10 SEO Terms Jinke Bare Me New Blogger Ko Pata Nahi Hota

10 SEO Terms Jinke Bare Me Har Blogger Ko Pata Hona Chahiye? Website or blog banana bahut aasan hai. Hum aasani se blog bana sakte hai but bahut mushkil hai blog post ko search engine me first ranking me lana. Iske liye hume search engine optimization ki jankari honi chahiye, Tabhi hum blogging me success ho sakte hai. Agar aapko abhi tak blog SEO terms ke bare me pata nahi hai to mai aapko suggest karunga ki blogging karne se pahle blog seo ko ache se samajh le.

10-SEO-Terms

Search engine se traffic nahi milne ki sabse badi wajah hoti hai, SEO terms follow nahi kar ke bloggimng karna. Humari wohi post search engine me top ranking me hoti hai, Jo humne SEO ke rules follow kar ke likhi ho.  So blog SEO terms ko ache se padh or samajh lena chahiye.

Blogging easy nahi hai. Blogging me kamyabi pane ke liye aapko bahut si SEO terms follow karni padegi. blog par sabse jyada traffic search engine se hi aata hai or agar aapki site search ranking me nahi hai to aap blogging me success nahi ho sakte. So apne ek ek article ko SEO friendly bana akar likhe.

Is post me mai aapko SEO  ki un 10+ SEO terms ke bare me bta raha hu jo aapke liye bahut jaruri hai or aapko inke bare me thodi bahut jankari honi hi chahiye .Jisse aapko search engine se acha traffic mil sake. Or aap ek din success blogger me gine jao.

10 SEO Terms Jinke Bare Me Har Blogger Ko Jankari Honi Chahiye

Mai is post me aapko search engine ke 10 niyamo ke bare me bta raha hu. Abhi or bhi bahut SEO terms hai jinke bare me hum aane wale time me bat karenge.

1. SEM – Search Engine Marketing

Aapko search engine marketing ke bare me basic jankari hona bahut jauri hai. search engine me kis product ki kitni mang hai or kiski kitni jarurat hai.  Sabse jyada kya search me kiya jata hai or aapko blog par kya search katrna chahiye. Search engine optimization ko ache se samajh le or users ki jarurat ke hisab se post likhe.

Jo blogger is terms ko follow karna sikh gaya or use ye pata chal gaya ki log search me sabse jyada kya chahate hai to wo user ki icha anusar article likh kar apni site ko search engine me no.1 me la sakta hai.

2. Backlinks

Ye sabse important terms hai. Backlinks Kya Hai or Ye Blog SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai. Is sab kke bare me aapko ache se pata hona chahiye. Jisse aapki website ko other site se backlinks mil sake or aapki site se other site ko, Isse aapke blog ki ranking increase hogi. Kyuki aapke dusre blogger se ache samband banenge. Backlinks sdirect pagerank par effect karte hai isliye backlinks blog SEO ke liye bahut important hote hai.

Upar di post me maine backlinks ke bare me details se samjhaya hai. Backlinks ki or jyada jankari ke liye upar di gayi post pade.

3. Robot.txt

Robot.txt koi file nahi hai. Balki search engine me aapke blog ka kya kya content show hona chahiye ko control karne ka robot hai. Isiliye mai aapse kahna chahata hu ki jab tak aapko robot.txt ke bare me puri jankari na ho ise use na kare.

Ye sirf un blogger ke liye hota hai jo apne blog ki kuch personal post ya pages ko search me dikhana nahi chahate hai. So agar aapko blog ka pura content search me dikhana hai to robot.txt ko disable hi rahne de. Ya fir iske bare me ache se pata karke hi ise use kare. Robot.txt File Blog Me Kaise Add Karte Hai post me iske bare me aapko details se jankari mil jayegi.

4. Keywords

Blog ki search engine me achi ranking ke liye aapki post me jyada se jyada keywords hone chahiye. Agar aapki post me keyword nahi honge to post ki search me ranking better nahi hogi. Isiliye keywords ko ache se samajhe or apni har ek post me jyada se jyada keywords use kare.

Agar aapko keywords ki jankari nahi hai to post me 1000 to 2000 words use kare. Jab post me jyada words honge to usme 10-20 keywords jarur honge. Blogging me success hone ke liye aapko sabse pahle keywords ki jankari honi chahiye.

Agar aap keywords use kiye bina 500 post bhi likh do to bhi aapke blog par search engine se traffic nahi aayega. Or agar aap keywords use karke 100 post likho to aapko 500 posts se jyada search traffic milega. Isiliye har ek post ko complete SEO friendly banane ki koshish kare.

5. Google Indexing

Goolge world ka no.1 search engine hai or lagbhag sabhi blog par google search engine se hi jyada traffic aata hai. Ayse mai aapko iski achi jankari honi chahiye ki google search engine kis tarah ki jankari index karta hai or kis tarah ki jankari ignore karta hai.

