Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye

Har blogger chahata hai ki uski blog se jada se jada income ho. par iske liye hume kuch niymo ka palan karna padta hai. mai aapko bta du ke india me AdSense ko approved karna bahut mushkil kaam hai. fir bhi bahut se log AdSense ke rules ko tod dete hai or jada paise nahi kama pate hai. aaj mai is post me aapko AdSense account ko approved karne ke tarike btaunga. sath mai aapko btaunga ki kaise AdSense account ko 3-4 din me approved kar sakte hai.

Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike

India me AdSense account ko approved karana aasan nahi hai. iske liye aapko AdSense ke rules ko ache se follow karna hoga. is post me mai aapko AdSense account ko jaldi apprved karane ke top 20 tarike bta raha hu. yad rahe agar aap inhe follow nahi karoge to aapka AdSense account approved nahi ho sakta.

Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye

1. Adsense ke Niyam or Sharte (Terms & Policy)

sabse pahli bat aapko AdSense ke niymo ka palan karna hoga. yaad rahe AdSense ke niyam har samay badlte rahte hai. isliye AdSense ke niyam or sharto ko padte rahe. aap yaha par click kar ke bhi AdSense ke niyamo ko pad sakte hai.

2.  Blog Post Me Kuch Bhi Copyright Na Ho

aap kabhi bhi apne blog ki post me ek shabd bhi copy na kare. iska natiza ye hoga ki aapka AdSense account approved hona to bahut dur ki bat hai. google search engine bhi aapki site ko dikhana band kar dega. or dhire dhire aapki site par visitors aane bhi band ho jayenge.

3. Blog Me 40-50 Ache Ache Post (Article) Dale

apne blog ko AdSense se jodne se pahle aap isme 40-50 ache ache article dalo. galti se bhi kisi dusri site wala article mat dalna. aapko apne dimag  or aapki knowledge se article likhne hai.

Or agar aapke andar kuch naya karne ki chhamta hai to aap ayse article dale jo internet par pahle se na ho. kyuki aap agar kuch aysi jankari dologe jo internet par nahi hai to aap bahut se logo ki madad kar sakte hai.

4. Dusri Site Ke Ads Nahi Ho

AdSense account ko approved karne se pahle apni site par lagaye huye sare ads code hata le. or ek bar apni puri site ko check kar le. aap apne blog ki widget me se bhi ads code hata le.

Kyuki AdSense kisi bhi dusri site ke ads manjur nahi karta hai. jaise:- chitika, bidvertiser, yahoo etc.

5. Google Analytics Codes Blog Me Jode

Google analytics bahut acha tarika hai. apni site ko sachcha sabit karne ka. isliye apnji site ko google analytics se connect kar le. google analytics AdSense ko batata hai ki . is site par kitne visitors aate hai.
Or kitno ko yaha apni problebs ka solvation milta hai. Apne blog ya site ko google analytics se jodne ke liye yaha par click kare

6. Blog Ki Template Adsense Support Ho

AdSense account approved karne se pahle apne blog par achi si template upload kar le aki google AdSense ko aapki site ke bare me jada se jada jankari mil sake. yaha mai aapko AdSense support template ke kuch topic bata du jo aapke blog ki template me honi chahiye.

  1. Template siple sada ho, isme jada rangeen widget add na kare.
  2. Fast uploading template honi chahiye. taki aapki site par jada se jada visitors aa sake.
  3. Template par post ki side me kam se kam 2-3 widget honi chahiye. jaise:- populer pst, random, pos, recent post etc.
  4. Template mobile friendly hono chahiye jo mobile me bhi aasani se khul jaye. or mobile me bhi acha loog dikhe. udaharn ke liye  aap meri website ko apne mobile me open kar ke dekh sakte ho.
  5. Template ka background clean ho. kyuki ise khulne me bahut waqt lagta hai.

7. Minimum Photos

apni site par jada photo add na kare. bahut se log apni post me bahut jada photo add lar lete hai. or natija ye rahta hai ki unka AdSense account approved nahi ho pata. kyuki AdSense faltu ki photos support nahi karta hai.

8. Apne Ads Par Kabhi Bhi Click Na Kare

bahut se log aysa karte hai ki alag alag compuers se apni site ke ads par click karte hai. apne dosto se click karne ke liye kahte hai. aysa karne se hum AdSense ke rules ko tod dete hai.

Isse humara AdSense account kabhi bhi block ho sakta hai. to dosto yaad rahe apne ads par bhul kar bhi click na kare.

9. User Exprerience

aapko apni site ka pura anubhav hona chahiye. kyuki agar aapko apni site ki jankari nahi hogi to aap apne visitors ko sahi jawab nahi de paoge. AdSense ayse blogger ko manjuri nahi deta.

