर सर्च में नही आ रहा है ! क्या करू
    दूसरी बात यह की आप मुझे एक चीज और बताई मैंने आपकी ब्लोगिंग से जुडी साडी पोस्ट पढ़ी हो लेकिन मै एक चीज नही समझा पा रहा हूँ जैसे की हम सर्च डिस्क्रिप्शन में कोइन से वर्ड डाले टाइटल वाले या पर्मालिंक वाले या फिर अलग से क्या इसमे हिंदी के वर्ड भी डालने चाहिए
    क्योकि मैंने चेक किया है की जब मै पोस्ट को सर्च कर रहा हूँ तो वह सर्च में नही आ पा रही क्या करना हो सकता है !

    Reply
    • Satyam maine har post me iske bare me btaya hai ki post description me sirf aap post ke bare me hi words likh sakte ho. Usi bhasha me likho jis bhasha me post likhi ho. Bro sirf padhne se kuch nahi hota. Ache se samajha karo. Aapke setting karne ke turant bad search result show nahi karega. Isme time lagta hai. 1-2 day wait karo.

      Reply
      • sorry भाई मै आपके नियम तोड़ रहा हूँ क्योकि मुझे कमेंट का बॉक्स इसमे शो नही हो रहा है इसलिए यह करना पड़ा ! मेरा सवाल पुराना है की मै अपने डोमेन को बिना www के सेट कर चुका हूँ आज करीब एक महीने से ज्यादा हो गया है लेकिन फिर भी इस key word के साथ ( gajab ki duniya ) पेज पर नही आता है अगर में इसको हिंदी फॉण्ट में लिखू तो आ जाता है ! दूसरी बात अगर हिंगलिश में duniya ki anokhi jhalak लिख सर्च करू तो आ जाता है ! आप प्लीज एक बार देख लो
        कंही इसमे मेरा डोमेन नाम तो जिम्मेदार नही है ! क्योकि गजब नाम से बहुत वेबसाइट बनी हुई है

        Reply
        • Satyam aapka blog gajabkiduniy.com google me index hi nahi hai or na hi aapka blog open ho rah hai dns error show hota hai. Maine site:example.com se search kiya hai aapka koi bhi page google me indexed nahi hai.

          Reply
  8. Layout me kya fill karna rehta hai..

    Reply
  9. sir nhi ho rha hai, ye msg de rha he, — Blogs may not be hosted at naked domains (ex: yourdomain.com). Please add a top-level domain (www.yourdomain.com) or subdomain (blog.yourdomain.com).

    Reply
    • Aapne DNS address sahi add kiya hai ya nahi ek bar confirm karo. agar koi mistake ho to fir se dns record domain wali site par add karo. uske bad 1-2 hours wait karo ho jayega.

      Reply
  10. Blogger par godady se domain lene par kya hosting lena jaruri hai?

    Reply
    • Nahi blogger free hai us par hosting ki jarurat nahi padti hai.

      Reply

Leave a Comment