Agar aapko iske bare me pata chal gaya to i promise aap ek month me 100k se jyada traffic recieve kar sakte ho. Ye niche kuch sawal hai jinke jawab aapko aane chahiye.

  1. Google search engine blog ke kis content ko jaldi search karta hai.
  2. Google search engine kis jankari ko ban karta hai.
  3. Google search robot jaldi kaisi post ko index karta hai.
  4. Google humare blog ki post ko index kaise karta hai.
  5. Google search engine ki SEO terms kya hai.
  6. Google search optimization kya hota hai.
  7. Google post ko index karte waqt sabse pahle kis par focus karta hai.
  8. Google search engine me fist ranking ke liye kaisi post likhni chahiye.
  9. Google search ranking low hone ki wajah kya hai.
  10. Google search engine se jyada traffic kaise ecieve kare.

Inke alawa bhi abhi bahut sare question hai. agar aapke pas inke jawab nahi hai to abhi aap blogging me bahut piche ho. Mei aapko personal advice hai ki search SEO terms ko ache se samajhe warna aapko ek din blogging me nirasha ka samna karna padega. So jitna ho sake search engine ke rules ko follow karo.

In my site aapko is blog par iske bare me kafi jankari mil jayegi. Agar aap real me search engine ko janna chahate ho to supportmeindia ki SEO se related post padiye.

6. High Ranking Content

Aksar blogger mujhse puchte hai ki ye high quality content kya hota hai. Aap hindi blogger ho so mai aapko aapki bhasha me iske bare me bta raha hu. Jo jankari internet par pahle se ho uske bare me fir se post likhne se koi fayda nahi hai. Jaise meri ye post search engine optimization ki 10 terms ke bare me hai.

Agar aap isi post ko tod mod kar apne blog par publish karoge ya fir apne hisab se isi topic par post likhoge to aapki wo post search engine me first ranking me kabhi nahi aayegi.

Or search engine aysi post ko jaldi index bhi nahi karta hai ulta post ko copyright bhi man sakta hai. So high ranking content likhne ka sabse aasan or free tarika hai ayse topic par post likhna jo internet par pahle se available na ho. I promise aapki wo post search me first no.1 par hogi. In my case mai ye sab try karne ke bad hi aapko bta raha hu.

7. Meta Tags

Bahut se blogger meta tags ko ignore karte hai. ButBlog Me Meta Tags add karna bahut jaruri hota hai. Meta tags se hi search engine ko pata chalta hai ki humare blog par kya kya, kis tarah ki jankari, kis language me share ki jati hai or ye blog kis country se hai and ise kisne banaya hai. Suppose karo ye lines SEO ke liye kitni important hai. Or agar aap blog me meta tags add nahi karoge to search engine ko aapki site ke bare me kuch bhi pata nahi chalega. Kyuki meta tags hi search robot ko aapki site or site ke content ke bare me information deti hai. Meta tags aapko blog me HTML section me <HEAD> ke niche add karne hote hai. Iski puri jankari ke liye Blogger Me Meta Tags Description Code Kaise Add Kare post padhiye.

8. SERPs

Search Engine Result Page, Yani jab hum search engine me koi bhi topic search karte hai to result page me kon konse keywords highlight hote hai. Aapne ye dekha bhi hoga agar nahi dekha hai to abhi search engine me kuch bhi likh kar search kijiye. Search result me aapke search kiye gaye topic me ke kuch keywords highlight huye show honge.

Iska matlab hai ki search engine sirf search kiye gaye topic ke top keywords ko hi focus karta hai. Isse aapko new post likhne ka idea milega. So SERP koache se samajh le uske bad hi blogging start kare.

9. External & Internal Links

External & Internal Links kya hai or ye blog SEO ke liye kyu jaruri hote hai. Iske bare me har ek blogger ko jankari honi chahiye. Bahut se blogger apni post me dusri site ka link add karna nahi chahate hai, Jo bilkul galat hai. Dusri site ka links add karne se aapki traffic kam nahi hogi.

Balki aapke blog ko backlinks milenge or blog ki ranking high hogi. Iske bare me mai hum aane wale time me details se bat karenge. Abhi aapko bta dena chahunga ki post me External Links & Internal Links add karna blog SEO ke liye important hota hai.

10. PageRank

Pagerank kya hai, Iske bare me shayad kuch hi blogger jante hai. Pagerank ka matlab hai ki aapki post ko reader kitne time tak padhte hai or aapki post me kitna content hai. Pagerank badhane ke liye aap apne blog ki ek post me dusri post ka link add kar sakte hai.