Kyuki wo janta hai ki ye aadmi ek din apni site chalana chod dega. isliye hume apni site ka pura anubhav hona chahiye.

10. Visiters Kahi Se Bhi Na Kharide

Dosto agar aapke andar kuch naya karne ki power hai to aap visitors kharidne ki soch bhi nahi sakte. kyuki agar aap kuch naya kar sakte ho to visitors khud be khud aapki site par aayenge. Google AdSense ki bhi yahi soch hai. isliye  kabhi bhi kisi se visitors na kharide.

11. Aapke Blog Ki Template SEO Friendly Ho

aapke blog me jo template aap use karte hai. wo SEO friendly honi chahiye. taki aapke visitors kahi se bhi aapke blog tak pahuch sake. SEO ka  matlab hai. SEO Search engines oprater system yani sabhi search engines se judi hui site

12. Blog Google, Bing, Yahoo Search Engines Se Connect Ho

AdSense account karne se pahle ye baat jarur check kare ki google search engine aapki site ya blog ko dikhata hai ya nahi. kyuki agar google aapki site ko nahi janta hoga to wo AdSense ko approved nahi hone dega.

Kyuki AdSense samajhta hai ki jo site google nahi dikha raha wo jarur farzi site hogi. Agar aap apne blog ya site ko google search engine me dikhana chahate hai to aap is post ko follow kare. isme maine site ko google search engines se jodne ki puri jankari de rakhi hai.

13. XML Sitemap Bana Ho

aapki site ke sabhi pages ka sitemap bana hona chahiye. kyuki sitemap humari site ko chote code me badal kar google ko dikhata hai. AdSense ko ise padne me aasani hoti hai. apni site ka sitemap banane ke liye aap yaha click kare.

14. Blog Ki Traffic Achi Ho

Adsense account approved karne se paahle ye jarur check kare ki aapke blog par roj kitne visitors aate hai. kyuki agar aapki site par visitors nahi aayenge to AdSense ise farzi site man kar block kar dega.

Isliye pahle apni site par visitors jode. visitors jodne ke liye apne blog me aysi jankari dale jo pahle se internet me na ho. maine iske bare me btaya bhi hai. AdSense approve karne ke liye aapke blog par minimum 1000 visitors per day aane chahiye. agar aap chahe to visitors badhane ki jankari aapko mil sakti hai.

15. Apna Domain or Email ID

Agar aap chahate hai ki aapka AdSense account complitly approved ho to aapko apne blog me khud ka domain name jodna hoga. or sath me domain se emaol id bhi banani hogi. kyuki blog ke  domain se aap sirf hot AdSense account hi bana sakte ho.

16. Robot.txt Use Kare

apne blog me jank files ko rokne ke liye robot.txt code jarur add kare. kyuki agar aap aysa nahi karte ho to aapke blog me bahut sari jank foles add ho jayegi. or AdSense ko aapke blog ko padne nahi degi.

Wese aap jank files se hone wale nukshan ke bare me to jante hi hai. jaise computer me virus aa jate hai to coputer ke program kharab ho sakte hai. wese hi blog me jank files aane par AdSense approved nahi hoga.

17. Blog (Site) 6Month Purana ho

India me blog se AdSense approved karne ke liye blog ka 6mahina purana hona jaruri hai. india ke alawa china or kuch or desho me bhi yahi rules lagu kar rakhe hai. iski wajah ye hai ki 6 mahine ke bhitar hume blogger ki jankari bhi aa jati hai.

Or hum apni site par ache ache article bhi dal lete hai. sath hi 6mahine se pahle humari site se kuch visitors bhi jud jate hai.

18. Alexa Rank Hona Jaruri Hai

bahut se log sochte hai ki AdSense ko approved karne me alexa ranking ki koi jarurat nahi hoti. or wo ise ignore kar dete hai .apr kei bar alexa ranking nahi hone ke karan AdSense approved nahi hota. or humari pareshani bad jati hai. isliye apne blog ko alexa rank se jarur submit kare.

19. Important Pages Hona Jaruri Hai

blog ko AdSense se jodne se pahle apne blog ke liye kuch jaruri page bana le kyuli AdSense chahata hai ki wo humari site ke bare me aasani se jan sake.

  1. About Us
  2. Contact Us
  3. Terms of Usage
  4. Privacy & Policy

About Us me aap apne or apni site ke bare me jankari dale. jisse aapke visitors ko aapke bare me janne me aasani ho.

Contact Us me aap apni email ID ke sath sath koi contact form bhi add kare. taki koi bhi jarurat padne par aapse sampark kar sake.