Jisse user page A se page B par ja sakenge. Page rank high hone se aapki post search engine me bhi top par hogi. Important bat ye hai ki aapki site ki jitni jyada pageranking hogi. Aapki utni jyada income bhi hogi.

Kyuki pageranking se AdSense CPC high hoti hai. Examply aap alexa me meri pageranking dekh sakte hai. Supportmeindia ki pageranking dekhne ke liye yaha click kare. [ Link… ]

I hope aapko is post me search engine ki kuch important SEO terms ke bare me jankari milegi or aap search engine ki policies ko ache se samajh sakoge. Blogging me success hone ke liye ye bahut jaruri bhi hai.

Kyuki jis blogger ko search engine ke rules pata nahi honge wo blogging me success ho sakega, Kahna mushkil hai.So upar btaye gaye step ache se padh kar follow kijiye jisse aapko search engine se high traffic mil sake.

By the way, Post achi lage to share jarur kare, Jisse dusre blogger ko bhi iske bare me pata chal sake.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 66 )

  1. Hello sir mujhe kuch tips bataiye blog title se pahle post title wala post maine puri tarah se follow kiya hu fir bhi nahi ho rha hai title search karke maine us code ko delete kar diya tha aur aapke post ke anusar maine wo code paste kar diya save theme karne par dikha rha hai ki save ho gaya lekin back jane par unsaved bata rha hai ab mai kaise fix karu. Plz bataiye hame.

    Reply
    • Aap different theme use karke try kare.

      Reply
  2. OMG , Amazing !! Everything Informative
    This Is really Ah Very good post. Taking the time and actual effort to produce a superb article…
    Thanks For Sharing

    Reply
  3. Sr template zip file se xml me convert krne ka software download kha se kru Winrar ka try ki maine lekin sof. Dwnld nahi hua plz link bhejdo dwnld krna h muje pc softwere

    Reply
    • Aap winrar sofware kisi or ke laptop me se dal sakte ho.

      Reply
      • Bhai maine suuport me india contact forum par aapko contact kiya tha par aapka koi reply nhi aaya…bhai mujhe mere blog ki saari setting karke de sakte ho kya bhai plz.

        Reply
        • don’t worry main jaldi hi aapko reply karunga.

          Reply
  4. Sir Me Chahunga Ki App SEM Ke Baare Me detail se ek Post Jarur de.. Isme Mujh Jaise Bahut Blogger Confused hai… thanks

    Reply
    • Thanks mahaveer iske bare me post likhunga.

      Reply
  5. hello, me aapko guest post apne mobile se bheji hai isliye usme image ki numbering idhar udhar he aap sahi kar l

    Reply
    • Ritik aapko chahiye ki pahle aap supportmeindia ke guest post policy ache se padh lo.

      Reply
  6. hello jumedeen bhai bahut dinse comment nahi ki kaise hai aap mai kaam pe tha abatak or night me post ko share kiya karta tha kya aap ghar pe aa gaye hai muje domain kharidkar de sakte hai muje ek problems aa gayi hai maine to mere site ki property google webmaster me verified ki thi magar firse veriefied karne ke liye kahah ja raha hai magar jab mai us code ko ya ke neeche below uper paste karta hu to aisa massage show ho raha hai kya problems ho sakti hai bhai ……..We were unable to save your template.
    Your template could not be parsed as it is not well-formed. Please make sure that all XML elements are closed properly. XML error message:
    More than one widget was found with id: HTML12. Widget IDs should be unique. or ha maine template bhi change kiya firbhi aisa massage shoiw ho raha hai or verified nahi ho pa raha hai maia kya karu bhi please help me bhai.

    Reply
    • i am fine nahi 5 tarikh ke bad. aap html code se verify karo or code ko head ke niche paste karo. Aap sahi step follow karoge to koi issue nahi aayega.

      Reply
  7. Sir aaj muje 5 fake click mile pehle to uss fake click kse earning hui lekin thode der bad wo gayab ho gaya to iska matlab ki wo fake clicks tha.To sir plwase muje batayenge ki mai ab kya karu.

    Reply
    • Sabke sath aysa hi hota hai.

      Reply
  8. Bhai ji ap muje thoda sa detail me bata dijiye mai template ka color change kaise karu, ribbon ka option kha pe ayega thoda sa details me bata dijiye

    Reply
    • Aryan aap blogger user ho or ribbon WordPress theme hai fir aap ise kyo use kar rahe ho. plz koi blogger template use karo. blogger me aapko html template me ja kar iska code search karna hoga.

      Reply
  9. sir mene colormag ka theme use kar raha hu isme mere ko about us contact us privacy policy ko add karna hai kese use karu koi html ka option hai

    Reply
    • Aap mujhe theme ka link btao mai check karke bta sakta hu.

      Reply
    • sir mene YouTube se dekh ke kar liya sir apko thanx

      Reply

Leave a Comment