Isi tarah apne blo ke visitors ke liye Terms of Usage page banaye taki koi visitor aapki site ka galat istmal na kar sake.

Privacy & Policy me aap ab btaye ki aap apne visitors ko kya kya sikhate ho ya unki help kaise karte ho.

20. Language (Bhasha) Adsense Support Ho

aapki site ki bhasha AdSense support honi chahiye. agar aap apne blog par aysi bhasha use karte ho jo AdSense support na ho to aapka AdSense approved nahi ho sakta.

I hope aapko ye post pasand aayi hogi. agar aapko internet se sambandhit koi or jankari chahiye to is site ki dusri posts pade. or agar aapko koi or sawal puchna hai to comment me puch sakte hai.

By the way supportmeindia par aapko AdSense ke bare me puri jankari hindi me milegi. iske liye aap humari AdSense se related dusri post pade.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 101 )

  1. Jumadeen bhai mera blogger 6 month se bhi zyaada purana hai us per 300 se 400 per day views aate hai.maine blogger me se AdSense signup kiya.ad bhi create ki phir bhi ad dikhai nahi derahi hai.

    Reply
    • Aapko AdSense ka koi message mila hoga wo dikhao or nahi mila hai to ek do day wait kaor AdSense ka message jarur aayega.

      Reply
  2. Hi Sir, I completed my $100 today. But still a red line is showing in my AdSense account. I mention the text which is showing “We’re sorry, some data in this report is delayed, please try again later. There’s no impact to ad serving or payments”.
    Please tell me whats the solution of it. I really need it

    Reply
    • Adsense says you that some last day info reports not show. So wait some day Adsense team solve this problem now. it’s not problem and solved automatically.

      Reply
  3. Bro ap muje ye bataye maine apni site ko 5 days pehly banaya kya hm goggle AdSense pe abi account bnana thik rehega ya 6 month bad

    Reply
    • Aman aapko pahle bhi kah chuka hu ki aap pahle apne blog par traffic badhao or jab per day 500 pageviews se jyada hone lag jaye to hi AdSense ke liye apply karna.

      Reply
  4. Bro ap muje ye bataye hm jo chitika ya bidvertiser se payment kaise le bina paypal k koi tarika btaiye jisse hm asani se le sake

    Reply
    • paypal ke bina payment nahi lw sakte. ye paypal ke throw hi payment krti hai.

      Reply
  5. aur bro muje ye bi btaye mera paypal account ni hai na hi mai paypal account bna sakta kyu ki mere pas PAN card ni hai ab mera ek SBI me account hai ab ap muje btaye ki mai goggle AdSense se paise le sakta hu ya ni

    Reply
    • Ha le sakte ho. iske liye aapko pan card or paypal ki jarurat nahi padegi.

      Reply
  6. bhai maine apna blog 5 days pehly bnaya hai ab in sb rules ko follow karne k bad ap muje btaye muje paise kamane k liye kitne din intzar krna pdega

    Reply
    • Jis din aapki site par 500 pageviews per day hone lag jayenge. aap paise kamane lag jaoge.

      Reply
  7. hi Bhai mera youtbe channel mere dost ne bana k dia hai ab unse bat nahi ho rahi hai kaise pata chalega ki mera AdSense Account bana hai ager bana hai to use YouTube Account se kaise joden plese bahut paresan hun

    Reply
    • Aap adsense.com site par jao or log in karo. agar aap log in kar sakte ho to aapka AdSense account ban gaya hai.

      Reply
  8. Vaah! aapne bahut kaam ki post likhi hai….yeh post mere bahut kaam ki hai kyoki me kuch hi dino baad google AdSense ke liye apply karne vala hoon….is post ko share karne ke liye aapka bahut dhanyavad!

    Reply
  9. sir mere blog web site ke blogger.com pe jo AdSense earning diya huva hai wo visible hai mera blog 2 maah purana hai maine wahan se sign up to kar liya hai aur add bhi aa gaye kya ye approved hogi ya isme kuch aur bhi karna padega.

    Reply
    • first to mai ye nahi man sakta ki aapne 2 month old blog ke throw AdSense kaise bana liya or agar ye sach hai to khushi ki bat hai. ads show ho rahe hai to clear hai approved ho gaya hai. ab adsense.com parja kar log in karke apne daily ki earning bhi check kar sakte ho.

      Reply
  10. BHAI MAINE APNA ADSENSE ACCOUNT APNE BLOG SE BNAYA HAI YOUTUBE CHANEL SE NHI
    TO ACCOUNT APPORVE HONE ME KITNA SMAYE LAGE GA

    Reply
    • 1-5 din me ho jayega.

      Reply

Leave a Comment